Khushi: (whispers to Karan and dad) lagta hai bohot gussa hai..
Karan: (whispers back) lagta hai? Aree bewakoof she is super duper angry.. warna White Sauce Pasta banake baingan khane pe majboor nahi karti kabhi dad ko (laughing)
Khushi: baat to sahi hai..
Karan: Dad.. ab jald se jald plan par kaam shuru kar dijiye warna subah bhi shayad hamare liye White Sauce Pasta aur aapke liye Baingan bane..
Kavin: yaa right!! Aur tum dono mujhe chdodke pasta enjoy kar rahe ho? Kaise bacche ho yaar? Yaha mujh par torture ho raha hai aur tum dono ki party chal rahi hai...
Khushi: ab jaise bhi hai.. kya kare.. aakhir aapke hi bacche hai.. aur waise bhi humne thodi mom ko naraz kiya hai.. jaisi karni waisi bharni..
Karan: Exactly!! Karma is coming back to you dad! Tit For Tat.. now enjoy! (Laughing)
Purvi: Accha Karan.. khaane ke baad ice cream le aaoge?
Karan: okk maa
Khushi: mai bhi aaungi..
Karan: okk
(Soon they finish the dinner and Karan and Khushi are going to buy ice cream)
Khushi: Oh Shit!
Karan: kya hua?
Khushi: Assignment Karan!! Kal submit karni hai.. mai to bhool hi gayi.. kuch nahi kiya maine abhi tak.. damnn!!
Karan: Haa to koi baat nahi.. tu jaake assignment kar le mai ice cream le aaunga.. aur aake teri help bhi kar dunga.. waise bhi aaj mujhe koi kaam nahi hai
Khushi: Are yaar lekin mere paas to project papers bhi nahi hai..
Karan: mere bhi khatam ho gaye.. Ohh haa... Dad ke paas kuch papers hai.. mai unke room mein uss din project kar raha tha to wahi bhool gaya tha.. tabke par hi honge.. le le waha se.. mai aate vaqt aur le aaunga..
Khushi: thank you soo much yaar.. tu bestt bhai hai.. sacchii!
Karan: hmm wo to mai jaanta hu.. bass tujhe hi qadr nahi hai.. (laughs) anyways.. jaa tu shuru kar.. mai aata hu thodi der mein.
Khushi: okk byee.. and I love you bhai!!
Karan: What? You are mad!
(He leaves laughing and she goes to take papers from Kavin and Purvi's room. She was about to enter when she hears Dadi was arguing with Kavin)Dadi: Khushi aur Karan yahi rehte hai aur yaha shaadi to har kisi ki hoti hai na? Kaunsa toofan aa raha hai?
Khushi: (in mind: Shaadi? Ye ho kya raha hai? Aise chhupke baatein sunana to galat hai lekin dadi hum dono ke baare mein aur shaadi ke baare mein kya baat kar rahi hogi? Sunana to padega)
Dadi: Kavin tum ye maano ya na maano usase sach nahi badalne wala lekin mujhe Purvi ki baat bilkul sahi lag rahi hai aur isliye in 3 mahino mein mai Karan ke liye ladki bhi dhundhungi aur uski shaadi bhi karvaungi.. aur uski shaadi hote hi hum Khushi ko uski shaadi ke baare mein sab sach bata denge..
Khushi: (in mind: What?? Ye sab aakhir ho kya raha hai? Karan ki shaadi 3 mahino mein? Aur meri shaadi ka sach matlab? I swear mujhe kuch samajh nahi aa raha yaha kya ho raha hai..)
Kavin: maa aap aisa kuch nahi kar sakti aur Karan.. Karan kisi se bhi yuhi shaadi nahi karega... Karan sirf aur sirf uss ladki se shaadi karega jisase wo pyaar karega aur tab jab wo shaadi jaisa rishta sambhalne ke liye tayar hoga.. Aur rahi baat Khushi ki to mai uss saalo pehle hui bewakoofi jise aap shaadi kehti ho usme yakeen hi nahi karta.. wo shaadi na legally valid hai aur na uske baap ki nazar mein valid hai isliye uss shaadi ka koi matlab nahi banta.. aur jab wo bechari baat bhi nahi kar paati thi tab uske saath ek bewakoofi karna aur usko shaadi kehna kitna stupid hai aap jaanti ho?
आप पढ़ रहे हैं
Unknowingly Married
RomanceMarriage... the most beautiful event in everyone's life, which we wish to enjoy every event and cherish every moment. It is a kick start of new adventure in two individuals life, with the ultimate aim of becoming one soul two bodies. Though the brid...