Chapter-4

321 19 6
                                    

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Exam hall se bahar nikalte hi, sab ne ek gehri saans li jaise woh sirf isi lamhe ka intezaar kar rahi thi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Exam hall se bahar nikalte hi, sab ne ek gehri saans li jaise woh sirf isi lamhe ka intezaar kar rahi thi. Aakhir semester exams khatam ho gaye the. Muskan, Mahinoor, Aaliyah, aur Jiya ne ek dusre ki taraf dekha aur bina kuch kahe muskura di.

"Allah ka shukar hai yeh azaab khatam hua!" Jiya ne apna beg uthate hue kaha.

"Yaar, mujhe toh ab tak samajh nahi aa raha woh question number 5 ka answer kya tha," Aaliyah ne pareshani se kaha.

"Chhor na, jo ho gaya, so ho gaya," Muskan ne halka sa hans kar kaha.

“Yaar, mere toh MCQs hi galt ho gaye,” Mahinoor ne dukhi shakal banate hue kaha.

“Woh 13th ka answer? Mujhe lag raha tha option ‘C’ hai, par maine ‘B’ tick kar diya,” Jiya ne apne bal suljhate hue kaha.

“Sabse pehle toh kuch khane chalte hain,” Aaliyah ki awaaz mein ek chhoti si utsukta thi.

“Khane?” Mahinoor ne thodi hairani se poocha.

“Haan, yaar!” Muskan ne behtareen muskurahat ke saath jawab diya.

Mahinoor ne use shoqi nazron se dekha.
“Exam ki itni badi bala sir se utri hai. Celebrate karna toh banta hai!” Aaliyah ne samjhate huye kaha.

“Tumhare paas hamesha ek reason hota hai khana khane ka,” Jiya ne hans kar kaha.

“Reason ki zarurat nahi hoti, Jiya. Khana khud ek reason hai,” Aaliyah ne tasalli di.

“Achha chalo,” Mahinoor ne thoda hansi dabate hue kaha.

“Sarah ko bhi puchte hain,” Muskan ne apne bag se phone nikalte hue kaha.

“Woh abhi hospital mein hogi na?” Mahinoor ne sochne wale lehje mein kaha.

“Puchte hain na, aur agar woh busy hai, toh hum uske hospital ke paas wale restaurant chalte hain,” Muskan ne kaha.

“Hmm, ye idea bura nahi hai,” Jiya ne tasdiq di.

"Magar Muskan tum thik toh hona ?" Aaliya ne fikar  karte hue puchha.

"Haan mein thik hun. Bas pair mein halki si chot hai."

"Magar yeh hua kaise ?" Mahinoor ne sawal kiya.

"Koi andha Gorilla jaisa aadmi gaadi chala raha tha. Mujhe uska mazeed zikr nahi karna. Chalte hain." Uski awaz mein nafrat saaf zahir ho rahi thi. Sabne ek dusre ki taraf dekha aur college se nikal gayi.

__________________________

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

__________________________

Mulazim-E-Al-WadoodWhere stories live. Discover now