Chapter 17

142 34 9
                                    

Rida's POV continuation...
[Flashback]
"Atarah? Kaisi ho?"
"Mein set! Acha pictures kaisi lageen?" She was talking about the pictures I showed Humaima.
"Bohot achi hain? Woh larka kon hai tumharay saath?"
"He is David, my cousin. Jab se Farhan ke saath issues hoye hain. I am living with David. He is really a big support yaar."
"Isn't he the same guy you were intrested in?"
"Haan hai tw wohi. But I love Farhaan now. And David is in love with his wife."
[Flashback ends]

I don't care whether you are intrested in David or not. Tumhari tasweeron se mera tw kaam ban gaya.

Aaj mein phir subha park mein jogging ke liye gayi. Woh larka aaj bhi waheen betha kuch soch raha tha.

Yeh banda kitna handsome hai yaar? Aaj aisa kerti hoon ke hawa mein teer maar hi deti hoon shyd lag jaye.

Mein chalti hoyi uske pass ja pohonchi. 2 mint wahan kharay rehnay ke bawajood bhi usne meri taraf koi dehaan nahi diya.
"Excuse me?"
"Jee?" Usne sokhay lehjay mein kaha. Huh! Direct urdu.
"Kya aap mujhe thora sa guide kerdein gay?" Mainay hichkichatay hoye usse pocha.
"Mein kisi ko kya guide keroon ga, mujhe tw khud rehnumayi ki zaroorat hai." Usne nazrain na milatay hoye kaha.

Nice! Faris nahi tw yehi sahi.
"Btw I am Rida!" Mainay uski taraf haath berhatay hoye kaha.
"Zaid! Zaid Ahmed." Was all he said. Haath milana tw dour. Woh tw wahan se uth ker hi chala gaya.
Apni yeh bezati mujhe yaad rahay gi Zaid Ahmed. Rida nam hai mera. Batamezi mein PHD ki hoi hai mainay. Ab tw tum khud mujhse baat kerna chaho gay Zaid Ahmed.
End of Rida's POV

Zaid's POV
Aaj mein walk se farigh ho ker nashta kerne ke liye coffee shop chala gaya.

Ek waqt tha jab mein yahaan rooz aker Farasha ko dekhta tha. Aur aaj. Aaj Farasha meri shkl bhi nhi dekhna chahti. Farasha kam se kam mujhe tw khud ko dikhado.

"Farasha?" Mein usse wahan dekh ker harain tha. Mein taqreeban 2 mahino baad usse yahan dekh raha tha.
"Oh hey Zaid!" Usne tanziyaan andaz kein kaha.
"Kaisi ho?" Mainay usse pocha.
"Mein theek." Woh 2 mint ruki. Mein chup wahan khara raha.
"Yeh btao ke sans chal rahi hai?" Usne achanak kaha.
"Per kab khatam hojaye gi, yeh nahi pata." Mein mayusi se usse jawab diya.
"Kaheen yeh na ho ke sans band hojanay ke dar se tum jeena hi chor do. Arey nhi! Tum sans band hojanay ke dar se kabhi jeena nahi choro gay."

Farasha! Kyun? Aisa bhi kya kerdiya hai mainay? I love you Farasha!
"Rooh ko sakoon dilanay ke liye insaan ko apne andar ka izteraab marna perta hai." Uske alfaz mere kanoon mein gonj rahay thay. Maiany tw khud ko hi mardiya Farasha.
End of Zaid's POV

*A/N: Assalam O Alikum everyone!!
Eid MUBARAKKK 🌷🌷
And Eid Mubarak in advance to those who are celebrating tomorrow.

Chapter kaisa tha?
Zaid ki entry kaisi hai?
Comment if you miss Humaima's POV.
And please press the star for me 😍😍💕

Khuda Rooh aur Khuwaish Where stories live. Discover now