Chap.31

229 4 0
                                    


* Yaab khatm *

Faris ne parda chor diya parda lehra kar Apni Jagah per aa gaya Bahar Ka Mannzar Chhup Gaya Dil bura ho gaya tha Aankhon Mein Na gawari Thi Aur voh Sar jhatak kar wapis bed ki taraf aaya aur FIR bag khulne Laga usse pahle Khirki ke pass Khare shaks wali tasurat Uske Chehre per nahi the vahan sirf Sanjeedgi Ki Thi Aur Sapat per Ab wo bag ki Tamam chezo ko ek ek karke dekh raha tha check kar raha tha Bahar cake cut raha tha Hashim aur Shereen bacche ke sath muskurate hue maujud the hasmuye keh kahe khokli khushiya ab shehreen cake ke tukre kar rahi thi
Wo 3 manzila cake tha jaise Asal Gudiya frock ke sath Khadi Ho voh frozen ki Elsa Thi Magar uska Libas Neela Nahin barfila Gulabi tha Chand cakes Uske alava bhi Marji mez per Rakhe the Elsa day Apne Hathon Mein Ek Dil Utha Rakha tha Jis per likha tha Sonia shehreen ne Dil Ka tukra Utar Kar sonia Ki plate Mein Rakha aur dusra tukra Ek plate mein rakhkar fiyona ko kaha

"Ye DA ki table par le jao "

Fiyona foren le gayi
Zumar DA to table par Nahin Thi Magar saadi ne ye Sab bahut got Se dekha wo use Hi dekh rahi thi Magar usko Dekhte Pa kar mehmanon ke Jaanib mutwaj ja ho gayi thi yani Saadi khud samjhe to samjhe magar wo kinare reh kar he madad kare gi

Zoomar andar Aayi to Andar bhi Mehman bikhre pade the yah amiron ki Dawate pure ghar ko khol ke rakh Deti Hai Ek waiter ko roka aur Boli

"Guest bathroom kis Taraf hai ? "

Waiter Kisi kam se aaya tha to guestroom ki taraf Ishara Kar Diya

Zumar Sidhi Udhar Chali ayi voh Aansu Jo Bahar mazbuti Ke hajoom mein Behne Nahin diye the voh andar utarne ke bavjud aankhon ko surkh kar gaye the usne gest room ka darvaza dhakela ke bathroom jakar Munh dhoae Magar bed per bag Khula Pada tha Ek machine Gan do pistol goliyan aur Khud voh bed ke Kinard par baitha apne jogar pay chaku band raha tha Aahat pe Sar uthaya FIR Vahi ruk gaya Sidha bhi na hua

Darwaze par khari zumar ki nazre bed pay pare asle par se hoti hui faris ke chehre tak gayi zumar ki aankhon main utra ghar gusse main Badal gaya jabre ki rage tan gayi wo do kadam piche hue or darwaza zor se de Mara

Ab use Mazeedd fresh hone Ki Khwahish Na Thi voh Tej Tej Chalti Bahar ki taraf bar gai

Haneen ke kapron per Cake ka tukra Gira tha voh sem ko sath liye Andar a gayi cake ke bad Sab fir se bikhar gaye the khane mein abhi waqt tha haneen ko yad tha ke guest room kis taraf the

Daakhli Raste Mein darvaza khulata Aur andar Shishe Ki Deewar ke sath Katar Mein besan the

"Kuchh Logon ke Chehre ko dekh kar lagta hai unko Bhero ne Kata Hai Magar nosherwa bhai ke balo ko dekh ke lagta hai asa such main hai "

Rahdari se guzarte hue usama ne nosherwa ko dekh kar tapsara kiya

Haneen ko zor ki hansi ayi Magar usne Osama ko zor se Chutki kati

"Apne Tapsire bad rakho "

Haneen Aage Piche Hath ghumaya Magar Besan ka Nal Nahin Khula

Kyun ke chokhat ka darwaza khula tha har ane Jane wala shaks andar dekh sakta tha tabhi hashim jata jata thehra

"Kya ho raha hai bacchon"

Haneen ne khush gawar hairat se sar uthaya wo unKo Dekhkar bil khusus tula tha sabse Hatkar bhi usse Mulakat Mumkin Thi FIR jhep gi

"Yah Nal Nahin khul raha hai "

"Aahista se Nal Ke Niche Hath Lekar jao" hashim Muskura kar bola

Haneen Aahista se hath nal Ke Niche kiye aur Pani Ki Dhaar Beh Pari

"Ohh" wo jhep gayi

Hath dhokar hataye Dhaar gayab ho gai automatic voh Kaise Bhul sakti thi same washroom ki taraf Chala Gaya Hath paper Tower se saaf Karte voh darvaze Tak ayi to hashim bola

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now