Chapter- 1

835 34 8
                                    

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Conference room mein gehri khamoshi chhayi hui thi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Conference room mein gehri khamoshi chhayi hui thi. Maiz ke gird baithe afraad ki nazrein samne rakhe kagzaat par thin, aur unki samaatein us aadmi ki awaaz par markooz thin jo itminan ke saath baat kar raha tha. Uski baaton mein ek khaas thehrao tha, jaise woh har lafz ko tol kar ada kar raha ho. Woh aadmi, jo baat kar raha tha, hamesha ki tarah maharat aur qabliyat ke saath apne khayalat ka izhar kar raha tha. Uske chehre par sanjeedgi aur aankhon mein gehri zahanat thi.

“Mera maanna hai ke agar hum is strategy ka istemal karen, to yeh company ke mustaqbil ke liye ek ahem qadam hoga.” Usne narmi lekin hatmi lehje mein kaha.

Clients mein se ek ne sawal kiya, “Aur agar yeh strategy nakaam ho jaye?”
Uske labon par halki muskurahat ubhri. “Nakaami bhi ek sabaq hai. Lekin mere tajurbe ke mutabiq, yeh mansooba nakaami ka koi imkan nahi rakhta.”

Chand lamhon ke baad, jab behas mukammal hui, to usne apne laptop ko khola taake chand zaroori documents talash kar sake. Lekin jab uski nazrein screen par jamin, to woh lamha bhar ko ruk gaya. Samne ek tasveer thi. Tasveer mein ek naujawan stage par khada tha, uske haath mein mic tha, aur chehre par bepanah itminan aur bharosa. Uske saath Khalid Akhtar, company ke chairman, bhi mojood the.

Meeting khatam hone ke baad woh tezi se CEO ke cabin ki taraf badha. Darwaze par halki si dastak de kar andar dakhil hua aur bola, “Pata hai aaj kya hai?”
Samne baithe shakhs ne bagair nazar uthaye jawab diya, “Meeting hai (kisi ka naam le lein) ke saath?”
“Ghalat!” Afzal ne chamakte chehre ke saath kaha. “Do aur moqay dunga tumhe.”
Usne bezari se jawab diya, “Kuch kaam ki baat nahi hai to main ja raha hoon.”

Afzal ne laptop uske samne rakha aur tasveer dikhai.
“Yeh kya khaas baat hai?” Usne seedhe chehre ke saath tasveer par nazar daal kar kaha. “Siwaye iske ke main kitna handsome lag raha hoon, hai na? Mera khayal hai yeh waqai ahem tha. Aina dikhane ka shukriya!” Usne itminan se kaha.

Afzal ne gehri saans le kar kaha, “Do saal ho gaye hain tumhe is company mein shaamil hue. Mubarak ho!”
“Mujhe bardasht karne ke liye? Ya---”
Afzal ne uski baat kaat di, “Do saal tak badtameez aur badmazaaj rehne ke liye mubarakbad.”
Woh masnoi muskurahat ke saath bola, “Shukriya!” Ek khaas andaaz mein.

Afzal muskurate hue bola, “Lekin woh din yaad hai? Jab tumne pehli baar un employees ke chehre dekhe the? Unke heran chehron ki haalat aaj bhi yaad aati hai.”
Usne halki si muskurahat di aur sirf itna kaha, “Yaqeenan!”

_________________________________

Mehfil ka ek shaandar hall, har taraf chamakte chandeliers aur logon ki halki magar tez guftagu. Saal ka sabse bara event, aaj company ka agla CEO announce hone wala tha.

Ek kone mein, ek shaks bina kisi shor sharabe ke khada hai. Kamar-se-fit suit, lamba kad aur chehre par ek thandi thos muskaan.

Kuch log kareeb hi khare baatein kar rahe the.

Un mese ek employee ne haqaarat bhare lehje mein kaha “Yeh bade log hamesha apne betay ya beti ko aage karte hain. Qualifications? Experience? Kuch nahi dekha jaata. Bas khoon ka rishta kaafi hota hai.”

Woh aadmi uski taraf dekhta hai, magar khamosh rehta hai. Uski aankhon mein ek ajeeb sa sukoon hai,

Fir ek aur Employee ne mazaaq udhate hue kaha
“Wohi purani kahani. Naam ka CEO hoga, aur asal kaam koi aur karega.” hath me glass pakde woh employee apne dain taraf dekhta hai. Wahan ek 22- 23 saal ka ladka khamoshi se khada tha. Woh employee janta tha ke woh yahan kabse khada tha magar woh use pehchanta nahi tha. Usse raha nahi gaya puchhe bagair,

"Tum naye ho kya?

Uss ladke ne kuchh nahi kaha bas muskura te hue sar hila diya.

"Waise tumhara naam kya hai?" Usse puchhe bagair raha nahi gaya. Baki ke 2 aadmi bhi ab uss ladke ki taraf dekh rahe the aur jawab ka intezar kar rahe the.

"Zayn" usne apna pura naam nahi bataya.

"Achha naam hai. Waise pehle kabhi dekha nahi hai tumhe office mein. Intern lagte ho."

"Shayad ab Roz dekhenge." Uss ladke ne unki taraf dekhte hue muskurate hue kaha.

Usi waqt lights dheemi hoti hain. Hall ek dam khamosh ho jata hai. Spotlight stage par girti hai, aur Khalid Akhtar mic uthate hain.

Khalid Akhtar muskurate hue bolna shuru karte hain.

“Ladies and Gentleman, Zayn Akhtar!”

Woh employees, jo ab tak baatein kar rahe the, woh ab ek dusre ki taraf dekh rahe the. Zayn dheere se apne coat ke button kholta hai, etimad ke saath us employee ki taraf dekh kar sirf ek jumla kehta hai.

“Ab dekhte hain, kaabil kaun hai.” Usne thande lehje mein kaha.

Spotlight ab Zayn par girti hai. Woh itminan ke saath stage ki taraf chalta hai, har nazar us par jam jati hai. Uska har kadam uski shanakht aur himmat ka izhar kar raha hai.

Mic pakadte hi woh hall mein ek lamhe ke liye khamoshi karta hai,

"I am Zayn Akhtar. Son of Khalid Akhtar and the new CEO of this company." Baat khatam karte hi usne mic niche rakha aur jakar kursi par beth gaya. Uske walid Khalid ne uski taraf dekha aur puchha,

"Bas itna hi ? Mene toh socha tumne koi speech taiyar ki hogi."

"Bolne se kuchh nahi hota. Mein kaam mein yakeen rakhta hun."

_________________________________________

"Bohot achha tha woh sab hai na?"

"Hoga. Magar abhi hame meeting mein jana hai aur fir mujhe ammi ke sath hospital jana hai. Toh in fuzul ki yaadon ko chhodo aur kaam par dhyan do." Kehte hue woh kamre se bahar nikal gaya.

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Mulazim-E-Al-WadoodWhere stories live. Discover now