Chap.33

147 4 4
                                    


Sarak tareek thi Magar sunsan Nahi thi traffic thi shaadi gadi drive kar raha tha aur Osama Piche Leta so raha tha

"mujhe yakeen nahi aata ki Hashim is had Tak Ja sakta hai "

Wo wind screen Ke Paar Dekhti talkhi se boli thi aankhon main abhi tak narazgi se bheji thi

"Unki Galti nahi thi ye unke guard Ki Galti Thi is baat ka Kasur Hashim bhai ko mat dein "

Habib Piche Baithi Teji se Aage hui thi

"Mulazim kabhi bhi Malik ke Ishare ke bagair Itna Bada Kam Nahin karte or Hashim ke mulazim to kabhi nahi

" phopho Sahi keh rahi hai voh Hamen bezat karna chahte tha"

saadi ne car rokte Hue bola

"Mera Restaurant jaane ka Dil Nahin Hai kuch take away kar lete hain"

Saadi ne asbat mein sar hilaya Aur haneen Ko Ishara Kiya ki Uske kot ki Pocket Mein Se wallet pakrae idhar haneen Ne kot Pakra Udhar Zumar Ne bag khola

"Rehne De phopho main de deta hun paise haneen wallet do "

is dafa saadi Drishti Se Bola Kyunki Haneen wallet nahi de rahi thi voh wallet Nikal Bhi Nahin rahi thi usne Kuchh aur nikala tha Kisi Ehsas ke tahat zumar aur saadi Ne Piche murkar Dekha to do ungliyon main wo damakta necklace Utha Kar hairat se dekh rahi thi Zumar Ki Aankhen ruk gai saadi Ko To Jaise aaspaas Ki aawazen Aana Band Ho Gai thi

"Ye....kot main ... Tha... "
Haneen hairat or pareshani se keh rahi thi

"Yeh misses kardar ka hai main isse pehchanti hun "

Sard awaaz mein voh boli aur Unse barfili nazron se saadi Ko Dekha

"Ye yaha kya kar raha hai "

Hakke bakke saadi ne chonk kar zumar ke tasurat dekhe

"Phopho ye mene nahi churaya "

"Saadi gari chalao "
wo sidhi ho kar baith gayi chehra sapat tha

"Phopho ye Maine nahi churaya apko lagta hai main chor hun? "

Saadi ka to jaise Dil he tut gaya tha

"Saadi gari chalao "

"Yeh Hashim Ne Mujh per plant Kiya Hai settle Kiya Hai main aapko Sab bata dunga Magar aap mera yakeen to Kare"

"Yakeen? "
Zumar ne dukhi nazro se use dekha

"Aur Agar voh Tumhari talashi Li jaati aur Tumhari Jeb se yeh nikalta to main Kisi Ko Munh Dikhane Ke Kabil rahti Maine Tumhen yeh sab Nahin Sikhaya tha tum voh shaadi Nahin Ho Jisko main Janti thi"

Saadi Mein Bebasi Se Apna Sar Steering Wheel per Rakha

" Agar Maine yah Churaya Hota to kya main kot ko asy phenk ta? Ye mene nahi churaya "

"Bhai chori nahi kar sakta bhai chor nahi hai ye kisi ne unke kot main dala hoga bhai bina Jane "

Haneen se or bardasht nahi hua tha

"Kisi ne nahi hashim ne kiya hai ye sab usi ka kiya dhara hai "

"Saadi mujhe ghar chor do abhi or isi Waqt "

Zumar Rukh mor kar shishe ke bahar dekhne lag gayi thi

"Kya Mtlb hai apki ghar chor dun aap mujhe Itni Crysis ( dukh) main to Yun Chhod Kar Nahin Ja sakti zumar "

Jazbaat ki Intaha thi ke saadi Mu Se zumar Nikla tha

Wo jo 21 saal zumar rahi thi or pichle 4 saal ki sard mehri ke bad phopho bani thi usko ye lafz chabuk ki tarah laga tha bohot tarap kar usne sulagti nazro sey saadi ko dekha

"Or meri Crysis tum kaha they?
Ye to ek choti si chori hai tum koi acha wakeel kar ke duniya ki kisi bhi adalat sey apne ap ko be gunnah Sabit karwa sakte ho saadi ye koi Crysis nahi hai Crysis to meri thi tume pata hai jab kisi ki Kamar cheer kar gurda nikala jata hai to kitni takleef hoti hai Tum kabhi bhi wo dard nahi samajh sakte or bat karte ho Crysis ki "

Saadi bilkul thanda par gaya
Haneen ko laga Saadi nila par jayega
Magar wo nahi para sare zeher nila nahi kiya karte
zumar ne Rukh mor liya

" to AJ apne keh he diya "

Uski aankhen shidate zabd se surkh ho rahi thi

" Mujhe ghar chor do "

Saadi ko dekhe bina Zumar 4 lafz boli

Haneen bas apne bhai ko dekh rahi thi Jo sar hila kar gari start kar raha tha haneen ko laga Saadi ke aankhon main aansu they ya shayad haneen ki apni aankhen Nam thi

" I'm sorry main apke pas nahi tha Mera test tha or main fail nahi Hona chahta tha "

Haneen Dil garifta si piche ho kar baith gayi

" It's okay Mujhe Koi Shikayat Nahi Hai"

Zumar ne be tasur lehje Mai kaha

Ghar Aaya to zumar Khamoshi se gari se Utar gai magar jab ammi gari main a kar bathi to khamosh na thi unke pas bohot sawal the Kon Kon Mila khane mein kya tha kya kya hua magar Haneen aur saadi ke pass unke jawab Na the

Saadi ne haneen ko pehle he keh diya tha ke wo ammi ko kuch na bataye kyun ki wo Dil ki mariza thi

Sem duniya se be khabar so raha tha

______________________________________

Unke jalvon ko zindagi keh kar
apni nazro ka Waqar Kho Baithe

______________________________________

Don't forget to vote lovelies ❣️!

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now