Chapter 35

169 11 6
                                    

Zayn apni zindagi ke sab se ajeeb marahil se guzar raha tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Zayn apni zindagi ke sab se ajeeb marahil se guzar raha tha. Har chehra, har awaaz, aur har rishta uske liye ma'ani khone laga tha. Har din ek jaise lagne laga tha, jaise zindagi ek rutt ki tarah bas chal rahi ho, bina kisi maqsad ke.

Uske ghar wale uski khamoshi ko mehsoos kar rahe the. Fazila usse roz poochti thi, aur uska jawab bas ek hi hota tha. "Sab theek hai."

Uske doston ne pehle is khamoshi ko ek ghuzarati halat samjha. Lekin jab hafton tak wo unse door raha, na calls ka jawab diya, na unhe milne gaya, tab unhe samajh aa gaya ke baat sirf masroofiyat ki nahi thi.

---

"Zayn, kya hua hai? Tumhari ammi pareshan hain." Afzal ne uske bagal mein bethte hue kaha.

Zayn ne Afzal ki taraf dekha, lekin uske chehre pe koi izhaar nahi tha. "Bas dil nahi karta kisi se baat karne ka," usne beparwah lehje mein kaha.

"Dil nahi karta ya tumhe kisi se farq nahi padta?"

Zayn ek lamha ke liye chupp raha. Phir usne kaha, "Dono."

Afzal ne ek thandi sans bhari. "Zayn, use jaana tha woh chali gayi."

Usne koi jawab nahi Diya bas laptop mein kuchh kam karta raha.

---

Usne apne ghar ke logon se doori banani shuru kar di thi. Uska har din ek hi tarah guzarta-office jaana, kaam karna, aur ghar laut kar apne kamre mein band ho jaana. Fazila roz usse baat karne ki koshish karti thi, lekin Zayn bas mashroofiyat ka bahana bana ta aur khud ko band karleta.

Zayn ke liye sab kuch faislay ka masla ban gaya tha. Wo har cheez ko ignore kar raha tha-logon ki baatein, unka pyar, aur unki fikar. Usne apne jazbaat ko apne andar daba diya tha.

Lekin uske dil mein ek bechaini thi jo usse raat bhar sone nahi deti thi. Har raat jab wo aankhe bandh karta, uske zehan mein sirf ek chehra hota.

Wo khud se sawal karta tha, "Kya meri ahmiyat itni bhi nahi thi ke usne mujhe yeh tak batana zaruri nahi samjha ke woh jaa rahi hai?" Lekin jawab hamesha ek hi tha-khamoshi.

---

Zayn ka ye naya rawayya uski pehchan ban gaya tha. Uske aas paas ke log usse samajhne ki koshish karte, lekin Zayn khud ko samajhne mein nakam tha. Har chehra uske liye ek sawaal ban gaya tha, aur har awaaz uske liye ek shor.

Uska yeh khud mein band ho jaana ek aise mod par aaya tha jo shayad sirf wahi badal sakti thi. Lekin ab woh uski zindagi ka hissa nahi thi, aur Zayn us haqeeqat ke saath jeene ki koshish kar raha tha.

Mulazim-E-Al-WadoodWhere stories live. Discover now