Chapter 12

151 36 11
                                    

Mein backyard mein bethi Jannat ko Urosa ke saath khelta dekh rhi thi, jab achank meri ankhon per baarish ki bund peri. Haye Allah! Barish! Aaj kitne arse ke baad mein barish dekh ker khush hoyi thi. Jab bhi baarsh ki pheli bund meri ankhoon per perti hain mujhe mohobat ki woh barishain yaad ajati hain jo mainay tumharay saath guazari theen David. Woh pheli bund kab tumharay aks mein tabdeel hojati hai mujhe pta hi nahi lagta. Lekin aaj aisa nhi hoa. Aaj aisa is liye nahi hoa kyunke aaj mere samnay Jannat thi, meri Jannat, hamari Jannat David.

"Kya soch rahi ho tum?" Urosa mere pass aker beth gayi.
"Ziyati kerdi na uske saath mainay?"
"Kiske saath?"
"David ke saath Urosa. Mein jab bhi takleef mein hoti hoon mere saath tw Jannat hoti hai. Mujhe Jannat ki har baat mein David dikhta hai. Lekin David tw bilkul tanha hoga. Uske pass tw koi bhi nahi haina. Urosa please David ko contact kero. Jannay ki koshish kero ke woh kahan hai aur kaisa hai"

"Acha mein baat kerti hoon David se. Tum pareshan na ho. Baarish kafi taiz hogayi hai andar chaltay hain."

Agar David ne move on kerliya hoga tw? Lekin acha hi hai. Agar David mujhe bhool gaya hoga tw mein bhi khud ko maaf kersakoon gi kamse kam us ziyati ke liye tw jo mainay us ke saath kerdi.

"Humaima tum se 2 mint bat kerni hai." Raat ko sotay waqt Rida ne mujhse kaha.
"Haan kaho Rida?" Woh pareshan dikh rhi thi.
"Aaj mainay David ko coffee shop mein kisi larki ke saath dekha."
"Kya? Kon thi? Kya ker rhay thay woh log? Koi dost hogi."
"Woh dost nahi lag rhay thay. Woh larki pregnant thi aur David.."
"Aur David kya? Nahi woh koi dost hogi." Mainay Rida ko baat mukamal nhi kerne di. David yeh tum kaisay kersaktay ho.
"Humaima mainay un dono ki picture li thi. Ruko tumhe send kerti hoon."
David ko us larki ke saath dekh ker mein haarain reh gayi thi.
"Yeh... Yeh tw Atarah hai."
"Atarah kon?"
"Atarah David ki cousin hai. Balkay uske bachpan ki mangetar. Bohot mohobat kerti thi woh David se. Yahan tak ke David ke ghar se chalay janay ke baaf usne suicide bhi attempt kiya tha. Per woh bach gayi thi. Aur uski family US chali gayi thi."
Urosa ne Rida ko btaya.
Usne David ke liyr suicide attempt kiya tha?
"Tw David ka tw pichle 2 saloon mein Atarah se koi bhi contact nhi tha. Ab achanak se?"
"Pata nae Humaima. Infact jab mein yahan arhi thi tab Atarah ke parents Pakistan wapis agaye thay aur unhone kaha tha Atarah ne ab move on kerliya hai. Yeh baat tw mere liye bhi kafi shocking hai ke Atarah David ke saath-" Urosa ruk gayi. Shyd woh samjh gayi thi ke isse agay kuch bhi sunne ki himmat nahi hai mujhmein.

Lagta tha jaisay ke mere waqt ruk gaya. Lekin waqt tw chal raha tha. Yeh aaj jana hai mainay tumhe uske saath dekh ker.

Tumhe uske dekh ker mujhe takleef hoti hai, na janay kyun mein phir bhi tum dono ki tasweer baar baar dekhti hoon. Jab tumhe usse dekhte hoye dekhti hoon, tw mere chehre per yeh soch ker muskurahat ajati hai ke kabhi tumne aisay mujhe bhi dekha tha.
I miss you. Haan I still miss you. Bhool jana chahti hoon mein tumko. Nahi bhula pati. Na janay kyum meri har dua ki shurowat aaj bhi tumharay naam se hi hoti hai.

Tu na aye tw bta kaisay bahar ajaye
Tu bichaar ker na mila, ab tujhe kya mein kahoon
Aaa mujhe tu hi bta, mein jiyoon ya na jiyoon

*A/N: Assalam O Aliakum dearzz!!!
Please check out the book PAKISTAN ZINDABAD on UrduNovelPraiser
Read the part "Pakistan Mere Liye"
And please leave your precious comments there ❤

Now coming towards the novel, Should I continue writing it?
Please leave your opinion in the comments section.
And silent readers if you want me to continue writing please press that star button
Jazak Allah 🌷🌷🌷*

Khuda Rooh aur Khuwaish Where stories live. Discover now