Chapter 22

112 35 13
                                    

"Rida kyun? Kyun kiya tumne aisa?" Baba Rida per chila rahay thay. Mainay aaj se phele unhe kabhi Rida per ghusa kerte nahi dekha tha. Woh sirf mujh per tab chilaye thay aisay jab unhe mere aur David ke baray mein pata chala tha.

"Aisa kya kerdiya hai mainay? Aap log woh bhool gaye jo isne kiya?" Rida ne baghair kisi nadamat ke kaha.
"Yeh is gunah se bach jati. Rida kyun kiya?"
Rida ke pass Baba ki baat ka kpi jawab nahi tha.

"Mein btati hoon isne yeh sab kyun kiya! Isne yeh sab Faris ke liye kiya. Humaima se badla lenay ke liye kiya." Sab log ammi ki taraf murgaye.
"Faris ne isse shadi kerne se inkar kerdiya tha. Aur tab hi isne thaan li thi ke yeh Humaima ko barbaad kerde gi. Aur isne kerdiya."

"Rida!" Mujhe itni takleef kabhi nahi hoyi thi.
"Rida tum per tw mainay apni zaat se zyada bharosa kiya. Tumse tw mainay sab se zyada mohobat ki. Aur tumne? Tumne mere saathh..." Isse zyada lafz mera saath nhi desaktay thay.

"Haan haaan haan... Kiya mainay yeh sab. Barbaad kerdena chahti thi tumhe mein. Aur kerdiya. Aur haan bohot khush hoon mein. 12 saal ki umar se sirf Faris se mohobat ki thi mainay, apni zaat se zyada mohobat. Aur usne kya kiya? Chor diya mujhe. Tumse shadi kerna chahta tha woh. Mainay usse tumharay aur David ke baray mein bhi btaya, yeh bhi btaya ke tum ghar se bhagnay wali ho. Phir bhi tumse mohobat kerta tha woh.. Phir bhi tumse shadi kerma chahta tha. Tumhe gala ghoot ker tw mar nhi sakti thi, isliye suniya ke samnay mar diya." Uski ankhhon mein bilkul bhi sharamindagi nahi thi.

"Aur Faris ne tumhe tab bhi nahi apnaya. Kya mila Rida? Yeh sab kerke kya milgaya tumhe? Kuch bhi tw nahi? Khali haath reh gayi. Faris tw mila hi nhi aur aaj maa aur bhen ka rishta bhi khodiya." Ammi ne rotay hoye kaha.

"Baap bhi kho diya Rida tumne! Humaima se zyada bara gunah tumne kiya hai."

Ammi ka bp shoot kergaya tha, aur unki tabiyat nhi sambhal payi, woh zameen per gir ker behosh hogayein.
"Aunty!" Urosa ammi ki taraf berhi. Aur foran unhe hospital legayi.

Mein Baba aur Jannat bhi uske saath hospital gaye.
Poori raat hospital mein guzarnay ke baad jab ammi ghar ayein tw Rida unke pass gayi.
"Ammi ap tw mujhe samjhain. Ap tw janti thi na ke mein Fari--"
"Bus Rida!" Baba ne usko baat mukamal kerne ka moqa nahi diya.

"Rida tumne apne liye sab behter kerne ki koshish mein har behtareen cheez khodi." Baba ne be inteha mayus ho ker kaha.

Huh? Finally Rida is exposed. Shukr! Kuch tw acha hoa? Haina? Please leave your reviews.

Khuda Rooh aur Khuwaish Where stories live. Discover now