Chapter 7

199 35 32
                                    

"Aswad tum?" Mainay bari mushkil se himmat jura ker bola.
"Tum zinda ho?" Aswad ke jawab ne mujhe chonka diya.
"Kya matlab hai tumhara?" Mainay usse harani se pocha.
"Ek mint.. Ek mint.. Tum log ek dosre ko jante ho?" Urosa ne confused haal mein pocha.
"Ek mint tumhe btate hain. Aswad tum btao tum kya keh rahay thay?"
"Mamo aur mumani ne tw kaha tha ke US mein tumhari ek road accident mein death hogayi hai."
"Kya?" Mujhe kuch samjh nhi aya. Mein rotay hoye apne kamre mein chali gayi.
Urosa ne Aswad ko sab btadiya tha mere baray mein. Aswad kya soch raha hoga. Agar usne kisi ko kuch btadiya tw mere parents ki tw image ka satiyanas hojaye ga.

"Aswad ek waqt hum ache dost thay. Kya tum please mere aur mere maa baap ke uper ek ehsan kero gay?" Mainay hichkichatay hoye usse pocha.
"Itni formal na ho. Don't worry mein kisi ko tumharay baray mein kuch nhi btaon ga." Aswad ne halka sa muskuratay hoye kaha.
"Thankyou so much Aswad! Tumhara shukr kaisay ada keron mein nhi janti."
"Ab tum over ho rahi ho. Acha Urosa jao apni nand ke liye chaye leker ao. Aur tum mujhe meri bhanji dikhao."

Aswad se bat kerke mein kafi had tak halka mehsos ker rhi thi.

Ammi Baba ne mujhe duniya ke samnay mar hi diya. Kya unhe lagta tha ke mein kabhi wapis nhi aon gi. Mere tw wapsi ke saray raste band hochuke hain. Mainay tw socha tha ke ab wapis chali jaon gi. Shyd ammi baba Mujhe maaf kerdein lekin....

"Hello Rida?"
Mainay Aswad ko Rida ka nam lete hoye suna tw mein waheen ruk gayi.
"Acha tw tum kab arhi ho?"
"Nahi.. Nahi.. Mujhe kya masla hoga tum rukna mere ghar per hi."

Rida! Tum sachi yahan arhi ho. Mainay 3 saal se tumhari awaaz sunne ke liye taras rhi thi. Meri bhen sirf tum hi tw ho jo mujhe samjhti hai. Balkay yeh kahon ke samjhti thi. Yaqeenan Aswad mujhe yahan se janay ko kehde ga.

Mein apne kamray mein bethi thi jab Aswad kamray mein aya.
"Mujhe tumse kuch kehna hai."
"Mein chali jaon gi. Janti hoon tum Baba ko Rida ke yahan rehne se inkar nhi kersaktay."
"Humaima mein tumhe akele kaisay janay desakta hoon. Mujhe bilkul acha nhi lagraha."
"Tum pereshan na ho. I understand." Aaj nhi tw kal yeh hona hi tha. Mein akhir kab tak Urosa ke ghar reh sakti thi.
"Acha Aswad suno! Urosa aur Rida tw ek dosre ko jante hain. Kya Rida ko pata hai ke Urosa tumhari biwi hai?"
"Nahi usse nhi pata ke yehi tumhari dost Urosa hai. Kyunke mera Nikah kafi sadgi se hoa tha. Aur mamo bhi Lahore se Karachi nhi apaye thay." Aswad me jawaban kaha.
"Lahore?"
"Haan tumhari 'death' ke bad woh Lahore shift hogaye thay."
I sighed..
"Acha suno Humaima! Mera dost ka ek apartment khali hai. Tum wahan ruk jana. Mein ek do din mein Rida se baat kerke tumhe wapis bulalon ga."
"Thankyou so much Aswad. Pta nahi mein kaisay tumharay ehsan chukaon gi."
"Acha bus ker Drama Queen"

Thankyou so much people!!
It's been more than 15 days and I am still #1 In Spiritual.
So guys do you like the character of Aswad?
Rida ke anay ke bad kya hoga?
Next update will be in 2 weeks InshAllah.

Khuda Rooh aur Khuwaish Where stories live. Discover now