(Khushi and Karan reach Sharma house and were going to their rooms when Dadi stops them)
Dadi: Baccho.. mujhe ek bohot jaroori baat karni hai tumse..
Karan: Jee dadi.. kahiye..
Purvi: maa.. baad mein baat kar lijiye please.. bacche raat bhar se jaag rahe hai.. pehle fresh hoke kuch kha le phir baat karte hai na..
Dadi: accha thik hai.. baccho pehla
fresh hoke nashta kar lo phir baat karenge..Karan: jee dadi..
(They go to their rooms to freshen up and get ready. Khushi immediately calls Shiv from her room)
Shiv: Hello..
Khushi: Shiv...!! I am soo.. soo.. soooo... happy!! Mera paas 2 - 2 super super super amazing good news haii..
Shiv: Wow Wow.. Rajdhani Express.. cool down yaar.. ek to mai guess kar sakta hu ki Kriti bilkul sahi salamat hai lekin dusri kya hai?
Khushi: tumhe kaise pata chala Kriti thik hai?
Shiv: Tere awaaz mein jo khushi hai na usase.. chhod.. dusri baat kya hai?
Khushi: aise nahi.. pehle mujhe milo.. milke bataungi..
Shiv: ok lekin kaha?
Khushi: Wherever yaar.. kya farak padta hai?
Shiv: Accha ok.. aaj shaam 5 baje mai tumhe pick up karta hu.. ok?
Khushi: Shaam ko? Nahi nahi.. mainitni der nahi ruk sakti.. abhi milo naa..
Shiv: Okay.. to phir abhi 11 baje milte hai.. mai 11 ko tumhe ghar se pick karta hu..
Khushi: Greatt... Aur Jannu di ko bhi le aana..
Shiv: Jannu to nahi hai yaar.. abhi uska call aaya tha.. urgently mumbai se bahar jaana pad raha hai use family ke saath... aaj raat ya kal subah tak wapas aayegi wo..
Khushi: Offo.. accha koi baat nahi.. to mujhe pick karne ke baad pehle hum Kriti ke ghar chale? Use discharge mil jaayega to use gharpe milke phir jaate hai..
Shiv: that's perfect! Mujhe bhi milna hai Kriti se..
Khushi: ok then.. see you soon.. byee..
Shiv: bye!
(Call disconnected)(Karan and Khushi freshens up and goes downstairs for breakfast after taking an hour long sleep. Meanwhile, Kriti is discharged from the hospital after collecting blood samples for test and she comes back home. In the Sharma house, everyone gathers to have breakfast)
Dadi: Karan.. mujhe tujhse kuch bohot jaroori baat karni hai..
Karan: jee dadi..
Dadi: Maine teri shaadi ke liye ek ladki dekhi hai..
Karan and Khushi: Whatttt!!
(Khushi and Karan look at each other in shock)Karan: (in mind: dadi ki satak gayi hai kya? she has lost it.. out of her mind!! Shaadi? Yaha meri padhai bhi abhi tak puri hui nahi hai aur bass kuch ghanto pehle to maine apna pyaar realise kiya hai.. wo bhi ek aisi ladki ke liye jo kisi aur se pyaar karti hai.. aur upar se ye dadi.. kya behki behki baatein kar rahi hai.. aur ladki? Ye kaunsi ladki dhoondhke laayi hai ab? Aur uske ghar wale maan kaise gaye unki beti ki shaadi ek bacche se karane ke liye..)
Kavin: Karan.. final decision sirf aur sirf tera hoga.. koi tujhpe kisi tarah ka pressure nahi laayega ok? Mai samajhta hu tu iss vaqt apne career pe concentrate karna chahega..
आप पढ़ रहे हैं
Unknowingly Married
RomanceMarriage... the most beautiful event in everyone's life, which we wish to enjoy every event and cherish every moment. It is a kick start of new adventure in two individuals life, with the ultimate aim of becoming one soul two bodies. Though the brid...