Chap.54

208 5 0
                                    


pehla taruf pehla tasur ( insan dost ) namal part 11
Kasare Kardar Bahal Ki Garmi main bhi Bahar Ke Phoolon Se Saja that
Waleeme ki dawat ka theam phool the
Or wo jaga jaga bikhere gaye the lawn mein mustki image sofe the aur Mehman Kahin Baithe aur kahin Chalte Rahe the UN Sab Mein najre Akash vo  Jora Tha Jiske Liye vo Sab vahan aye  the Hashim ka suit siyah tha or shehreen ka bilkul Moti Jaisa Safed Sar per Bareek Kamdar Dupatta kandhon Ke Piche girta tha aur vo Hashim ki kohni ko Thame uske sath chal rahi thi un logo ko dekhe wale logo ki aankhon main hasad khushi khuloos kadoos bohot se aehsas bohot se logo ka alag alag manzar dalte the

Sirf ek shakhs ki Nigah mukhtalif thi

Haneen or Saadi ki table par khare
Waris bohot khamosh or teekhi nazro se hashim ko dekh raha tha wo Faris se thora Bada Safed Rangat Aankhon per Chashma aur khushgawar tasur ka Malik tha Uske Andaaz Mein unke Khandan ke liye Kadre Na pasandidgi  Thi wi shayad faris ke madu karne par Aya tha

"Khala Aur bacchon Ke bagair Kaisi Guzar rahi hai mamu "

Sath Baithe saadi ne mukhatib kiya to  Waris Ne Hashim se Nigah hatakar use Dekha

Shaadi Apne us ek lote suit mein jo us per zara Khula tha wo bara bara Sa lag raha tha

"Bus Ab To Sirf 3 Saal Reh gaye hain"

vo dhima Sa muskuraya

" aap Hamari party mein Kyon Nahin Aaye "

Samne hatheli per Thodi girae Bore Si beti Haneen Ne narazgi Se poochha

"kya is Katto Begam ko khane Ke Siva Kuchh Nahin soojhta saadi? "

"Ye Mere Sawal Ka Jawab Nahi Hai"

angreji filmon ke sare ek sath Dene wale jawab usko Yad the

"Main masroof tha aur FIR Jis party mein tum apni phopho ko bulate Ho us per Mera Aana Nahi Banta Achcha Nahin Lagta "

"Achcha"

Haneen chup ho gayi Bore si hokar idhar udhar dekhne Lagi tabhi vo apni Dulhan ke Hamra Unki mez Tak Aaya Vo teenon uske liye khare ho gaye

" bass? baki sab kahan hai "

Hashim ne Shehreen ko Dinon ka Taruf Karva kar saadi ko hairangi se poochha

"Sem ko Bukhar tha to Ammi Uske pass ruk gaiGayre Abba ki family ko Kahin aur Jana Tha aur faris mamu..."

Kehte Hue saadi Ne loan ke dakhri Check Point Ko Dekha

"vo Dawat ke Shuru Mein the Magar FIR vo evening class ke liye Chale Gaye"

Jabki faris Ne bus sar sari sa poochha tha ki Tumhare Dada Ki Family Aaegi Ki Nahin saadi ne bataya Nahin to wo bas 10 minut Ruka aur FIR uth Gaya waris Bhi zyada der Nahin baithana Chahta tha magar saadi aur Haneen ki vajah se vo paband hokar Reh gaya tha

"us din ke liye Dobara Shukriya"

Bat sun kar Saadi sharminda ho gaya or bat Badal ne ke liye mamu ki taraf mura

"Main use Din Jo Sara Khala ke bare mein bata raha tha na vo Inki biwi hain"

" Main Jaanta hun"

Hashim Ne Muskura kar sar hilaya shehreen Palat Kar Kisi Aur se baten karne mein Mahaz thi

"aur waris kya kar rahe ho aaajkal"

jebo Mein Hath Dale Khade Waris Ne zara Se kandhe uchkae

"Kuchh Gare murde ukharne ki koshish kar raha hun "

Hashim Ne muskurate Hue gehri nazron se use Dekha

"Meri madad ki jarurat ho to batana"

"Zarur bataunga "

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now