Chapter 20

126 31 25
                                    

*Bohot khoobsorat lyrics hain, dil se perhiye ga*

So rang chahat kay, So rang ishqy kay
Jindri guzari ham ne sang ishqy ky
Sukh mein rula kay ham dukh mein hansaye rey
Jaan na paaya koi dhang ishqy kay
Tery bin koi bhi nahi sunaye jis ko haal-e-dil
Chahy phir dunya chinn jaye
Magar tu ek baar aa kay mil
~Mohobat Aag Si OST

Namaz e Mohobat tw aisi namaz hai

Jiski mile na Jaza

"Farasha hum sab jantay hain ke tum Zaid se kitni mohobat kerti ho. Tw aise kyun ker rhi ho?" Mainay Farasha ko samjhatay hoye kaha. Jannat ke birthday wali raat Farasha Urosa ke ghar hi ruk gayi thi.
"Mainay kab kaha ke mein Zaid se mohobat nahi kerti. Kerti hoon mohobat, aur sirf Zaid se hi kerti hoon. Lekin hum ek nahi hosaktay."
"Farasha tum janti bhi ho mohobat mein bicharna kaisa hota hai?" Mainay awaaz unchi kerte hoye kaha.
"Tum bhi tw.." Woh yeh bol ker chup hogayi.
"Meri baat aur hai, mera David ke saath rehna jaiz nahi hai. Agar hum kisi ko dil se chahain, aur phir usse khodein, tw saari zindagi us mohobat ki yaad mein khamosh hojati hai."
"Khamosh hi hoti haina, ruk tw nahi jati." Farasha ne pur sakoon lehjay mein jawab diya.
"Dekho Farasha! Mein David ke baghair isliye reh pa rahi hoon kyun ke mere pass hamari beti hai. Aur mera maqsad Khuda ki maafi haasil kerlena hai. Per tum.. Tum.. Farasha yaaar!"
"Chalo sojatay hain. Mujhe subha ghar bhi jana hai."
Hum dono phir sonay lait gaye. Nend tw khair hum dono ko hi nhi arhi thi. Per phir bhi hum dono hi khamosh rahay.

Subha Farasha ke janay ke baad jab mein Urosa ke kamray ki taraf ja rahi thi, jab mainay Rida ko Urosa se bat kerte hoye suna.
"Urosa tum Maima ko yahan se bhejo."
"Tum kyun nahi chahti ke sab theek hojaye?"
"Agar ammi abbu ne Humaima ko dekhliya tw bohot bara masla hojaye ga. Tum baat kyun nahi samjh rhi."
"Rida tum nahi samjh rhi." Mainay Rida ke samnay jatay hoye kaha. "Mein ammi baba ko ab face kerna chahti hoon. Mein thuk gayi hoon. Ab ya tw woh mujhe maaf kerdein ya tw mar dein."
"Rida Humaima theek hi bol rahi hai. Hosakta hai woh Jannat ko dekh ker Humaima ko maaf kerdein." Urosa ne usse samjhatay hoye kaha.
"I know my parents. Woh nhi maaf kerain gay. Kabhi bhi nhi kerain gay."
"Woh maaf kerain ya na kerain, woh mera masla hai ya ammi abbu ka tumhara nahi." Mainay ne chilatay hoye kaha.
"Humaima please samjh--"
"Bus kerdo Rida!" Yeh keh ker mein wahan se chali gayi. Urosa mere peeche mere kamray mein agayi thi.

"Mat bahao apne ansoo tum. Bohot qheemti hain yeh."
"Ansoon ki koi qheemat nahi hoti. Yeh tw woh wahid cheez hai jiska koi hisaab nhi manga jaye ga." Mainay apni siskiyaan roktay hoye kaha.
"Kya matlab?"
"Allah insan se har cheez ka hisab lega. Yahan tak ke pani zaya kerne ka bhi hisaab dena hoga. Per ansoon... Ansoon ka nhi pocha jaye ga."
"Humaimaaaa!"
"Aur tum qheemti honay ki bat kerti hai. Kisko hai mere ansoon ki qadr? Mere maa baap ko? Meri bhen ko? Kisi ko bhi tw nahi hai. Aur jisse thi ab woh bhi nafrat kerta hoga mujhse."
"Humaima jis dil mein mohobat ho. Us dil mein nafrat nahi askati."
"Jab mohobat shidat ki ho na, tw nafrat bhi utni hi shidat se hoti hai."
Uske pass is baat ka koi jawab tw nahi tha phir bhi woh kafi dair wahan bethi mere ansoon pochti rahi.

Chaly teri raahon par chaly
Hamain per gham hi gham milay
Kabhi per shikwa na kiya
Ishq ko bhaaye na gilay
Ishq bin jiya na jaaye
Ishq aansoo rulaye

Rida's POV
Ya Allah! Mein kya keroon? Agar ammi abbu ko pata chal gaya ke Humaima zinda hai tw?
End of Rida's POV

*A/N: Wait.. Wait.. Wait What? Yeh Rida ne kya bola? Hmmmmm... Ab kya hoga?

Keep Reading to find out 😇
Stay blessed!
Khuda Hafiz 🍫🍫🍫

Khuda Rooh aur Khuwaish Where stories live. Discover now