Chap.37

184 4 0
                                    


Zumar hashim wali call khatm Karke Bahar ayi to bare Abba Lounge Mein Akhbar par rahe the vo Khamoshi se Samne wale sofe per a Baithi bare abba ne ainak ke upar se use dekha
Uski Aakhen aur naak Gulabi par rahi thi sadakat Ne Chai La kar rakhi to vo Sar jhukaye Chini milane Lagi

"party kaisi rahi Tum Raat Bina Baat kiye andar Chali Gai thi"

"Kya Main ye samjhun ki aapke Pote ya poti Ne Savere hi phone karke sari Baat Nahin batai ?"

uski awaz bhari thi
Shayad wo raat ko roi thi
vo kisi ke samne nahi Roti Thi bahut mazbut Thi Bare Abba ko Har mazbut Insan per ab Taras aata tha

"Haneen ne bataya Hai Sab magar main Tumhare Mu se Sunna Chahta Hun"

Zumar kap Labon se lagakar TV ki sim dekhne Lagi tv main rangeen shor tha par lounge main Fir Bhi Khamoshi mahsus hoti thi donon muntazir the FIR Vohi bol Uthi

"usko paise chahie the to Mujhse Mang let's Koi masla tha to mujhe bataya ta magar "

Shidate zabd se aankhon ki lakeere surkh parne lagi thi

"Tumhen lagta hai usne Chori Ki Hai"

"vo necklace Uske pass Se Mila Hai
Wo andar kamro main bhi gaya tha
Wo isi leye party pay ane ke liye razi hua tha ke party ghar par hai warna pehle to usne saaf inkar kiya tha
Muje iske bad kya lagna chahie siwai iske ke usne mujhe dhoka diya hai "

Bare abba Thak kar asbat per Sar hilane Lage

"han vo bara ho gaya hai Dhokhe dene Lag Gaya Hai Fareb kar ban gaya hai aisa hi hai bilkul "

Zumar ke Dil pay kisi ne pair Rakh Diya Farebi aur saadi Kuchh andar tarpaa tha kuch tuta tha

"Aise mat kahe tanz main bhi nahi "

"Nahi main tanz nahi kar raha such bata raha hun wo dhoke Dene lag gaya hai or tumen to pehli bar nahi diya pehle bhi dhoka de chuka hai "

Wo jo apni ungliyon se matha masal rahi thi chonk kar unko dekha

"Kiya kehna chahte hai ap? "

"Wo dhoke Baz hai usse fareb ki he tawakka Karo zumar "

Unki ki awaz ab buland ho rahi thi
Unke alfaz awaz se bilkul alag the
jeeb the Chauka dene wale

"mat Kahe Kuch mat Kahe "

Wo or mutahasha ho kar unko rokna chahti thi Kuch Nahi sunna chahti thi

"Tumne usse kaha ki vo Tumhari takleef Nahi samajh sakta Zahir hai vo kaise samajh sakta hai Usne To tab bhi Tumhen Dhokha hi diya tha "

Zumar ke Lab Adh Khule Reh Gaye Tute Kanch se Uska Dil zakhmi Kiya ja raha tha Bare abba apni jagah se Aage Hue Jara Jhuke Aankhon Mein jhank Kar Kehne Lage

"Yad Hai wo Aurat Jisne Tumhen Gurda diya tha? "

Zumar sar bhi asbat main na hila saki
Wo Bas unko dekh rahi thi

"Use Aurat Ne Gurda nahin diya tha Tumhen vah Gurda saadi Ne diya tha"

vo ek dam Khari Hui FIR Muri Khirki ke Pat zor se dhakele taaza Hawa Mein Dame ke mariz Ki Tarah Munh Khol kar Aankhen Band Karke Sans Lene Ki Koshish ki

" vo Larka Kitna Jhutha hai na usne Tumse Jhooth bola Dhokha diya sab usne plan kiya tha uska Khoon Gurda Sab Tumhare Jaisa tha magar Dil Tumse Bara tha main bimaar Dari kar ke number bana Lu parhaai ke bahane nazron se Gayab hokar Apna farz pura kar lu aur Agar Bura Banta hun to ban jaaun Magar is test Mein fail Nahin Hona chahie
Kamar ko Katkar Gurda nikaalne ki takleef kya hoti hai usko pata hai
jab tum haspatal main thi to wo larka kareebi kamre main dakhil tha Agar use to humdardi bhi nahin Mili vo 4 Sal se Khamoshi se Tumhari Sard Mehri bardasht Karta a raha hai Aur Tum kehti Ho Tumhari takleef Nahin samajhta wo? "

Wo tez tez sans le rahi thi usne aankhen kholi uska rang safed par raha tha or shayad nila bhi parne wala tha or nila rang har har bame ki waja se nahi para karta

"Mujhe........Kyon......Nahin.......bataya"

alfaz ruk ruk kar nikle the
Use Sans Nahi liya ja raha tha vo Khirki ko pakre Khadi Thi thakan Se Aankhen band ho rahi thi

"bahut gaddar hai mera beta zumar Maine Kitni minnat ki thi magar wo bola agar uski phopho Ko Pata Chala Ki ye Mera Gurda Hai To vo Kabhi Nahin Lenge vo Mujhse bahut Mohabbat karti hai main Unka bhai bhi hun dost bhi beta Bhi vo Mujhe takleef se nahin Gujar sakti or ase wo kabhi theek nahi hongi main Aaj Bhi Na batata agar tum Raat usko Yah Na Jata ti ke Kamar kat ke gurda nikalne ki takleef wo nahi janta "

Zumar ne karb se aankhen band karli
Gurda katne ki takleef zyada Bari Thi Ya Dil katne Ki is Sawal ko to jawab ki zarurat Hi na thi wo zurparta chehre ke sath uski pusht dekh rahe the

"tumhare pass Ek Gurda hai to uski vajah Saadi Hai "

vo Dhire se Palti uski Aankhon Ki Gulabi lakir ab surkh par chuki thi or shayad nami bhi thi bhale wo unko na girne de magar wo aansuu the

"Aap ye keh Rahe Hain ki agar Aaj Uske pass Ek Gurda hai to uski vajah main hun "

aur ye Sawal nahin the so iska koi jawab bhi nahi tha

Wo nam aankhon se use dekh rahe the jawab ki muntazir wo bhi na thi wo Tezi se apne Kamre Ki Taraf chali gayi khirki ab Puri khul chuki thi or taaja Hawa bahut ummid avza thi

*shayari*
______________________________________

Ulfat ke saude Kaun Kare
Nafrat Ki Jholi Kaun bhare
Ham karobari Duniya Mein
Begane hi Begane hai
______________________________________

Don't forget to vote lovelies ❣️!

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now