Chapter-9

253 19 0
                                    

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Muskan ne hall ke darwaze ko dhaka diya, andar ki roshni ne ek pal ke liye uski aankhon ko jhapakne par majboor kar diya

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Muskan ne hall ke darwaze ko dhaka diya, andar ki roshni ne ek pal ke liye uski aankhon ko jhapakne par majboor kar diya.

Andar ka mahaul khaamoshi se bharpoor tha, sirf stage par chalti hui speech ki awaaz goonj rahi thi. Usne ek seat dekhi jo khaali thi, wahan jakar baith gayi.

"Yeh seat meri hai," woh shaks pur-sakoon magar mukhtasir lehje mein bola.

Muskan ne uski taraf dekha aur aankhen tayor karte hue kaha, "Yeh public hall hai. Har seat sab ki hai." Uska jawab jaldi aur be-taamull tha.

Woh shaks mazoor ho gaya, aur jakar uski bagal wali seat par beth gaya. Kuch der baad,

"Haan ab award ceremony start hogi." Uske bagal mein bethe shakhs ne kisi se baat karte hu kaha.
Muskan ko woh awaz kuchh jani pehchani lagi. Usne apne mobile mein flash on ki.

“Tum phir yahan?” usne flashlight uske chehre ki taraf karte hue kaha.

“Tumhe kya lagta hai? Main yahan tumhare liye aya hoon?” Zayn ne flashlight ko dim karte hue kaha.

“Tum meri zindagi mein ek din sukoon ka nahi chor sakte kya?” Muskan ne gusse mein mobile uske haath se kheenchte hue jawab diya.

“Jaise mein mara jaa raha hun tumse har roz milne ke liye” usne jawab diya.

Un dono ke darmiyan jo behes thi woh us waqt thami jab Sarah ka naam stage par liya gaya. Uske stage par aane par Muskan ne zor se taaliyan bajai, lekin agle hi lamhe Zayn ne us se bhi ziada zor se taaliyan bajana shuru kar diya, jaise woh kisi championship ka hissa ho.

“Tum kya kar rahe ho?”

“Tumse ziada hosla afzai kar raha hoon,”

Muskan ne ghusse se uski taraf dekha aur socha, "Yeh banda yahan bhi mere saath mukabla karne aaya hai?"

Sarah ke liye taaliyan bajate bajate, un dono ke beech ka tamaasha mazeed bara ho gaya.

Sarah stage par thi, magar Muskan ka dhyan bar bar uske saath baithay us shaks ki taraf ja raha tha. Woh us shakhs ke Sarah ke liye jazbaat mehsoos kar sakti thi, lekin woh samajh nahi pa rahi thi ke woh yeh kyun dekh rahi hai. Kuchh der baad speech khatam ho gayi aur sab hall se nikal ne lage. Muskan ka dhyan ab bhi usi baat mein ulja tha ke Zayn, Sarah ke liye itni zor se taaliyan kyon baja raha tha.

"Ab yahan se uthnay ka irada hai ya camping ka plan hai?" Zayn ki awaaz ne uski soch tod di.

"Zindagi mein kuchh der shanti se nahi reh sakte ho? Hamesha musibat le kar aate ho!" Muskan ne zair bhari awaaz mein kaha.

"Bol bhi kon raha hai. Jo khud ek musibat hai" woh bhi tanz karte hue bola.

Muskan ne usse behes karna zaruri nahi samjha aur Sarah ki taraf chali gayi. Woh uske paas gayi aur usay mubarakbad di. Aur phir seedha ghar ki taraf rawana ho gayi. Woh ab tak uss shakhs ka naam nahi janti thi, aur bina naam jaane hi usne Muskan ke dil mein apne liye itni nafrat paida kar li thi. Woh usme koi dilchaspi nahi rakhti thi magar fir bhi woh shakhs jab bhi use milta kuch na kuch aesa karta ke woh use apne dil o dimag se naa nikal pati.

Ghar pohanch kar, Muskan ne apna bag ek kursi par phek diya aur bed par gir gayi. Uski aankhon ke samne pankha ghuma aur usne ek gehri saans li. Magar ye sukoon bas chand lamhon ka mehmaan tha.

"Bas sote raho, padhai ka toh tumhe shauq hi nahi," uske walid Azlan ne garajti awaaz mein kaha.

Muskan uth khadi hui, bag uthaya aur kamre se bahar nikal gayi.

"Main tumse baat kar raha hoon. Tum meri baat ko nazar andaz karna bandh karo!" Azlan ne ghusse se kaha.

Muskan ne unki taraf dekha, uski aankhon mein woh dard tha jo saalon se uske dil mein daba hua tha. "Kya kabhi aap ne mujhe apni beti samjha hai?  Jo pyar aur shafqat aap mujhse nahi kar sakte, main uska ehsas kaise karoon? Aur kyun aapki baat manu? Kyun aapko jawab dun?"

Azlan ne kuch kehne ki koshish ki, magar woh zor zor se khaans ne lage. Uski maa- Kiran pani le kar ayi aur unka haath dabane lagi. Muskan ne ek pal ke liye socha ke unki tabiyat theek nahi lag rahi, magar uska ghussa usay wahin roke rakha. Usne bag uthaya aur ghar se nikal gayi.

 Usne bag uthaya aur ghar se nikal gayi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

___________________________

Mulazim-E-Al-WadoodWhere stories live. Discover now