32. Khushi Challenges Karan

1.2K 101 162
                                    

Krits: haa kar naa.. waise bhi wo kal raat ruk nahi paaya mere ghar.. wo bhi hota to kitna maza aata yaar.. tujhe pata hai hum jab bhi gaon jaate hai na waha hamara kamra ek hi hai to roz raat ko itnaa danga karte hai itnaa danga karte hai ki sabki neend kharab ho jaati hai..

Khushi: mujhe to yaad bhi nahi karte hoge na waha jaane baad?

Krits: Jaaan.. tu to bada yaad karti hai na hame teri behen Neha ke ghar jaati hai to?

Khushi: wo bhi hai.. (laughing) on a serious note.. bhai behen ki masti hi kuch different hoti hai yaar.. duniya se alag hi kuch hota hai..

Kriti: so truee..

(Karan knocks the door)
Karan: Khushi.. darwaza khol..

Khushi: Kya hai yaar Karan?

Karan: darwaza khol naa..

Khushi: Are par kyu?

Karan. Mai bol raha hu isliyee.. mujhe Kriti se kuch kaam hai..

Kriti: m.. mu.. mujhse?

Khushi: nahi re.. Kriti Sanon se kuch kaam hai use.. of course idiot tujhse hi hoga na.. jaa darwaza khol..

Kriti: mai? Tu khol na.. tujhe bula raha hai na?

Khushi: kaam to tujhse hai naa? Jaa khol..

Kriti: Yaar Khushi.. tu marvaegi ek din..
(She opens the door)

Karan: Kritii.. mere saath chaloo.. (he holds her wrist and takes him to his room)

Khushi: are are.. ye kya baat hui? Aise kaise kheech ke le gaya?
(She goes behind them but does not enter the door)

Karan: Kriti.. yaha baitho.. (he makes her sit on the bed)

Kriti: ky.. kya hua?

Karan: Hua ab tak to kuch nahi.. lekin hoga.. very soon.. iss kamre ka renovation... Wo bhi tumhari taste ke according.. accha batao tumhe in deewaro ka rang kaunsa accha lagega? Aur ye cupboard.. ye sahi hai ya aur bada lagega? Actually bada le hi lete hai... what say?

Khushi: (in mind: pagal hai mera bhai.. pehle dadi ke jhoote bahane yaha bulaya aur ab time spend karne ke liye seedhe apni room renovate karne ke liye tayar ho gaya.. mai kehti hu to room ke parde bhi change nahi kartaa [giggles] Filhaal to behtar yahi hoga agar mai in dono ko akela chhod du.. I am so happy for you guys)
(She leaves them alone and goes back to her room)

Kriti: ro.. room j.. jaisi hai.. th.. thik hai..

Karan: Are aise kaise thik hai? Ye room sirf mere taste ke according bani hai lekin ab tum bhi yahi rahogi to tumhari pasand se bhi design hona chahiye na? Aur ye cupboard.. isme mera samaan mushkil se aata hai.. isme kaha aayega tumhara saaman? (He gives her a catalogue of room decor) ye lo.. batao isme se kaunsa colour ki deewar chahiye?

Kriti: (points on a colour) ye.. wala?

Karan: I don't like it.. kuch aur please..

Kriti: to.. y.. ye.. wala?

Karan: Yesss perfectt.. accha ab turn the page.. parde kaunse daale?

Kriti: umm.. in.. inme se koi nahi.. m.. maine ek.. du.. dukaan mein bo.. bohot acche cu.. curtains dekhe the.. mom dad ne.. kh.. khareedne se ma.. mana kar di.. diya tha.. wo or.. order kar du?

Unknowingly Married जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें