Chapter 3

253 37 25
                                    

Mera phone kafi dair se baj raha tha. Mein Washroom mein thi.
"Humaima jaldi aoooo. Koi kabse phone ker raha hai."
"David ap uthalein." Lekin agar ammi ya baba ka phone hua tw. Magar meri aisi qismat kahan ke woh mujhe phone kerain.
"Urosa? Urosa yeh tum ho?" Bahar se David ki awaaz ayi tw mein foran washroom se bahar nikal ayi.
"Layein phone dein mujhe!" Mainay khushi se David se phone leliya.
"Kahan thi tum?"
Itne arsay bad Urosa se bat kerke bohot sakoon mila tha mujhe. Mein janti thi ke David se shadi ke baad uski family usse mujhse kabhi nhi milne degi. Lekin mein bohot khush hoon ke woh shadi kerke New York hi shift hogayi hai. Thankyou so much Allah! Ab mere pass koi tw hai. Koi jisse mein apne dil ka haal share kersakoon gi.

2 weeks later...
Aaj mein Urosa se miloon ge. Woh bus ati hi hogi. Shyd Urosa mujhe btaye ke mujhe ab agay kya kerna chahiye.

"Kya tum apna bacha abort kerne wali thi? Dmagh kharab hai kya? Humaima tum already bohot si ghaltiyaan ker chuki ho. Ab ek aur gunha mat kerna. Tum is bachay ko duniya mein le ker ao aur usse musalman. Nahi balkay ek acha musalman banao."

Urosa bilkul theek keh rahi thi. Meri beti meri maafi ka wahid zariya hai.

Kal Eid hai. Matlab aaj chand raat hai, mein tw har saal chand ko dekh ker dua mangti thi.
Mainay apna dupata uthaya aur foram ghar se bahar nikal gayi. Kafi dair dhonde ke baad bhi mujhe chand nhi nazar aya.

Kya meri qismat mein ab yeh bhi nhi hai Allah Talah. Mein kaisay khud ko is qabil banaon ke ap mujhe maaf kerdein. Mein ab David ke saath nhi reh sakti. Agar duniya mein khushiyaan dhondti reh gayi tw meri akhirat tabha barbad hojaye gi. Meri tw poori zindagi Zina ban ker guzar rahi hai.

Mein khud ko aainay mein bhi nhi dekh pa rahi thi. Mein kya keroon? Mein mar jana chahti hoon. Lekin agar mujhe is haal mein maut agyi tw. Agar mein delivery dete hoye mar gayi tw kya hoga? Mein kaisay sab kuch theek keroon ge.

Agar mein us waqt apne maa baap ki bat maan leti tw aaj meri zindagi pachtawaon aur Kash mein nhi guzar rhi hoti. Maa baap chahay jaisay bhi hoon hamesha apni aulad ki behtri hi chahtay hain.

Mein David ko face nhi kersakti. Lekin ab sach yehi hai ke mujhe usse chor dena hai. Agar aaj mein uske ghar anay se phele chali gayi sirf tab hi ja sakoon gi warna meri Kabhi himmat nhi hogi.

Ghar se nikalte hoye mujhr woh sara waqt yaad araha tha jab se meim David ke saath yahan ayi thi. 2 saal guzaray thay yahan uske saath.

Janti hoon ke tumhe taqleef hogi, per mein kuch nhi kersakti. Woh saath rehne ke saray waday aaj khatam kerke ja rahi hoon. David mujhe maaf kerdena.

Mainay fridge per uske liye letter chordiya...

*A/N
Assalam o Alaikum everyone!!!
First of all Eid Mubarak everyone!!! I hope you all have a great Eid.
Well I should post a happy chapter for Eid butt..
I know this is a very serious issue. Guyss please I need your support.*

Khuda Rooh aur Khuwaish Where stories live. Discover now