Chap.24

213 7 0
                                    


centaurus Mall mein rangon aur roshaniyon ka Sailab jagmaga raha tha teesre floor ke Buteek ki sari Battiyan Roshan thi vast Mein Makhmali sofe Rakhe the Aur suiton Ke Hanger konon Mein Lage the aur ek Shishe Ke Samne Ek daraj Kad ladki shehreen Apne Golden gown ko dekh rahi thi

Jiski Ek aasteen Nahin Thi Aur dusri Kalai Tak Aati Thi usne daen aur baen donon taraf se Tirchi Ho Kar apna aks Dekha hue Sunehre Bob cut balon ko Do unglion se Piche Kiya aur bejaari se muh banaya or boli

" Fal itni acchi Nahin Hai jitni Maine Kahi Thi "

Sath khari larki jaldi jaldi wajahate Dene lagi par usne Goya suna hi Nahin wo khud ko Har jaine Mein dekh rahi thi Uske aks Mein Piche sofe per Baithi Sonia bhi Dikhai de rahi thi Sonia bore si hokar bar bar Paon Kaleen se ragad rahi thi aks mein dukaan ka darvaja bhi Najar a raha tha aur voh jo bigre mood se manager ko Kuchh Kehne Lagi Thi darvaje ko dekh kar bilkul Saket Ho Gai FIR use thook nigla chaukhat per saadi Khada tha jeans ki Jeb Mein Hath Dale voh use Hi dekh raha tha

" Samina Sonia ko Lekar Upar Food Court jao main Aati hun Kuchh der mein "

FIR manager se mukhatib ho kar boli

"main aapse zara thahar kar Baat Karti hun "

voh To Sar Hila kar Chali Gai albatta Samina Ne bacchi ka Hath pakarte Hue Pashu pesh ki thi

"mam Upar kis jagah ? "

" Saminaaa "
usne Tej Nazron Se ghura to voh fauran Sonia ki ungali Thame bahar nikal gayi

Wo Fir se Aaine Mein Dekhte Hue gown Ka Fall wala Gala ungaliyon se idher udhar karne Lagi

voh kadam kadam chalta Uske kandhe Tak aaya aur Piche Khada hua

" To aap Golden pehan rahi hain good main black pehan raha hun "

" Tum Yahan Kya Kar rahe ho "

Wo mure bagair Aaine Mein usko Dekhte Hue Teji se boli

Saadi Ne masnooni hairat Se
Shane uchka kar kaha

"yeh Ek Mall hai aur Yahan log shopping karne Aate Hain "

" Mujhe Ghar Se follow kar rahe the ya phone se tress Kiya Hai "

"kya aap ye man Nahin Sakti ki Ham Ittefaq se mile hai? "

" Ek Lamhe ke liye bhi nahin "

Saadi Ne asbaat main sar hilaya

"Okay aapke phone se tress Kiya Hai"

Shehreen uski Taraf Palti aur Sanjeedgi se use dekha

" Hamen Is Tarah Ek Sath Nahin Nazar Aana chahie "

" isiliye aapane unko bhej diya "

" voh Hashim Ko Bata Degi "

usne Goya chhirka

" Itni na kabile Aitbaar mulazima "

Woh Gaya hairan hua tha

" Voh Nahin Sonia Meri beti voh apni Har Baat Apne Baap Ko batati "

Talkhi se kehkar voh Kan Mein Dale siyah nagon wale aavije utarne lagi

" Ap itna darti Hai Hashim bhai se ?"

"SAADII"
shehreen Ne dabe dabe gusse Se use dekh kar bola

" Main usse Nahin darti Magar voh Sonia ko Mujhse Le sakta hai agar main uske khilaf Gai aur
you know what Tumhare aane ka matlab hai ki Tumhen Hashim ke khilaf meri madad chahie Aur Main Aisa Kuchh Bhi Nahin karne wali "

" Jab apne Mujhse madad Mangi Thi To Maine Bhi Kya aise hi Mana kiya tha ? " voh bahut Sanjeeda tha

Shehreen Ek lamhe ko
Khamosh Reh gaye

" wo aur masla tha "
uski Awaaz dheemi pari

Saadi jawab Diye Bina usko dekhta Raha voh bhi use Dekhti Rahi FIR sar jhatkka

"Kya chahie ?"

voh Halka Sa muskuraya aur andrun
Jeb se tablet nikalkar mez par pare Shehreen ke pers Mein Dal diya

Sab Itni furti se kiya kya shehreen Khadi Reh gai

"Mera tab aap kal Mujhe party mein Wapis kar denge itna sa kam "

"Magar Tum yeh Khud bhi Lekar Ja sakte ho"

Wo hairan hui thi

"Security sakht hai ham mobile wagera nahi le kar ja Sakte magar ap to family hai na "

" Tum Kya Karna chahte ho saadi "

" Aap dusra kam karne ki hami bhare Main Bata Dunga "

" Aur kya hai vah dusra kam "

usne bahut zabd se sine per Baju Lapete Hue poochha

" Mujhe Hashim bhai ke laptop ka password chahie har Surat main "

" TUM Ufff "

uska Sabr jawab dene Laga

" tum is mamle main na hi aao saadi tum Ham donon Ko mushkil main dal doge "

"Main Ek Hafte Se Jab Se Hashim bhai Ne bilkhasoos Mere Liye card bhijwaya tha is party ki taiyari kar raha hun aur main aap par aitbar kar raha hun aapko Hashim bhai se apne sare dukhon Aur aaziyato Ka Badla lena hai na to Fir aapko Mere Sath Khada Hona Hoga Chahe aap Pasand Karen ya na Karen Ab Mujhe Hasim bhai ka password lakar Dengi "

Usne Sanjeedgi aur majbuti
se ek ek lafz ata kiya

Shehreen dheemi pari usne umeed tazabzub or khashtas Bhari Aankhon Se saadi Ko dekha

" Tum kiya karne ja rahe ho? "

Wo udaasi se muskuraya
ek zakhmi si muskurahat

"Jo unhone hamse churaya main
Usi ko churane ja raha hun.... "

______________________________________

Don't forget to vote lovelies ❣️!

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now