Epilogue

272 28 48
                                    

Aaj subha meri ankh uski Quraan ki tilawat sun ker khuli.
Woh Jannat ko Surah Rahman perh ker suna raha tha.

كُلُّ مَنۡ عَلَيۡهَا فَانٍ‌ ۚ‌ۖ‏ ﴿۲۶﴾
جو (مخلوق) زمین پر ہے سب کو فنا ہونا ہے
"Everyone that is thereon will pass away." [Surah Rahman: 26]

Hamari 4 saal ki beti, tarjuma sun ker aisay sar jhuka rahi thi, jaisay ke usse sab kuch samjh araha ho.

Yeh ayat mere dil ke bohot qhareeb hai, isne meri zindagi badaldi.
Jo cheez is duniya mein hain usko fana hojana hai.

Jo mohobat aur sukoon mujhe Zohaib se Nikah kernay ke baad mila tha, woh tab nhi mila tha jab mainay David se shadi ki thi.
Dil ko jo sakoon Muhammad Zohaib ki humsafar banke haasil hoa tha, woh tab nahi tha jab Muhammad Zohaib David tha. Mainay yeh jaan liya tha ke Rooh ko sakoon dilanay ke liye, insan ko izteraab marna perta hai.

Meri Khuda se yehi dua hai, ke jo ghaltiyan aur gunah mainay kiye, unse meri beti Jannat aur har musalman beti dour rahay.

Illahi meri teri naimatoon ko nahi jhutla sakti, tunay mujhe wahaan wahaan se nawaza hai, jahan tak kabhi meri soch bhi nahi gayi thi.

Insan bohot si khuwaishain kerta hai, magar yeh zarori nahi ke woh apni har Khuwaish poori honay ke baad khush ke saath saath mutameen bhi ho. Khuwaishain wohi Rooh ko sakoon deti hain jismein Khuda ki raza shamil ho.

*A/N:
Assalam O Alikum!!!
Hamara Khuda Rooh aur Khuwaish ka safar aaj yahan khatam hoa.
Please remember me in your prayers.
Jis message ke liye mainay yeh likha shuro ki thi, woh thora sa off track chala gaya tha. But i hope that you guys enjoyed reading it.
Aur jaisay mainay start mein promise kiya tha that you won't regret taking your time out for my novel. I hope Aisa hi hoa ho.
Jazak Allah!!
Stay blessed everyone ❤❤

Khuda Rooh aur Khuwaish Where stories live. Discover now