Chap.49

158 6 0
                                    


Study room mein Khamoshi faili thi Nosherwa bhi Labon per ungali Rakhe Usi Khamoshi ka hissa bana tha aur table ke dusri Taraf Baithe Hashim ko dekh raha tha Jo Bahut Dinhakat se file ke safe par raha tha use Aaj office der se Jana tha isliye wo Raat wale Libas Mein Tha

"Teesri dafa poochh raha hun saadi kab aaega "

Wo bezaar hone laga to mukaddas Khamoshi ko Tora

"Hmm"
Hashim Ne Safa palta kar use Dekha

"kya Uske Intezar Mein Tum Tamam Raat Nahin Soye "

usne Sheru ki Halki Gulabi Aankhon Ko Dekh kar Kaha Tha

Sheru ka Upar ka Sans Upar aur niche ka niche Rah Gaya Rangat safed Pari

" Soya Tha Magar Bahut Der Se "

usne garbara Kar Kaha phir bagor Hashim ke tasurat Dekhe wo fir file Mein masroof ho gaya tha
Laakh shatir sahi magar Hashim ko Itni jaldi malum nahi ho sakta tha ke nosherwa phir se drugs par a gaya hai

Hashim ka fhone Baja usne Yas ka batan dabaya or fhone speaker par lagaya or phir se file dekhne laga
Uske pas itna bhi waqt na tha ke fhone ko kan se lagaye

Uski secretary ki awaz ayi

"Sir mene saadi ko call ki thi "

Wo ruk gayi
Hashim ne pen se us safe main kuch under line kiya

"Haleema main kitni der tak tumhare bolne ka intazar karuga "

"Sorry sir wo keh rahe the ke wo nahi a sakte wo masroof hai unko apna schedule dekha pare ga is hafte to bikul nahi agly hafte call kar Lena or main dekh Lun ga agar..... "

Wo ruki magar phir Tezi se boli

"Agar hashim ko Mujhse milne ka itna he shok hai too..... "

"Okay "
Hashim ne fhone band kiya or safe par do alfaaz ke upar dayere ka nishan lagaya wakalat Sara Alfaaz ka Khel he tha

Nosherwa ke mathe par bal pare

" attitude dekha hai uska samajhta kya hai khudko batameez Kahi ka "

Hashim ne thake andaz main nafi main sar hila kar nosherwa ko dekha

" tum kab penus satoor bate parna sikho ge nosherwa "

Wo Jo phipra ho kar agy baitha kuch or bhi kehna chahta tha ruka

"Uski is bat ka kya matlab "

"Kya tum saadi ko nahi jante?
Wo batameezi nahi kar raha wo mujhse mulakat ko taal raha hai "

" or wo kyu taal raha hai? "

"Jab usko koi madfan saboot milega to wo sabse pehle mere pas aye ga aur
Saaf zahir hai ke usse files nahi khuli
Or wo bina saboot ke Mera samna nahi karna chahta or wo files kholne ke liye usse Waqt chahie "

"Aur agar usne files khol li? "

"Nahi khule gi "

Hashim ne itmanan se kehte hath main pakri files table par rakhi or apna laptop kareeb kiya

"Saadi kabhi bhi achha nahi tha wo meri hard device ko apni auto device ke access to kar sakta hai magar files par lage tale torne ke liye to ase tarike istemal karega Jo use nahi tor sakte
Or har insaan ki Tara wo hazaro chabiya lagaye ga or wo aadhi chabiya check karne ke bad wo frustration ka shikar ho kar chabi ko
Zor zor se ghumaye ga or pata hai phir kya hoga nosherwa? "

Hashim Halka sa muskuraya

"Galat chabi sahi tale ki row main fhas jati hai or phir tala asli chabi se khulne ke bhi kabil nahi rehta
Or agar tumhari dastan-e- saadi khatam ho chuki hai to main Kam kar lun? "

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now