46. The First Night

1.4K 111 67
                                    

Kriti: Aree par meri baat to sun..

(Khushi walks away to her room, lays on her bed and bursts into tears. She cries her heart out)

Khushi: Mujhe Yash ki baat manani hi nahi chahiye thi.. pata nahi kya sochke mai Shiv ke paas sab sach batane jaa rahi thi... mai nahi bata sakti.. wo nahi accept karega.. shayad.. shayad wo mujhse pyaar bhi nahi karta.. shayad wo mujhe sirf ek dost ki tarah hi dekhta hai..

(She keeps crying for a long time and gradually dozes off. Main while Kriti is tensed in the room, while Karan enters the room.)

Kriti: (in mind: Project!! Damnn.. maine waise to sab complete kar liya tha lekin Haldi ke din ek project pura kharab ho gaya tha.. mai to bhool hi gayi use wapas se banana.. kal submit karna hai.. ab kya hogaa? Kya karu? Yaar ye Khushi kabhi meri puri baat sunti kyu nahi.. aur upar se ye Khushi ka bhai aur ye room.. yaar itni filmy decoration kaun karta hai? Roses se bhara bed aur ye itni saari candles.. waise hai to kaafi khoobsurat.. I am sure ye sab Jannu di ne hi kiya hoga.. isike liye jaldi aayi hongi.. par jo bhi ho.. aisi situation mein uske saamne project kaise complete karu? Aur.. aur.. w.. wo pata nahi k.. kya expect kar raha hoga aaj raat ke liye.. waise to I am very much confident kuch aisa waisa nahi karega par phir bhi.. project? Ab mein iske rooms ki lights raat bhar jalakar project complete karte kaise baith sakti hu? Isase help lu kya? Nahi.. aise kaise puch sakti hu.. damnn.. usme room share karna.. baki sab to theek hai par bed share karna padega.. god this is going to be so damn uncomfortable.. so awkward.. pata nahi kya kya hona baki hai..)

Karan: Kriti..

Kriti: ha..

Karan: tumne abhi tak change kyu nahi kiya? I mean I know har ladki ka sapna hota hai bridal lehenga pehenana par wo kitni der pehnogi? Mujhe dekhne mein itna heavy lag raha hai.. how do you carry that? Kuch comfortable pehen lo na.. tumhari bags to aa gayi hai na? Are you comfortable here?

Kriti: h.. haa.. mai.. mai aati hu ch.. change karke..
(She goes and changes into night dress)

(As she comes back, he had already changed into his night dress and was busy on his phone

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

(As she comes back, he had already changed into his night dress and was busy on his phone. She freezed lost in thoughts and he noticed it)

Karan: Kya hua Kriti? Waha kyu khadi ho? Relax.. baitho na.. make yourself comfortable..

Kriti: h.. haa.. wo mai.. (in mind: I hope iske dimaag mein koi idea na ho.. I am not ready.. I am really really not ready..)
(She slowly goes and sits on the edge of bed nervously. He looks at her and tries to ease her. He goes to her, sits on knees in front of her and holds her hands)

Karan: Kriti.. tumhe itna nervous ya awkward hone ki koi jaroorat nahi hai.. dekho.. now we can't change the fact ke we are married.. hame ye room to share karna hi hoga atleast jab tak dadi yaha hai.. but.. we can share this room like roommates.. kisne kaha sirf pati patni hi room share karte hai? Roommates bhi to karte hai naa.. you have a whole independent life here Kriti.. please be comfortable.. I know ye achanak se husband wife and all samajhna, accept karna bohot mushkil hai.. trust me mere liye bhi utna hi mushkil hai.. par tumhe koi bhi problem hoti hai to ek dost ke naate hi sahi mai hamesha yahi hu.. tumhare paas aur tumhare saath.. okay?

Unknowingly Married जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें