Chap.23

224 9 7
                                    


*Yaad khatam *

Yahi ISI barande Mein Khade unhone use Hathkari Lagai thi Yahi ISI ghar mein vah Hasmukh se ladki bhagati Najar Aati thi zartasha aur Yahi is ghar mein vah faris tehelta raha tha bechaini mein karb se jab waris ghazi ko Mara gaya tha yahi usne Nazar uthakar ek khirki ko dekha yaha se roshni or kum kume raat ko munavvar kiye hue the vah takleef De Yaadein Thi faris Ne Sar Jhatka
Jaise bahut Kuchh zehan se bhi jhatka ho aur FIR Teji se bahar nikal Aya

Darvaja jor se band Kiya lock click hokar ho dubara Mukafal Ho Gaya voh Lambe Lambe dak bharta Dur Jata Dikhai de raha tha

______________________________________

Nashta chhubhe Hue The
Ra khe Jaan Ke aas paas
______________________________________

Subah Jab Suraj ki Roshani badalon ke kinaron ko Sur aur Jamini Rang Mein bahka rahi thi to Shahar ke karobari ilake mein usne Siya pent per button wali shirt pahan Rakhi thi Baal bahut Chhote Katwa liye the faujiyon Ki Tarah
jaise inch bhar Baal Hon

Do Hafte pahle Reha hone wale Faris se voh bilkul alag lag raha tha

Scan detector agy laga tha jis mainse log guzar guzar kar ja rahe they faris side se guzar kar chala gaya Gards chonke or ek Gard ne awaz did magar faris ne nahi suna wo reception tak Aya or bola

"Hashim kardar ka office? "

Faris ne ukhre andaaz main puchha

" 5 floor par magar ap kon---"

Receptionist ka fikra adhura reh gaya wo agy bhar chuka tha

Gards Uske Piche Aaye Magar voh lift mein dakhil ho chuka tha aur Guards Ke Aane Se Pahle usne lift ka darvaja band kar liya tha

gard ghabrakar wireless pe call Karne Laga Jab lift 5 floor per pahunchi to faris ne ek gard ko wireless pakde Uske Samne Aate Dekha

Faris nazar andaaz Karke rakhdari Mein Aage badh Gaye

Usy galabtan hashim ke office ka rasta yaad tha bas floor ka number bhool gaya tha

"Hashim hai? "

Usne sarsari andaaz main Hashim ki secretary ko puchha

Wo " jii " kehti hue khari ho gayi

Uske taraf ek gard bhagta hua a raha tha Use rokane ka Ishara kar raha tha

" Sar mister Kadar masruf hai aap andar Nahin ja sakte "

Vah andar Jaane Laga to guard Uske Samne a Gaya aur bola

" ap andar Nahin Ja Sakte apne niche security Ko---"

" MERE MU MAT LAGO "

faris chadhe Huye tevaron ke sath security ke kandhe per Hath rakhte use side pay Dhakka Diya aur andar Chala Gaya

Gard hawaas bakhta Sa Piche
bhaga

andar Hashim apni seat per take lagakar Baitha Samne maujud 2 Afradh se Kuchh Keh Raha Tha is Achanak Ustad per usne sar Utha kar dekha faris se Gard tak ka safar Kia

" inko bhejo mujhe baat karni hai "

Faris Teesri Kursi khinchte Hue tang per tang Rakhe baith Gaya

"Sar main Inko mana kar raha tha magar--"

"han theek hai maine hi Bulaya Hai"

Taaja Dam hokar muskurate Hashim Ne unko jaane ka Ishara Kiya

Voh nikale to Hashim Piche Ho Kar Baitha aur Khamoshi se Faris Ko Dekha

" Kyu bulaya hai "

usne abru uthakar ukhry ukhry andaaz main puchha

Hashim Uthao Deewar Tak Gaya bus Deewar Mein Ek painting Lagi Thi Hashim Ne painting ko sliding Dor Ki Tarah daen Taraf slide Kiya andar Deewar Mein nasht sef tha usne Kuchh number dial Karke sef khola uski pusht Faris Ke Samne thi aur voh password ya andar sef Nahin dekh sakta tha Hashim sef Band Karke palta Aur mez per Kuchh documents aur ek plastic bag Rakha us shafaaf bag main kuch zewar they

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now