Chap.27

222 6 0
                                    

Kamra -e- Imtihan Mein mamul ka sannata tha sare bache dhara dhar likh rahe the

haneen thhak kar apni dard hoti ungalion ko sehla rahi thi
Or apni gardan ko relax karte hue daen taraf dekha Kamre Ki Ek Deewar Khirki Se Dhaki Thi Aur Samne Sarak Aur banglon Ke Katar Nazar a rahi thi Jis law college ko Unka imtihani markaz Banaya Gaya Tha voh darasal Ek Bara Sa Bangla tha aur ye Kamra yakeenan drawing ke Taur per istemal ke liye Banaya gaya hoga Usne Socha

niche loan tha aur vahan se UN adher Umr Vakeel Sahab Ki car Nikalti Dikhai de rahi thi Jo High Court ke Vakeel they is Law College Ke Malik the aur Har paper mein bar bar imtihani kamron ka Chakkar lagakar apni kharab angrezi Mein Ladkiyon ko nakal karne ke natayaj se darane ki koshish Karte The Shukar hai ke ab voh Kahin ja rahe the aur agale Dedh ghante Sar per Sawar Nahin Honge

Usne Muskurahat daba kar Socha aur dobara Apne paper per Jhuk gai

" hash " Naima ne piche se haneen ko Jaise bulana chaha

Haneen ne jhunjhula kar apni teacher ko dekha jinki Unki Taraf pusht thi aur FIR Piche muri or boli

" Kya hai "

" Ye rafiya ko do "
Naima ne usy ek tissue diya

Haneen Ne jaldi se tissue Pakra Jaise koi Jalta Hua Angara Ho or rafiya ki Kamar per pen Chhupa kar use Mutawajja kiya

Teacher Chalti Hui Aage ja rahi thi line khatam kar ke he voh Murti aur isse pahle hi usne rafiya ko voh de dena tha magar rafia Dar Gayi ya use samajhne Mein Galti Hui aur ya FIR teacher galat time pay muri

Use hath laga kar tissue pakrati Haneen Ke Hath se tissue Gira aur voh foren paper per Jhuki Uske ghabrahat ne sab waze Kar Diya

Teacher tej tej chalti us tak ayi or tissue Utha liya

Haneen wapis paper par likhne lagi magar Hath Nam Ho Gaye parcha Nam Ho Gaya syahi failne Lagi

"aap nakal istemal kar rahi thi Kahan Se Aaya yeh aapke pass chhode paper"

Do Hathon Ne uska paper khincha do teachers Mazeed uski Taraf ayi voh Hakka bakka Si Baithi Reh Gai

"yeh Mera nahin hai mam mujhe nahin Pata ismein kya hai "

"Jhoot mat bolo mene khud tume ye tissue pakre dekha hai "

"Yeh Naima Ne diya tha rafiya ko dene ke leye "

usne pichhali aur Agali donon ko ghasita ki voh koi uski acchi dost na thi jinko voh bachati

"mera naam Kyon Le rahi ho mujhe nahin pata ye kya keh rahi hai "

donon bilkul LA taluk ho gayin

Kamre Mein Tamasha Lag Gaya Sab Sar Utha Kar dekhne Lage teachers use Utha rahi thi ki voh apni chizen Lekar office mein a Jaaye uska parcha khatm

"aap per case Banega aur Thane Mein darj Hoga 3 Sal Tak aap papers Nahin de sakti "

Unke lafz haneen Yusuf ki rooh zabd kar rahe the zameen Aasman uski Nigahon Ke Samne ghumne Lage aaj to vaise bhi Aakhiri paper tha yeh ek dam se sab kaise galat hone laga tha

"Mam yeh Mera nahin hai mujhe nahin Pata tha ismein kya likha hai"

voh khushk halak ke sath keh rahi thi

Kisi ne use tissue pass Karte Nahin Dekha Tha superintendent Ne tissue Uske pass Dekha Tha aur Agali pichhali unhen Kati dun lombri Ka Shikar lag rahi the sirf use uthaya Gaya voh minnat Karti Rahi gusse se bhi Boli Magar Kisi Ne uski Nahin Suni

Superintendent use do room cross Kar ke Ek office numa Kamre Mein Le ayi Use Kursi per Bitha Diya parcha paper weight tale Rakh Diya aur ek dusri teacher ko university ke inspection team ko call karne ka Kaha mukadme ka parcha unhone hi Aakar banvana tha Yakeenan wo Shahar ke kisi dusre imtihani markaz ke daure per Thi unko Aane Mein Kuchh Waqt Lagna tha Ghadi Ki Tik Tik haneen ke sar per hathaure Barsa rahi thi voh Safed Chehra ke sath bathi thi magar Khamosh nahi wo bar bar ehtajaj kar rahi thi

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now