Chapter 9

168 33 31
                                    

Flashback starts..
"Humaima uthoooo." Rida ne chilatay hoye kaha.
"Sonay do na yaar."
"Aaj college ka phela din hai aur tum peri so rahi ho."
"Acha meri maa." Rida bilkul mujhe ammaon ki tarha treat kerti thi. Woh aur mein hi tw hain sirf ek dosre ko support kerne ke liye. Warna ammi baba aur appi ke pass tw time hota nhi tha.

Jab mein college pohocnhi tw class start hoye 15 mint ho chuke thay. Mein ja ker Urosa ke brabar mein beth gayi.
"Bari jaldi nhi agyein ap."
"Chup kero! Lemme concentrate."
Mainay kal raat Urosa ko kaha tha ke jaldi ajana isse phele woh uska ghussa utarti mainay usse chup keradiya.
Mein Urosa ke saath canteen mein bethi thi jab David uske pass aya.
"Oh hey David! Humaima yeh mere neighbour hain David."
Us waqt David se mera bus ek formal sa introduction hoa tha.

College start honay ke ek mahine baad literature class mein Romeo aur Juliet ka play tha.
"Humaima yaar mujhe Juliet ka role kerna hai kaise bhi. Auditions 2 din baad hain please mere saath practice kero na."
"Romeo kon hai?" Mainay muskura ker usse pocha.
"David." She said roughly.
"Abay yaar koi muslim Romeo hota tw bat thi. Waisay handsome tw bohot hai."
"Kuch sharam hoti hai kuch haya hoti hai." She said this and started laughing.

Dress rehearsal wale din, Urosa ka phone mere pass tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Dress rehearsal wale din, Urosa ka phone mere pass tha. Woh bus practice ke liye ja hi rahi thi ke uska phone baja. Uski ammi ka phone tha, jab mainay uthaya tw aunty roo rahi theen. Mainay pereshan hoker Urosa ko phone dediya.
"Humaima I have to go!"
"Urosa kya hoa? Tumhara play?"
Itne mein literature ki teacher agyein Urosa ko rota dekh ker.
"Mam meri nani ki death hogayi hai. Mujhe 2 weeks ke liye Islamabad jana hoga. I am sorry lekin mein yeh role nhi kersskti."

Teacher ne role mujhe dediya Juliet ka.
"Ya Allah kiske sath phansa diya." "Jesus! Yehhh meri Juliet hai."
"Excuse me! Apne apni shkl dekhi hai?" Mainay ghusse mein kaha. Samjhta kya hai yeh khud ko.
"Excuse me! Larkiyan marti hain mujhper. Tum jaisiyon ko tw mein apni jaib mein rakhta hoon."
Uska yeh kehna tha ke agle 2 haftay hamaray beech mein koi baat nhi hoyi. Hum sirf play se related hi baat kerte thay.

Play walay din mainay mama baba ko bohot force kiya ke woh mera play dekhne ayein. Lekin woh nhi aye. End time per baba ki ek meeting agyi aur ammi ki kisi dost ko unki zarorat perh gayi.
Mein play khatam hotay hi makeup room mein bhag gayi. Mere ansoon thay ke rukne ka naam hi nhi le rahay thay.
Achanak se koi kamray mein daakhil hoa. Mainay apne ansoon chupanay ki koshish ki lekin David ne mujhe dekhkiya.
"Uralo mazak tum!"
Haraingi ki baat yeh thi ke mazak uranay ke bajaye woh aker mere pass beth gaya.
"Sab log Juliet ko dhond rhay hain. Aur tum yahan ansoon baha rahi ho."
"Tum mujh per hans nhi rhay? Hairat hai?"
"Tumne itna bura samjha hai kya mujhe. Actually sahi samjha hai tumne mujhe. Usually mein aisi situation per hans deta hon lekin janay kyun tumhe dekh ker bura lag raha."
"Waisay mujhe apki hamdardi ki zarorat nhi hai."
"Tumhari yeh laal nak bhi kitni unchi hai. Ufff!!!"
"Laaal?" Mere chehre per ek ajeeb si smile agyi uski is bat per.
"Haan lal nak aur kali ankhain. Sara kajal phel gaya hai." He said this and handed me the tissue box.
Flashback ends..

*A/N: Assalam O Aliakum everyone!
So here is a little flashback of David's and Humaima's story.

Please lemme know if you want to know about their love story?

Jazak Allah everyone.

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Khuda Rooh aur Khuwaish Where stories live. Discover now