Shiv: Aree lekin tu khush ho jaa na.. tu to waise bhi chahti thi wo dono ek dusre ke saath ho.. aur apne bhai par bharosa nahi hai kya? Tujhe kya lagta hai, wo Shaadi ke baad Kriti ko padhai continue nahi karne dega? Infact Kriti ka har chhota bada sapna pura karne mein pura saath dega tera bhai.. saath kya.. uske har sapne ki responsibility lega tera bhai.. aur Kriti bhi Karan se pyaar karti hai.. hai na? Yahi sochke haa kar di hogi usne.. lekin ek min.. Karan ne kya kaha? I wonder.. wo mana na kar de..
Khushi: Mai khush hi hu yaar.. this is all just so shocking.. digest nahi ho raha.. agar ye dono saath aa jaye to mujhse jyada khush aur kaun ho sakta hai? Lekin ek min.. wo mana kyu karega? Wo bhi to Kritss se pyaar karta hai..
Shiv: Haa.. lekin.. actually meri usase baat hui thi subah.. use lagta hai Kriti aur Sameer ek dusre se pyaar karte hai aur Kriti uske saath khush hai to ye bhi khush hai.. gadha kahi ka.. mai use iss galatfaimi ke baare mein bata hi raha tha lekin kuch connection ka problem ho gaya aur call cut gaya.. mai call back karta uske pehle tumhara call aaya aur phir mai use ye sab batana bhool gaya..
Khushi: Ohh godd.. Shiv!! Tum aisa kaise kar sakte ho? Mere gharme na sabko cheeze assume karne ki badi buri bimaari hai.. Dadi ne assume kiya ki Kriti Karan ki girlfriend hai aur Karan ne assume kiya ki Kriti Samu ki girlfriend hai.. wow.. matlab har baat mein har situation mein Kriti har ladke ki girlfriend kaise ban jaati hai jabki uska koi boyfriend hai hi nahii.. Anyways.. lekin Karan ki ye galatfaimi dur hona bohot important hai yaar.. use batana hi hoga ki Samu aur Kriti bohoot bohoot close friends hai.. aur kuch nahi hai unke beech..
Shiv: Hmmm... I think hame wapas ghar chalna chahiye aur aamne saamne baat karni chahiye..
Khushi: yes.. chalte hai..
Shiv: by the way.. ek baat puchu?
Khushi: pucho na..
Shiv: Tumhara aur Kartik ka kya rishta hai?
Khushi: Kittuu.. Aree yaar.. bohoot close friend hai wo mera.. bachpan se hum bohot close hai isliye bond kuch extra special hai.. lekin we are very very close friends.. aur kuch bhi nahi.. na mere aur Kittu ke beech aur na Samu aur Kritss ke beech.. dono pranksters hai.. aur bass ainvai bachpan se hame girlfriends bulate hai... aur waise bhi unki girlfriends hai.. aur bohot bohot sweet hai wo dono bhi...
Shiv: Ohh.. acchaa... Ok..
Khushi: Waise tum ye sab kyu puch rahe ho?
Shiv: na.. nahi.. koi reason nahi.. bass aise hi... Out of curiosity..
Khushi: okay..
(At Kriti home)
Nani: Kriti.. beta tu tayar hai na pakka?Kriti: jee Nani..
Nani: mera accha baccha.. (she moves her hand around Kriti's head lovingly) aaj tujhe pata chal jaayega tu kis ghar mein jaane wali hai..
Kriti: (smiles) (in mind: Nani ko ha to bol diya.. lekin kya mai use sachme bhool paungi? Bhoolna hi hoga.. aur koi option nahi bacha hai.. Back off to mai nahi kar sakti aur Nani ka dil rakhne ke liye hi sahi lekin mai ye shaadi nibhaungi.. Nani ne agar mere liye kuch socha hai to wo thik hi hoga.. waise bhi wo mujhse pyaar nahi karta aur mai kab tak iss ek tarfa pyaar ko lekar baithti.. aaj ke baad sab khatam.. aaj mai usase milungi jisase pure haq ke saath pyaar kar paungi.. he bhagwan.. Aur kuch ho na ho lekin I hope wo ladka ek accha insaan ho..)
(Khushi and Shiv come back to Sharma house)
Khushi: Shiv.. tum Karan ke room mein jao mai abhi aati hu..
Shiv: okay.. jaldi aana..
Khushi: (in mind: ye dadi ka mandir jaane ka time hai.. uss din jo shelf bachi thi wo mujhe check karni hai)
(She goes to dadi's room and checks the shelf she couldn't check last time and finds an old paper. Something was written on it but it was very unclear to figure out the words)
(In mind: Ye kya likha hai? Pehla word to I can figure out Khushi likha hai.. aage shayad uss ladke ka naam aur uska surname hai.. bass kich hi letters dikh rahe hai.. h, m, o, r, and a... Ab isase kaise pata chalega kuch.. baadme dekhti hu.. abhi Karan se baat karna bhi important hai)
(She clicks photo of the paper and goes to Karan's room)
![](https://img.wattpad.com/cover/164754126-288-k629304.jpg)
आप पढ़ रहे हैं
Unknowingly Married
RomanceMarriage... the most beautiful event in everyone's life, which we wish to enjoy every event and cherish every moment. It is a kick start of new adventure in two individuals life, with the ultimate aim of becoming one soul two bodies. Though the brid...