Chapter 31

167 10 8
                                    

Zayn apne office ke cabin mein baitha files dekh raha tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Zayn apne office ke cabin mein baitha files dekh raha tha. Andar se shor tha, shayad printing room ka. Usne ek thandi aah bhari aur apni kursi se uth kar window ke paas ja kar khada ho gaya.

Tabhi ek knock sunai di. "Aa jao," usne bagair palat kar kaha.

Darwaza khula aur Muskan ander aai... uske haathon mein ek bag tha.Woh dheere se andar ayi.

"Muskan?" Zayn ne puchha.

"Haan woh tumne notes diye the. Toh mene socha..."

"Zayn, tum yahan ho?" Mahira ander ayi. Uska chehra khushi se chamak raha tha.

"Haan, aur tum yahan?"

"Shopping karne ayi thi," Mahira ne bechaini ke sath jawab diya.

"Shopping? Kis liye?"

"Fazila aunty ne mere parents se baat ki hai... aur sab maan gaye hain. Iss weekend hamari sagai hai," Mahira ne apni khushi chhupane ki koshish ki. Aur woh koshish na kam thi.

Zayn kuch bolta ke uski nazar door Muskan par padi. Woh shaanti se khadi thi, apne haathon mein bag sambhale. Woh Mahira ki taraf dekh rahi thi. Uske chehre par koi ehsaas nahi the.

"Muskan, kuchh important tha?" Zayn ne sawal kiya.

"Nahi bas, Notes ke liye shukriya," Woh dheere se aage aayi aur uske samne bag rakha.

Zayn ne bag uthaya aur dekha, "Yeh kya hai?"

"Pastries hain,"

Muskan ne thoda ruk kar kaha, "Mujhe chalna chahiye." Woh palti aur darwaze ki taraf chalne lagi.

Zayn ki nazar us par thi. Har kadam ke sath uske dil mein ek ajeeb si khalish badh rahi thi. Jab tak woh darwaze ke bahar gayi, uski nazar us par tikki rahi.

"Zayn," Mahira ne use bulaya.

Zayn ne uski taraf dekha, "Koi sagai nahi hogi," usne sakhti se kaha aur Muskan ke pichhe cabin se bahar nikal gaya.

Zayn ne apni car start ki aur uske samne ruk gaya.

"Muskan, car mein baitho," Zayn ne kaha.

"Zayn, mujhe jaana hai," Muskan ne dheere se kaha.

"Mujhe baat karni hai tumse. Bas ek martaba sun lo," Zayn ne uski taraf dekha.

Muskan ne thoda socha, phir car ke andar baith gayi.

"Tumhe woh notes kahan se mile?" Muskan ne sawal kiya.

"Banwaye the."

"Kyun?"

"Kya ab mein tumhare liye notes bhi nahi banwa sakta?" Zayn ne uski taraf dekhte hue kaha.

"Kya?"

"Mera matlab hai hum dost hai na. Toh itna toh chalta hai."

Zayn ne gadi Park ke samne rok di. Park mein khamoshi thi. Woh dono abhi gadi se utre hi the ke azan hone lagi.

"Tum nahi jaoge?"

Zayn ne ek lamha ruk kar kaha, "Nahi."

"Tumhe jaana chahiye."

"Pehli martaba hai,"

"Toh kisi se seekh lena,"

"Theek hai."

Muskan ko hairani ho rahi thi ke woh uski baat itni asani se kaise maan raha tha. Woh uth gaya aur masjid ke andar chala gaya.

Muskan masjid ke bahar khadi thi, Woh gadi par pith lagay khadi thi. Usne apni bain taraf masjid ko dekha. Zayn apni white shirt ki bazu ko kohni tak modta aa raha tha. Woh use kisi shehzade se kam nahi lag raha tha. Zayn ne apne mathe par bandha rumal hataya aur uski taraf dekha. Uski Sunehri aankhein Zayn ki gehri bhuri aankhon se mili. Woh usper se nazre nahi hata paa rahi thi. Kuch toh ho raha tha. Uske jazbaat kaaboo mein nahi the. Woh samajh nahi pa rahi thi ke yeh Zayn ki khoobsurati hai ya uski nazren.

Zayn uske kareeb aaya, rumal ko apni jeb mein rakha aur ek lamha ruk kar uski taraf dekha.

"Chalein?" usne dheere se puchha.

Muskan ne ek lamhe liya apne aap ko sambhalne ki koshish ki. Woh uspar se nazar hata nahi paa rahi thi.

"Haan," usne dheere se kaha.

"Mera matlab hai. Mujhe ab ghar chalna chahiye, tumhe bhi kaam hoga. Bye" usne hichkicha te hue kaha.

"Tum... Kuchh der aur nahi ruk sakti?"

"Kyun?"

"Bas aise hi. Stay for a while. Kahin chalte hain."

"Lekin ab toh der ho gayi hai. Mein cafe se direct tumhari office aai thi. Fir late gayi toh papa gussa karenge."

"Haan yeh bhi hai. Chalo mein drop kar deta hun."

"Nahi mein chali jaungi. Tumhe dur hoga."

"Koi baat nahi. Chalo." Kehte hue Zayn gadi mein beth gaya. Usne gadi uske ghar ke saamne rokdi. Zayn uski taraf palta. Uski nazar Muskan ke ghar ki chhat par gayi.

"Woh kya hai?" Zayn ne hairat se puchha.

Muskan ne uski disha mein dekha aur hairan ho gayi. Azlan chhat par kisi se muskura kar baat kar rahe the.

"Woh muskurate bhi hain?" Zayn ne mazak karte hue puchha. Muskan ne ek nazar use ghoor kar dekha. Fir apni nazar Azlan ki tarf ghuma li.

"Unhe hua kya hai?" Usne khudse sawal kiya.

"Shayad girlfriend ban gayi hogi."

"Tum shaant nahi reh sakte ?" Muskan ne uski taraf gusse se dekha.

"Fine. Nahi kahunga kuchh."

"Mein chalti hun ab. Dhyan se jana. Allah Hafiz." Keh kar woh gadi se utri aur bhaag kar ghar ke andar chali gayi. Woh nahi chahti thi ke Azlan use Zayn ke sath dekhe aur koi tamasha kare.

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Mulazim-E-Al-WadoodWhere stories live. Discover now