Raghav:- gives a tight slap to Esha .
Pallavi:- gets shocked at his action
Esha:- couldn't believe that Raghav could hit her.
R:- holds Pallavi's hand n says ye hak mai diya hai Pallavi ko ki wo mera liye decision le sake . Aur usne jo bhi decision liya hai wo ekdum correct hai. Ye mat bhulo ki abhi jo mai tera baat suna wo bhi mai Pallavi ka kehne per hi suna, warna agar mai decide kiya hota to tumko apna ye sad story sunane ka mauka hi nahi milta. Aur waise tumhare ko kisne hak diya ki tum mera Pallavi ka baare me aisa bakwas kar sake. Aur tumko kaisa pata chala Pallavi ka past ka baare me n then he looks towards Pallavi & remembers the incident when Pallavi was crying near pool side ....n then he again looks at Esha ....ab samjh aaya ki Pallavi ko us time tumne hi jarur kuch bola hoga .
Tune Pallavi ka baare me jo kuch bhi ghatiya baat bola hai na actual me tum khud waisa hai , tumahara soch waisa hai. Tum janta hi kya Pallavi ka baare me . Tumhare ko pata hai abhi mai tumpe haath uthaya ,es baat ka liye bhi ye ulta mera ko hi moral science ka lecture dega ki mai ek ladki pe haath kaiko uthaya. Apna se pehla dusro ka baare me sochta hai ye phir chahe wo dusra insan esko kitna hi takleef kyu na de. Aur kya bola tum esko ki ye mera peeche pada hua hai , gold digger hai ye , to ab tu dhyan se sunne ka ye mera peeche nahi pada hai ,balki mai eska peecha hath muh aur naha dho kar ke pada hua hai. Isiliye eska baare me aaj ka baad kuch bhi galat bolne ka to bahut dur ka baat hai , kuch bhi galat sochne ka bhi nahi . Ardmaynda
Mann to kar raha hai ki tumhara muh tod de mai , lekin The Raghav Rao ladkiyo pe haath nahi uthata hai. Aur abhi ye thappad mai tumhare ko isiliye mara kaiko ki tum mera ko majbur kar diya tha ,bilkul waisa hi majbur ho gaya tha mai jaisa ki tum ho gaya tha aaj se 5 saal pehle wo letter likhkar ke mera ko bhejne per . Us ameer ladka se shadi karne per.
Tumhare ko kya laga tha ki tum ek din achanak se aayega aur apna koi random story mera ko sunayega aur mai tumhara story per yakeen kar lega. Mera ko do saal ka chhota bachha samjh rakha hai kya tum .
Esha:- Raghav maine jo kuch bhi kaha sab sach hai ..
R:- agar tune jo kuch bhi kaha wo sach hai bhi to bhi tu mera ko apna life me wapas nahi hona mangta hai .
Kaiko ki mera ander tera liye ab koi feelings hi nahi bacha hai. Tere ko kya laga tha ki tu mera ko chhor ke chala jayega to mai ab tak tera yaad me wo jal bin machhali🐟🐟 ka tarah tadpata hoyega. Tera liye anshu tapka hoyega ,tera yaad me sad song sunta hoyega . Reality check Miss Esha Madhvan,actual me aisa kuch bhi nahi hua . Mai sirf aur sirf tumse nafrat kiya tha en 5 saal tak aur Pallavi ka aane ka baad to mai tumhare se nafrat karna bhi band kar diya. U know why bcoz u don't deserve any of my emotions whether is it love or hate. U simply don't deserve any place in my life . Aur Pallavi ko tera jagah lena ka koi jarurat nahi hai kaiko ki tera koi jagah hi nahi mera life me. Aur raha baat Pallavi ka usne jo apna jagah mera dil me banaya hai wo kabhi koi nahi bana sakta .Tu acha se apna kaan khol ke sun le ki mera ko ab tera se koi matlab nahi reh gaya hai. Tum agar building se kood kar ke apna jaan bhi de dega na to bhi mai tumhare ko jhakne ka liye bhi nahi aayega. Mera life ka gaol ekdum clear hai mere ko apna life ka gaadi me reverse gear nahi lagane ka hai . Isiliye past ka baare me soch kar ke mere ko apna present aur future nahi kharab karne ka hai.
Raghav Rao ki life me Esha Madhvan naam ka chapter bahut pehla hi close ho chuka hai ardmaynda. Aur tum jo ye bol raha hai jo kuch bhi hua wo sab halaat ka galati hai to esme mai kya kare . Maine koi tumhara theka nahi le rakha hai ki tum aaj apna husband ko divorce de kar ke aaye aur phir mai tumhare ko khushi khushi apna le. Ja ke koi aur bakra dhundho halaal karne ka liye. Aur pehla pyaar ka tape recorder bajana band karne ka . Mere ko koi shauk nahi hai apna pehla pyaar ko uska anjaam tak pahuchane ka .
YOU ARE READING
raghvi os n short stories part 2
Fanfictionraghav n pallavi.....this book is continuation of my previous book with the same story title name......