Raghav:- kya matlab hai ki tumhare ko nahi pata tha mera death ka baare me . Ab tak to pura Hyderabad ko pata chal gaya hoga ki mai mar chuka hai...
Pallavi:-just shut up raghav bar bar ye marne wali baat na bolo . Tumhare liye bahut easy hoga ye bolna per mere liye bahut difficult hai sunna..
Aur mjhe isiliye kuch nahi pata chala kyuki jis din tumne wo dukan k papers mjhe diye usi din mjhe un Deshmukhs ne ghar se dhakke mar k bahar nikal diya ...
R:- per kaiko
P:- tumhare sath raat gujarne ki saza mili mjhe.. n then she tells him how sulochna, Jagdish and Vikas framed her . How they moulded the night spent with him and shop fake accounts case against her . N defamed her character.
Tumhe pata hai kisi ne meri ek baat nahi suni na meri baat ka yakeen kiya. Jis pariwar k liye maine itna kuch kiya unlogo ne mera bharosa nahi kiya .. aur mjhe beizzat kar k ghar se nikal diya . Phir mai usi raat Hyderabad chhor kar ke chali gayi hmesa hmesa k liye . Aur na hi kabhi waha k logo se koi contact kiya . Yaha tak ki tumhari Amma , Kirti aur Krishna se bhi nahi .
R:-per wo log ek anjaan adami ka jhuth ko sach kaisa maan sakta hai .Aur mana k tum mera sath physical hua lekin esme tumhare ko ghar se nikalne ka kya jarurat tha . Wo bada bindi ka beti chipku ladki wo bhi to kisi ladka ka sath intimate hua tha per wo to us ghar me reh raha hai na ...
P:- tum abhi bhi nahi samjhe... amruta us ghar ki beti hai aur mai vidwa bahu.
R:- to usse kya hua ...agar mistake beti aur bahu ka same hai phir kaiko sirf tumhare ko hi saza mila wo chipku ladki ko nahi.....
P:-tumhe andaza bhi hai Raghav ki ye samaj ek vidwa ko kis nazariye se dekhta hai... Arey agar mai kisi adami se chaar baatein has k kar lu na to us baat ka galat matlab nikalte logo ko der nahi lagti .. Pata hai kaisi kaisi baatein sunne ko milti hai ki pati mar gaya to uski aur uske pariwar ki izzat ki parwah hi nahi hai .. Vidwa hote hi na ek ladki se bahut saare hak cheen leti hai duniya . Merji ke kapde pehenne, kisi subh kaam me hissa lene ka , koi festival celebrate karne aur bhi bahut si chhoti chhoti cheeje hai jo ek vidwa ko karna allowed nahi hai .. Aur upar se samaz k taane wo to free me milte hai..
Vidwa ki dubara shadi karna to bahut muskil hota hai lekin agar wahin kisi ladke ki wife gujar jaaye to us ladke ki dusri shadi aram se ho jati hai .. Pata hai kyu ...kyuki ek vidwa ladki virgin nahi hoti n aisi ladki se shadi koi kyu karega ... Arey jab dusri ladkiyo k option hai to vidwa kyu chahiye kisi ladke ko. Ek tarah se pati k gujar jaane k baad us ladki ka wajood hi khatam ho jata hai...
Mjhe saza isliye mili raghav kyuki maine k vidwa hone k bawjood bhi kisi dusre ladke se rishta rakha ... Apne us pati ki atma ko dukhi kiya jisse kabhi mera koi rishta ban hi nahi paya tha , usko dhokha diya . Ab dhokhe ki saza to milti hi hai na ... Lekin acha hi hua jo ki saza mil gayi kam se kam logo ke asli chehre to mere samne aa gaye .
Aur jaha tak rahi baat tumhari. To maine bhi tumhe her wakt galat nahi smjha . Mjhe bhi samay k sath sath es baat ka andaza hone lag gaya tha ki tum itne bhi bure nahi ho jitna log tumhe samjhte hai ... Mai samjh chuki thi ki tum kisi ladki ka jaanboojh k kabhi fayda nahi uthoge ....aur mai khud wo fake photo wali news ko bahut pehle hi bhula chuki thi .. .
Lekin raghav us raat jo kuch bhi humare beech hua us baat ka guilt mjhe ander hi ander khaye ja raha tha aur tabhi tum aa gaye aur maine gusse me tumhe wo sab keh diya jo maine kabhi socha bhi nahi tha .. Ek vidwa ho kar k maine kaise apni boundaries cross kar di es baat ka mjhe khud pe bahut gussa tha , log kya kahege eski fikar thi .. Mere gharwale kya sochege mere baare me , kahin mere character ko judge kiya jaane lag jayega to kya hoga aisi tarah tarah ki baatein mere dimag me chal rahi thi . Mai bahut darri huyi thi ki sachai samne aa gayi to kaise logo ko face karugi ... Aur maine apni insecurities aur fear ka sara frustration tumpe nikal diya .
YOU ARE READING
raghvi os n short stories part 2
Fanfictionraghav n pallavi.....this book is continuation of my previous book with the same story title name......