Chapter 13

151 34 29
                                    

"Rida kahan ja rhi ho tum?"
"Humaima woh university ka ek kaam hai. Tumhe kuch kaam hai?"
"Nahi woh bus aisay hi poch rahi thi... Arey haan Rida, woh mujhe yeh kehna tha ke dekhi teh mahool --" Usne mujhe baat mukamal hi nhi kerne di.
"Is mahool kya Humaima? Tumne bhi tw us mahool mein reh ker sab kuch kiya tha na. Mein Rida hoon Humaima nahi. Mujhe pta hai kya ghlt hai aur kya nahi. Tw please ainda mujhe nasehat kerne ki zarorat nahi hai."
Mein uske is rawaiye per hairaan thi. Mujhe yaqeen nahi araha tha ke yeh wohi Rida hai jo meri ankh mein ek ansoo nahi dekhsakti thi aur aaj mein iski wajhay se roo rhi hon aur isse koi farq hi nahi per raha.
"Acha sorry yaar. Mein chalti hoon"

Na janay mein kab tak saza bhugatti rahoon gi. Haan hogaya hai gunah. Jab Rab sachi toba kerne se apne banday ko maaf kersakta hai tw insan kyun nahi.
Na janay Khuda bhi mujhe kab maaf keray ga.

"Humaima yaar tum roya na kero. Tum janti ho na ke mein tumhari ankhoon mein ansoon nahi dekhsakti."
"Thank you so much Urosa."
Urosa smiled.
"Acha Urosa mujhe yeh samjh nahi araha ke mein kaisay apne gunah ki talafi keron?"
"Humaima jo tumne kiya hai uska kafara tw nhi hai. Lekin Rab sachi toba se apne bande ko maaf kerdeta hai. Aur yeh ke Khuda tumharay dil ka haal tw janta hi haina."
"Haan magar."
Woh 2 mint ke liye khamosh hogayi, phir achanak boli.
"Tumhe Khuda ne bohot khoobsorat awaaz se hawaza hai. Tum itni achi qirat kerti ho, ke jab bhi sunti hoon dil ko ek ajeeb sa sakoon milta hai. Tum aisa kyun nahi kerti ke job se wapis aker bachoon ko Quran perhana shuro kerdo?"
"Urosaaa!" I hugged her. "Thankyou so much yaar."

Raat ko Quraan perhne ke baad jab mein sonay leti tw mujhe ammi bohot yaad arahi theen.
"Humaima beta tumne Quraan perhliya?"
"Haan ammi." Mein unse jhoot bola tha.
"Beta mein tumhari maa hoon, koi mayi phataan nahi, jisse tum asaani se bewaqoof banalogi."

Ammi please mere liye dua kijiye na. Ap dua kerain gi tw Allah Tallah mujhe maaf kerdein gay. Ammiii!! Please Ammi! Mein apse baat kerna chahti hoon. Apki goud mein sar rakh ker rona chahti hoon. Please ammi mujhe maaf kerdein.

"Humaima tum sogayi?" Rida ne bed per laitay hoye kaha.
"Nahi... Bolo?" Mainay normal andaz mein kaha. Shyad woh bharam toot gaya tha jo mujhe hamaray rishte per tha.
"Yaar I am sorry, mujhe woh sab nahi kehna chahiye tha. Yaqeen mano mera aisa koi intention bhi nahi tha."
"Tumhe maafi mangne ki koi zarorat nahi hai. Aur waisay bhi tumhari zabaan per wohi sab ayabjo tumharay dil mein tha."
"Maima yaar."
"Mujhe nend arhi hai Rida."

*Mein lakh gunah kyun na kerloon
Magar yaqeen e Kamil mein rehta hoon

Assalam O Aliakum!!
Shayiri kaisi thi? Achi thi na. Then Go check out MaleehaMughal's
Book: 'Mere Khiyalat, ik khuli kitab'

And Thankyou Maleeha! You know why very well 😂

Happy Independence Day Everyone 💚💚💚
Sohni Dharti Allah rakhay Qadam Qadam Abaad
💚💚💚💚💚💚💚💚💚💚💚
Anay wale dour ke insaan humse jeena seekhain gay 😍💚🇵🇰

Khuda Rooh aur Khuwaish Where stories live. Discover now