*Constructive Criticism is welcome!!!
And Thankyou people for keeping my novel #1 in Spiritual."Mana ke David tumhe chor chuka hai. Lekin kya is bachi se uska koi taluq nhi jo woh usse dekhne bhi nhi aya." Urosa ki awaaz mein David ke liye talqi thi.
Yeh tw ghalat bat hai. David ne tw mujhe mere liye hi chora hai. Us becharay ke pass aur koi option hi nhi tha.
"Ursoa yaar usse btaya bhi kisne hai? Aur mein yehi chahti hoon ke David isse na dekhe. Agar mein isse David ke saath dekhloon gi tw kaheen apna irada hi na tabdeel kersoon."
"Yaar tum bohot ajeeb ho." "Acha yeh btao ke koi nam socha?"
"Jannat"
"Jannat bohot acha nam hai MashaAllah." Urosa ne muskura ker kaha. Lekin uski nazrain poch rhi theen ke pora nam kya rakho ge.
"Meri Jannat. Humaima ki Jannat hai Yeh. Jannat Fatima."Kya kya socha tha mainay aur David ne iske baray mein. Aur aaj mein itni khudgharz hogayi ke mainay David ko uski beti ka chehra bhi nhi dekhne diya. Aaj Jannat is duniya mein ayi hi hai aur mujhe usse pyaar hogaya hai. Itna pyaar jo mainay kabhi kisi se nhi kiya. Tw mere maa baap bhi tw mujhse itna hi pyaar kerte hongay. Mainay unhe kaisay chor diya tha. Unke baray mein ek dafa bhi nhi socha tha, aur ab jo sochti hoon uska koi faida nhi. Poori duniya unke moo per thookti hogi. Mainay unhe pooray zamanay meim badnam kerdiya. Kisi ko moo dikhane ke qabil bhi nhi chora. Wapis jaon bhi tw kis moo se. Ghar se bhag ker shadi kerna hi bohot bara jurm hai, mainay tw ek ghair muslim larke ke liye apna ghar chora tha.
Na janay mein kis kis ki gunhagaar hoon. Mein sab se phele tw apne Allah ki gunharagar hoon phir apne maa baap ko, phir David ki aur ab apni beti ki. Mainay isse baap ka pyaar cheen liya. Ya Allah! Mein tw tujhse maut bhi nhi mang sakti. Mein kya keroon please mujhe bta!
Meri Jannat ab ek hafte ki ho chuki thi.
"Urosa mein soch rhi hoon ke ab apne rehne ke liye koi jagha dhoondlon. Kab tak tumharay ghar rahoon gi"
"Ajeeb bat keri yaar tumne. Mein yahan waisay bhi akele hi rehti hoon. Tum yahin raho ge bus. Mere husband bhi chahtay hain ke tum yahin raho, is tarha unhe bhi meri tention nhi hoti.""Tum kya poori raat roti rahi ho." Urosa ne pocha.
Ratoon ko mustaqhil jagne se meri ankhoon ke neeche dark circles perh gaye thay.
"Nahi... Nahi... Bus nend nhi arhi thi." Mainay usse talte hoye kaha.
Mein tumharay ehsanoo ke bojh talay dabi hoi hoon Urosa. Mein kis tarha tumhara ehsan chukaon gi?
"Arey mein tw tumhe btana hi bhool gayi aaj Aswad ghar arahay hain."
Usne yeh kaha hi tha ke achanak koi Kitchen ke andar daakhil hoa.
"Aswad!" Usko wahan dekh ker meri tw sans hi ruk gayi.*Assalam O Aliakum people!!!
Silent readers please vote and comment.
And once again yaar Constructive Cristism is welcome! Acha chalo yaar bus views hi btado apne. I want to improve 😂😇😇😇Now coming towards the novel.
Are you guys liking it?
And Aswad kon hosakta hai?
Please share your views with me.
Allah Hafiz
Take care*
YOU ARE READING
Khuda Rooh aur Khuwaish
SpiritualWINNER OF THE DESI AWARDS 17 ALHUMDULLILAH June 2017 to February 2018 . "Itna bharosa hai tumhe usper? itni mohobat hai usse? Tum kyun sab kuch qurbaan kerdena chahti ho uskeliye?" Surprisingly Baba was not mad at me. woh pereshan thay. "I am sorr...