Raghav continues
Arey mai bhi insan hai ..mera bhi kuch emotions aur feelings hai lekin her baar mera feelings ko ya to galat smjha gaya ya uska majak banaya gaya ....
Tumhare ko pata hai ....jab appa aur bhai ka death ho gaya tab mera feelings ko galat smjha aama aur kirti ne aur chhor k chala gaya mera ko . Phir uska baad mai jab thoda sambhalne ka kosis kiya to mera life me Esha aya. Aur mai usko pyar kar baitha lekin tumko pata hai wo ladki mera feelings ka majak bana k rakh diya ....pyar mera se kiya aur shadi kisi aur se ... Aur sirf aur sirf paiso ka lalach me wo mera pyar ko thukra diya . Isiliye mai paiso ka peecha bhagne lag gaya aur phir Esha ka jaisa fitrat wala ladkiya mera peecha aane lag gaya .. lekin mai tab tak smjh chuka tha k un sab ladkiyo ko mera se nahi mera paisa aur reputation se attraction hai .... Isiliye mai kabhi bhi unka taraf jhakne bhi nahi gaya ...wo khud hi mera se aa k chipkta aur logo ko lagta k mai koi play boy hai .
Lekin jab mai tumhare ko mila na to tumhara liye mera nazariya alag tha ..tum mere ko un ladkiyo se alag laga aur esi wajah se mai tumhara se attract ho gaya .. Aur tumhara sath us raat wo apna life ka sabse bada bewkoofi kar baitha ... Aur jab tum bhi mera ko nahi roka to mera ko laga k sayad tum bhi mere ko kahin na kahin like karta hai .. Tumhara dil me bhi mera liye feelings hai . Pata hai ye baat soch kar k mera ko bahut sukoon mila aur mai socha k sayad mera ko bhi kisi ka life me value mil sakta hai ...mai bhi kisi ka liye special ho sakta hai...mere ko bhi koi pyar aur care de sakta hai jiska liye mai saalo se tadpta aa raha hai . Mai tumhara sath close isiliye hua kyuki mera emotions bhi tumhara se jud gaya tha ...it was not just a one night stand for me Miss Pallavi Deshmukh.. It was love for me . Aur jaisa hi mera ko es baat ka realisation hua mai aya tumhara pas tumhare ko milne apna baat batane ko lekin tum ye bola ki humara beech jo kuch bhi hua wo tumhara liye koi mayne nahi rakhta... Tum mera ko dekhna bhi nahi chahta hai , tumhare ko ghinn aata hai jab mai tumhare ko chhuta hai to ...
Pata hai us wakt mera ko aisa feel hua jaisa ki tum mera ko dhokha diya ho isiliye mai soch liya ki mai tumhare ko apna life se dur kar dega aur tabhi mai wo dukan tumhare naam pe kar diya taaki mere ko dubara tumhara shakal bhi na dekhna pade...
N he tells her how he burnt the shirt she wore n his room after that ...n how much broken he was feeling at that time ..
Mere ko laga tha pallavi ki wo sab kar k mai tumhare ko bhula dega ...lekin kya hai na life me kabhi na kabhi insan ka ek aisa weak moment ata hai jab wo ekdum tut jata hai aur us raat mera sath bhi yahi hua aur maine suicide karne ka faisla kar liya kyuki mai samjh chuka tha ki mera life ka koi value nahi hai , mai kisi ka liye bhi priority nahi hai aur aisa life jee k kya karega mai ...aur mai kood gaya terrace se ye soch kar k mera ko apna her pain se mukti mil jayega ...
Per yaha per bhi mera sath dhokha ho gaya aur bach gaya mai.. lekin tabhi mera life me Mishti aya aur wo mera ko life ka ek purpose diya , phir se jeene ka ek wajah diya , smile karna seekhaya mere ko aur realise karwaya ki mera ko unlogo ka peeche bhagna band kar dena chahiye jo ki mera ko hamesa pain deta hai. Aur sirf unlogo pe focus karna chahiye jinka liye mai value rakhta hai jaisa ki Farhad , Mishti , mera staff . Aur phir mai decide kar liya ki mai Hyderabad hmesa ka liye chhor ek naya sire se apna life start karega.
Pata hai pallavi mera marne ka khabar sunne ka baad jab tum mera ghar pe ek bar jhakne ko bhi nahi aaya to mai smjh gaya ki tumhara life me mera koi value nahi tha .. tum bhi Esha ka jaisa hi mera feelings ka majak banaya . Isilye mera dil me tumhara liye jo bhi feelings tha un sab ko wahin Hyderabad me chhor k chala gaya mai .. Aur yaha aa kar apna beti ka sath ek khushi wala life jeene lag gaya ...wo jwelery ka business bhi mai Farhad ko saup diya kyuki mera life ka ab sirf ek hi goal hai apna beti ko life ka her ek khushi aur achha parvarish dena ... Aur uska sath jyada se jyada time spend karna .
YOU ARE READING
raghvi os n short stories part 2
Fanfictionraghav n pallavi.....this book is continuation of my previous book with the same story title name......