Chap.36

134 2 0
                                    


fareb kar /namal part 7

"Yeh Baat Tumhen Mujhse Nahin usse Kehna chahie main Sonia ko drop karne Udhar ja raha hun change karo aur mere sath aao "

Hashim Ne uska Kandha thakka usne Chehra Utha Kar bare bhai ko Shikva khales nigaho Se Dekha

"aur saadi saadi ki saza kya hogi?"

"Uski saza shuru ho chuki hai uski Jeb se necklace baramat kar liya hai zumar ne call ki thi abhi "

"D.A ne khud bataya hai? "

Wo hairan hua tha

"Uske lehje ne bataya usne khud necklace ka pucha Uske lehje se pata chal raha tha ki saadi Apna aitmat kho chuka hai ab Taiyar ho jao "

Nosherwa ke Shane ko thapka kar wo Aage bar gaya

______________________________________

Udhar apne ghar sadakat bary Abba ke liye chai le kar ja raha tha andar Aya to dekha wo fhone par kisi se bat kar rahe the Chehra Jhuka tha aur Awaaz thori si thaki Si Lagti thi sadakat chai Rakhe Khamoshi Se Chala Gaya Udhar voh phone per keh rahe the

"kya vakai Aisa hua "

Tum Lamhe Bhar Ke Liye Yahan Se Dur Aakar Chhote Bakiche wale ghar mein aao to lounge Mein Haneen sofe per Baithi phone Kan se Lagaye barhami se keh rahi thi

"Han zumar phopho ne bhai ki bohot insult ki unko iska Hak nahin tha "

"voh necklace Aaya Kahan Se"

"Kisi Ne Dal Diya Hoga Bhai Ki Jeb Mein Mera Bhai koi Chor thori na hai"

"Hashim " Abba ne keh kar sar jhatka

"Mujhe wo shuru se na pasand hai par wo ghar aye mehmano ke sath asa kare ga Maine socha bhi nahi tha "

"Hashim bhai ka ismain koi Kasur Nahi Hai "

vah turant boli thi

"Zumar phopho ka kasur hai unko mamu se bahut bahut "

samajh Nahin Aaya kaun sa lafz istemal Karen aur usse kya tamheed de phir zabd kar ke boli

" unko mamu se bohot nafrat hai wo mamu ki rehai ka badla saadi bhai se le rahi hai isliye vo Aisa karti hai "

"usne faris ke khilaf gavahi Tak Wapis Le Li thi Aur wo Kya Kare haneen "

"Magar kya Aise mamu ki zindagi ke 4 Sal Wapis a Jaenge aap Mile Unse Nahin Na Dekha Hai Kaise ukhre ukhre zindagi se bezar Lagte Hain pehle to Jo Kuchh Bhi Karte The maje ki baten Karte The kam Kam bolte the Magar Jab Bhi bolte maza aata tha
ab sirf Dil dukhta hai "

Haneen bezari se keh rahi thi

"Khud ko zumar ki jaga rakh kar dekho Usko jo jis Tarah dikhaya Gaya vo Kaise yakeen na Karti "

"Baat ye Hai Bare Abba ke mamu Humse zyada Hak bajanib hai "

yah voh Aakhri Baat Thi Jo Haneen Ne Kahi Thi

"aur aap kab tak phopho ke pighalne Ka Intezar Karenge Mera Bhai Kehta Hai Ki Hath per Hath Dharkar baith na To tavakkal Nahin Susti Hota Hai Kuchh To karna parta hain na abba Maine Kal raat bhai ki aankhon main aansu dekhe kya ab wo kabhi bhai se sahi bat nahi kare gi? Bhai Unse bohot muhabbat karta hai or sirf bhai nahi "

Akhri alfaz Kehte Hue usne Khud Se Bhi nazrein Churai Thi
abba ne Khamoshi se phone Rakh Diya ab unko kuch karna tha

* Shayari *
______________________________________

Khushi Ki Baat Nahin Hai Koi fasane Mein voh garna uzm na tha aapko Suna ne main
______________________________________

Don't forget to vote lovelies ❣️!

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now