Anamika:- ab tumhe sach pata chal gaya na ab jao yahan se
Ved:- plz mjhe maaf kar do mujhse bahut badi galati ho gayi. Mjhe ek mauka do sab kuch sahi karne ka .
A:- agar maafi mangni hai to ja ke pehle Raghav se mango . Agar wo tumhe maaf kar dega to uske baad mai sochungi . Warna mjhe tumse koi matlab nahi rakhna hai ved. Mai aur mera beta tumhare bina jeena seekh chuke hai , hume tumhari koi jarurat nahi hai n then she slammed the door in front of ved & locked it from inside.
V to Pallavi:- maine apni jindagi ki sabse badi galati kar di Pallavi. Apne hi dost pe bharosa nahi kiya , wo mjhe hamesa bachata raha aur maine usko hi galat samjha. Yahan tak ki usko jaan se marne ki kosis kari. Mai aisa kaise kar sakta hu . Mai to Raghav se nazrein bhi milane layak nahi bacha.
P:- kabhi kabhi aise haalat ho jate hai ki hum sahi aur galat me farak nahi kar paate hai. Sach ko jhuth aur jhuth ko sach maan kar galatiya kar dete hai. Lekin ab to galati ho gayi hai Ved , per abhi bhi mauka hai tumhare pas apni galati ko sudharne ka . Sab kuch theek karne ka .
V:- kya sach me sab kuch theek ho sakta hai
P:- ha , bas tumko es bar kosis thodi jyada karni padegi . Lekin mjhe yakeen hai ki Raghav tumhe maaf kar dega, jab usne aaj tak tumhare liye itna kiya hai to eska matlab yahi hai ki aaj bhi uske liye tum kahin na kahin maayne rakhte ho. Lekin tumne jo kuch bhi kiya us wajah se wo naraj hai. Aur rahi baat Anamika ki to mai andaza laga sakti ki usko logo ki kitni kadwi baaton ka samna karna pada hoga, kitni muskilein jhelni padi hogi. Lekin wo bahut strong hai usne logo ki baaton ko ignore kar ke tumhare bachhe ko janam diya aur uski akele parvarish kar rahi hai. Ye koi mamooli baat nahi hai. Uska gussa jayaz hai Ved tumne usse apne drugs ke business wali baat chuppa kar uska bharosa toda. Aur abhi tumne bina soche samjhe uspe aur Raghav pe jo iljaam lagaya wo bardasht karna uske liye bahut muskil raha hoga aur Raghav ke liye bhi .
Tumhe bahut mehnat karni padegi apne dost aur pyar ko wapas paane ke liye. Lekin agar tum apna 100% doge to I m sure Raghav aur Anamika dono maan jayege.
V:- Mai tumhare liye ek anjaan hu phir bhi tum mujhe itna support de rahi ho uske liye thank u so much Pallavi.
P:- ab jaldi se jao ghamandi rao ke paas .
V:- haan jata hu ghamandi rao ke paas
P:- aiyeye tum usko ghamandi rao nahi bula sakte
V:- ohh sorry bhul gaya ...es pe to tumhara copyright hoga na
P:- haan sirf mera .
V:- okk n then he started looking for Raghav in the farm ..
P:- too goes behind him but she maintains a distance bcoz she doesn't want to come in between Raghav & Ved.
V:- finally finds Raghav playing with his son Chiku ....he too goes there n sits next to Raghav ..
R:- notices him but doesn't react n he engage himself playing with Chiku ..
Chiku notices ved n he was eating chocolates n thought that Ved will take his chocolates so he gives all his chocolates to Raghav to hide them . N then he looks at Ved n shows his empty hands n says sab khatam ...n rolled his empty palms
V:- tears are rolling down from his eyes
C:-comes to him n wipes his tears n asks chocolate ke liye lo lahe ho
R:- slightly shifts his gaze n notices Ved crying n immediately turns away his eyes
V to C:- nahi
C:- to phil kyu lo lahe ho , chot lagi hai kya
YOU ARE READING
raghvi os n short stories part 2
Fanfictionraghav n pallavi.....this book is continuation of my previous book with the same story title name......