Chap.51

243 5 0
                                    


Yusuf's ke ghar mein Baton ka shor TV Ki Awaaz Aur Raat Ke khane ki Mahak har soo faili thi launched 3 seater sofa ke kinare per Baithi jhumar dusre sire per maujood nudrat se kah rahi thi

"Aap mujhe Bata hi deti kya aapka Bhai A raha hai main migration aur dusre kagazi mamlat Mein uski madad hi kar deti bahut Mushkil Hui Hogi use to bas "

" Uske Achanak hosting Hui idhar aaya aur ghar khola Vahi Apne Aurangzeb mamu ke annexe main rehta hai aur uski Man ke Hisse Mein thi na "

"aap jikr hi kar deti Aur Tum To idhar aao zara Mera Sara biodata Apne mamu ko de diya aur mujhe aagaa bhi nahi kiya Kitni sharmindagi hoti Mujhe Agar Main Usko dant deti"

Kamre Se Nikalte saadi ko khafgi se pukara wo seb Khate Khate wo Shane uchkate wo zumar se sath ek kushan par a baitha
"sorry main bhul gaya "

"aur han usne Kisi cousin ki shaadi ka bhi zikr kiya tha "

Zumar ne Yad karte hue Nudrat Ko dekha unhone Sar hilaya

" han Hashim Ki Shaadi Hai agale hafte "

"Kaun Hashim ?"
saadi ne seb Par dant garate ruk kar poochha

"faris ke mamu ka Bara beta hai to tum log Nahi Jante maine bhi arsa pahle Dekha Tha Asal Mein zumar faris Udhar Hota Jo Nahin tha to use Jure bahut se Logon se bacchon ka Taruf Nahin Hai magar ab wo a gaya hai To uski vajah se vo hamen bhi bulaenge "

Nudrat bat karti hue 6 sala sem ka Hath pakar pakar kar usko mez ki chizen uthane se rok rahi thi
Or wo adatan har cheez ko Utha kar faikna chahta tha

"Is per Nazar Rakho main jara Roti utaar Lun khana kha kar Jana zumar'

Saadi aur usko Ek Sath mukhatib karti hui wo Uthi to zumar Ne Hath per Bandhi Ghari Dekhi

"Oh ho Muntazir hongi der ho jayegi vaise pakka kya hai? "

" matar kimma "

Nudrat bhi muskurayi aur saadi bhi

"ab par Gai na phopho Soch Mein"

"sochne wali baat hi nahi hai mujhe jaldi jana hai to Yahan kha Nahin sakti Magar pack to Karva sakti hun"

Nudrat muskurate Hue kitchen ki taraf Chali Gai to vo saadi ki taraf mutwajja hui

"Scholarship Ke Liye naamon ka Elaan ho kya ?"

" mm hmm Magar ISI Hafte hona hai"

Phir wo zara mayoos hua

" par Mujhe Nahi Lagta Mujhe scholarship Milega main to normal Sa student hun Mujhse Behtar ummedwar Honge vahan

" magar mujhe yakeen hai ke tumhen scholarship mil jayega "

Saadi ka chehra umeed se chamka

"Acha aapko kaise yakeen hai? "

"Ye Yakeen Hai Riyaji ka Sawal Nahi Jo uski Koi logic bhi ho bas Hai To Hai

usne zara se kandhe uchkae

"Chale Sab Naam likhvayen Ham party kar rahe hain "

Andar Se 13 sala Haneen bolti hui ayi
Uske Mathe per kate hue Bal Gire the naak per Chashma tha aur Labon per Sharmili si Muskurahat Jo sirf zumar ko dekh ke ati thi zumar bhi use dekh kar Muskura di

Haneen ne ek namo ki list agy ki Aur Hath Mein pen pakre bahut samajhdari se boli

"Somwar Ki Sham Ham party Karenge main Dahi bhalle laungi aur sem Tum burger laoge "

Haneen ne bare tahakum se sem Se Kaha wo jaldi jaldi asbat Mein Sar hilane Laga sem ki chiz Hamesha ammi lati thi

"aur phopho ap.."

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now