Chapter 29 [Last]

212 30 56
                                    

Last chapter 😱😱😱
Kya kisi ko bhi laga tha ke yeh chapter last hojaye ga?

Alhumdullilah #1 in Spiritual!!
2k+ Reads
500+ Votes
Thankyou 😍😍😍

Alhumdullilah #1 in Spiritual!!2k+ Reads500+ VotesThankyou 😍😍😍

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Happy Reading 🌹🌹🌹

"Koi bhi insaan kisi ko itni aziyat nahi desakta Farasha, jitni woh khud apnay apko desakta hai."
"Tw tum hi btao Humaima kya keroon mein?"
"Shadi kerlo Zaid se! Woh saari zindagi tumhe khush rakhay ga."
"Haan... Sahi keh rahi ho. Duniya mein har tarah ke log dekh liye hain mainay, mujhe ehsas hogaya ke koi bhi mujhse Zaid jitni mohobat aur wafa nahi kersakta."

2 months later...
Aaj Farasha aur Zaid ki shadi mein mera usse samna hoga. Na janay itnay saal baad mein kaisay usse face keroon gi? Ya Allah! Mujhe kamzor na pernay dena. Please Allah! Mera usse samna na hi kerana!

"Chalo beta! Kin sochon mein per gayi?" Ammi ne ghar se bahir nikaltay hoye kaha.

"Jee Ammi ayi!"

Khud ko halat ke hawalay kerte hoye mein Farasha ke brabar mein ja ker beth gayi.

"Abhi bhi mat ati na!" Farasha ne tanziya andaz mein kaha.

"Acha bako mat! Dulhan chup hi achi lagti hai."

"Yeh bilkul theek kaha Humaima tumne!" Zaid ne beech mein tang aratay hoye kaha, tw hum teeno hans diye.

Jannat Urosa ke pass thi, mujhe bus is baat ka hi dar laga hoa tha ke kaheen woh usse David se na milwade. Mein yeh soch hi rahi thi, ke itnay mein mujhe David apnay samnay khara hoa nazar aya, Jannat uski goud mein thi.

"Jannat idhar ao mere pass!" Mainay usse David se cheena chaha, per David ne usse peeche kerliya. "David please isse mujhe dedo!"
"Aur kitna zulm kero gi mujhper Maima?"
"Humaima!"
"Bus kerdo Humaima! Is per mera bhi utna hi haq hai jitna ke tumhara!"
"David please! Mainay tumhe apni beti nhi desakti. Mein usse kabhi bhi khud se dour nahi kersakti!"
"Tw kon keh raha hai dour kero? Humaima wapis ajao! Please wapis ajao!"
"Kya bakwas ker rahay ho tum?" Mainay ghusse mein kaha.
"Bohot mohobat kerta houn mein tumse, tumse mazeed dour nahi reh sakta. Please Humaima!"
"Tumhe sirf hawis hai. Apni har baat pori kerni ki."
"Humaima!" Uski ankhoon mein hairangi thi.

"David tum samjhtay kyun nahi ho, ke agar mohobat mein hawis ajaye tw woh sirf zid ban ker reh jati hai."
"Mera naam David nahi Muhammad Zohaib hai." Usne chilatay hoye kaha tha.

Yeh kaisa jurm hoa
Ke tera hi mujrim hoa

Author's Note:
Assalam O Aliakum!!

Haan tw bhai ending kaisi hai?
Please comment zarori kijiye ga, they are really very important for me 😇😇

Characters ke saath justice ki mainay?

According to you guys, Farasha aur Zaid ka hona zarori tha novel mein ya nahi?

Epilogue chahiye? Ya zarorat nahi?

Please drop down your comments and please vote 😇

Please try my other novel
Haya Ka Rasta

Please try my other novelHaya Ka Rasta

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Khuda Rooh aur Khuwaish Where stories live. Discover now