Chap.25

218 7 0
                                    


Fareb kar / namal part 5

Aur idlis ka Sathi mamun bhi tha
Jannat se nikle jaane wali kamtar Roop vahan bhi uski Najar Nichi rahti Jannat Ki sone bani shuro par yah Mandir use Kisi bhi dusre Se zyada maja Deta Hai Usi Ne Sikhaya Maine Insan ko Apne napak Hathon se Dharti Man ke Vatan ko khodkar lootna Unka janon ko jo chhupe Behtar the jaldi uski Fauj Mein jahannum ki Pahadi Mein Dala Ek Vashi Chhed aur Khud Dali Sone Ki pasliyan Na Ho Koi hairan is Baat per ki Sona ugta Hai andher jahannum Mein ke Shayad Mitti hi Kabil Hai is kimti bala ke

( Marcos as Milton
Jannat Te gumshuda)
______________________________________

Hashim kardar Ki Beti Sonia Ki siyah or sunhari Saalgirah Aaj yani Hafte ki sham ko thi Shayad isiliye Hafte ki Subah bhi chamkili sunhari Tulu hui thi

Zulfikar Yusuf ke ghar khane ki khushboo nudrat ki dant haneem ki Bhagam Bhag taiyari Sab Ek Sath chal raha tha saadi Aaj Bhi Subah Savere restaurant chala gaya tha sem ab uniform Mein taiyar gol mez pay Baitha nashta kar raha tha

Haneen jab apne shoes polish kar ke wapis ayi to uski plate Ko Dekhkar Munh ban gaya

"Ammi muje nahi khana gol chost ye Mota Aalu Mere Liye bread ka pahla aur Akhri tost he Bachata Hai Hamesha "

Mathe per Khule balon per brush Karti vahin se chillai
kitchen se Nudrat ka dabta hua jawab foran Aaya the

"hazar dafa kaha hai khane ki chijon ke naam mat rakha karo "

Usne Muh Mein barbarte Hue Aage hokar sem ka Aadha paratha Tor liya aur mamul Ki Tarah Sem ne Koi radde Amal jahir nahin kiya chupchap khana Khata Raha

Voh khana kha kar Uthi hi Thi Ke Sem ne Pukara

" Hana "

usne dour kar use Dekha

" HANA ? Tareek gavah hai ki tumne mujhe bagair kam ke Hana Kabhi Nahin Kaha "

"Aaj ka lunch meri taraf se hai "

Hath jharte Sem ne Mazeed Sanjeedgi seh itala di

Haneen Ne bag kandhe per Dala file uthai aur istehzaya andaz main sar jhatka

"Mujhe guess Karne Do Kya mangvaya Hoga Tumne han Honge samose sath mein charge aur Aalu ke chips "

aur Jaise Sab Aashiya per lanat bhej kar voh darvaze ki taraf Barhi Jahan Bahar van wala horn Diye ja raha

" Spring rolls Bihari Kabab aur beked Hue Aalu "

sem ne Aakb Mein sakoon se kaha

Hanim ke Kadam zanjeer Hue Aankhen main be yakeeni faili use kohni se pakar kar usne Samne Kiya

FIR sath mein Hogi pudine ki Chatni aur mashkook nazron se use ghoora

" A haa sath tumhari pasandeeda Miyoneez ki chatni "

Haneen ke lab bharpoor muskurahat main dhaly usama ko chalne ka ishara kiya or boli

" ab batao Kam kiya hai? "

Haneen ne pucha

"Raat ko Hashim Bhai Ki Beti Ki Saalgirah pey mujhe bhi jana hai "

Dono Sath Chalte hue Bahir Aaye To Bagicha cross karte hue sem Ne Kaha

"Saadi bhai Ne Kaha Tha ki Ammi Nahi ja rahi to main ghar mein rahu "

"tumhare pass black suit Hai han ?"

"Vohi Jo bhai ne birthday per Diya Tha mere pas hai "

Usama ne kaha

" To fir usko dhup lagva Lo Hawa lagva Lo aur istri Karva Lo "

Darwaza Band Karke van ki taraf barte Hue bare sakoon se boli

"Tum bhai ko kaise manaogi
Katto-- I mean Hana "

" Usama Yusuf Yeh Jo Aaj Tum Mujh per apni pocket Mani ura rahe ho na yeh isliye hai ki Tumhen Pata Hai is kam Ke Liye sahi bandi Main hi hun isliye bas Apne suit ki fikr Karo "

Keh kar wo van mein Char Gai

aur rafiya or Khadija Buri Tarah dohrai karne mein magan thi jab ke naima kitaab Khule Kuchh likh rahi thi aaj Unka Aakhri paper tha

"Kaisi Taiyari hai? "

usne Imtihan ki Subah ka mahsus Sawal dohraya

"yaar Kuchh Nahin Aata Samjho Sab Kuchh mixup Ho Gaya"

Rafiya ne nafi main sar hilate bataya

Haneen ne apni file Kholi aur sarsari si Nigah daurane Lagi FIR Kisi Ehsas ke tahat Naima Ko Dekha voh tissue paper per Kacchi pencil se likhe ja rahi thi Nakal ke yah tarike Inko Na Jaane Kahan Se sochte the

" Agar Pakri Gai to ?"
Haneen ne Kareeb hokar sargoshi ki

Usne Ghoor kar use Dekha

"To Garmi Garmi Karte tissue se Pasina phunch Lungi Sare Saboot khatm "

Haneen Zara sa sar jhatak kar apni files parne lagi

Sem Khirki Se Bahar dekhta Apne suit aur UN doston ke bare mein Soch raha tha jinko usne hafte Ki Party ki tafSeelat Dena Thi voh fikre tarteeb de raha tha
" Pata Hai Hamare uncle Hain nahi cousin Hai Hashim bhai Unka Ghar Pata Hai Kaisa Hai "sem ko yeh soch kar hi Maza a raha tha ki voh kitne maze se apne doston ko Sare kisse sunaye ga

______________________________________

Tune Kya Kiya ay zindagi Dash to Dam Mein phirAaya Mujhe Ab To Apne Dar bhi samajhte Hain paraayaa Mujhe
______________________________________

Don't forget to vote lovelies ❣️!

Hey my lovelies please read this and make a Dua for Palestine people

اللَّهُمَّ أَصْلِحْ أُمَّةَ مُحَمَّدٍ لا اللَّهُمَّ فَرِّجْ عَنْ أُمَّةِ مُحَمَّدٍ لا اللَّهُمَّ ارْحَمْ أُمَّةَ مُحَمَّدٍ ا م

Allahumma aslih Ummata Muhammad.

Allahumma farrij 'an Ummati Muhammad.

Allahumma Rham Ummata Muhammad [sallAllahu alayhi wasalam]

O Allah! Improve (help) the state of the Ummah of Muhammad. O Allah! Grant ease to the Ummah of Muhammad. O Allah! Have mercy on the Ummah of Muhammad.

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now