Chap.26

203 9 0
                                    


Kardar Khandan ke Patra ke sabza zar Mein mulajimon ka Amla aur Fazil waiter party ki taiyariyon mein masroof they Under lounge mein bhi Safai sutrai ki ja rahi shehreen tamdeed kadmo se Jeene chadhti Upar ja rahi thi Hashim ka Kamra sunsan Para tha voh Aage Barhi nosharma Ke Kamre ka dakhile darvaza Khula tha aur aage balcony Ka bhi wo balcony Mein Baitha tha laptop God mein kanon mein earphones shehreen Vahi Khari Rahi Yahan Tak ke nosherwa Ne Chauk kar uski Taraf Dekha To vah Sar jhatak kar Jaane Lagi to nosherwa bola

"aap kab Aayi ayien na "

Voh earphones jaldi se utarta Khara hua pichli dafa ki nisbat wo is dafa Durust Huliye Main tha

voh shehreen ko pasand Karta Tha Koi Andha Bhi Bata sakta tha
aur Shehreen Andhi Nahin thi
Albatta use Maloom tha ki voh kehne ki Himmat Nahin Rakhta

pareshani Mein nafi Mein Sar hilaya

"nahin tum baitho " FIR Ruki or boli

"Hashim hai yaa..."

usne nosherwa ke bhai Ka Naam Liya Vahi bhai Jiske Dar se shuru Kabhi keh Nahin sakega ki wo shehreen ko pasand karta hai

"bhai ka day off tha magar voh Shayad shella aunty ke case ke liye Kahin gaye hain unke driver Ne accident kar diya tha Kisi ka "

voh abhi tak Muntazir Khara tha

" voh Hota Bhi To Mera Kam Nahin Hona Tha its okay Jaane do "

Keh kar wo jane lagi to sheru bola

"Kya Kam? Mujhe bataye "

Wo kehta kadam kadam chalta ustak Aya

"Chhoro Tumse Nahin hoga "

" Well Agar aapne Apne kam ka zikr Mujhse kiya hai to yakeenan aapko Lagta Hoga Ki main kar sakta hun to bataen Kya Kam hai "

Wo Itna bhi bevkuf nahin tha
Shehreen thaky Andaaz se muskurai

"Sonia vahi hai asli masla usko Meri aur Hashim ki pictures chahie honeymoon ki"

"to aapke pass Nahin Hai? "
Nosherwa ko andar se khushi hui

"Main takleef de Yadon ko sambhal kar Nahin rakhti "

usne sunehre balon Mein Hath ferkar unko Piche karte hue kaha wo donon hanosh chaukhat per Khade the

"shaadi ki to mere pass bhi hongi Magar honeymoon wali Hashim ke laptop mein hongi aur Main Tumhare bhai ke Muh Nahin nai lagna chahti"

Shehreen bahut hi befikri se laptop ka zikr Kiya

" no problem main copy kar deta hun bhai office nahin Gaye to laptop Ghar per Rakh kar Gaye Honge "

"Jaldi karna main is Kamre Mein zyada der tak Nahin rukna chahti "

Kehte hue usne flesh drive nosherwa ne flesh drive pakarte hue Nazar Bhar Kar Uske Chehre Ko Dekha

"main samajh sakta hun "

vo JawabBan zakhmi Sa muskuraiyi

Nosherwa ne Hashim ke study table se laptop utha kar on Kiya

Aur uske sath Khadi hokar dekhne Lagi Sath hi toh lab Kat Rahi Thi Aur ungliyan bhi maror rahi thi

" password ab yeh kya hai "

sab Kuch theek Hote Hue Jab password Manga Gaya to nosherwa karrah kar reh gaya shehreen ke mathe par bal pare

"Maine kaha tha na Tumse Nahin Hoga Jaane Do "

Keh kar wo murne lagi

"Ek minut Thehre to sahi "

Kehte hue usne mobile nikal kar Hashim ko call milae

"Mera Naam Le Lena Taki voh bilkul bhi apna password na De "

vo talkhi se boli nosherwa ne Khamosh Rehne ka Ishara kiya

Voh bahut samajhdar Nazar Aane Ki Sai kar raha tha

"han Sheru bolo "
hashim masroof Nazar a raha tha

"Bhai yaar aapke laptop ka password Kya Hai "

" Kyon kya hua "
apni Tamam masrofiyat ke bawajood wo chonka tha

"Kuchh picture chahie thi Sonia ko "

"Konsi pictures "
Wo hashim tha thehra

"Bhai ap de rahe ho ya
main kuch or karuu "

Nosherwa ka mood bigarne laga

" Acha " hashim ne kaha

" Acha hmm " kehte phone rakh kar nosherwa Muskura kar laptop par kuch botton badane laga

Uske kandhe se Jhanki shehreen Ne unko hifz Kiya goya iski zarurat na Thi Aur FIR laparvahi Se idhar udhar Dekhne Lagi Yeh lafz to usko hifz tha isko to wo aankhen Band Karke bhi type kar sakti thi

" Ap batati jaye Kon Kon si chahie "

Unki shadi honeymoon or digar mawako ki tasveery khulti ja rahi thi

Maksad pura hone ke bad shehreen ko Jaane Ki jaldi Thi aur voh sab Dekh kar Sine main kuch chubne laga tha

" Yeh wali aur yeh teenon "

Wo ungali se screen per Ishara Karti
Nosherwa ko bata rahi thi

Nosherwa ne copy karte hue uski Chehre Ki Taraf Dekha voh zabd karti hui Nazar a rahi thi usne Afsos humdardi TaraHam Sab mehsus kiya tha Sivay Fareb ki boo ke

______________________________________

Main To Lab khol ke pabande Sala sar thehra Teri aur baat aur hai
tu sahibe Mehfil thehra
______________________________________

Don't forget to vote lovelies ❣️!

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now