Chap.39

153 4 0
                                    


Subah Ki subah hi safedi Bedardi ki khidmat badhati ja rahi thi yusuf's Ke Ghar Mein Chalte air cooler Ne TV wale Kamre ko kadre Thanda kar rakha tha Nusrat aaspaas bikri chijen samet rahi thi aur sath sath gol mez per Baithe Haneen aur usama ko lecture bhi de rahi thi

"Itna Nahin Hota ki jo chiz Uthao use Jagah per Rakho "

"Ammi main sab Kuchh Wapis Jagah per Rakhta hun "

Sem ne ehtajaj kiya

"ji Magar Kisi Aur ki jagah per "

Haneen ne bat mukamal ki wo sath sath chai bhi Pi rahi thi

"Tum To Jaise sab theek rakhti ho na abhi Tumhari almari kholun to kapro ka Mount Everest Niche gire ga "

"aur Jaise tum us mount Everest tale dab ke zakhmi Ho jaaoge"

Haneen ne sakoon se dusra ghot Bara
AJ French choti banane ki zehmat Nahi Ki Thi Khule Bal Sidhe Magar zara bikhre hue the

Nudrat Mazeed UN donon ko Kuchh Kahe bagair rahdari se Gujar kar Saadi Ke Kamre Tak Gai

Itna Tumhen dekh chuki Nahin Ki vah fajar Tak kam Karta raha tha FIR so kar 9:00 Baje uth bhi gaya tha bed per Baitha joggers ke tasme baad raha tha vo ab bara ho gaya tha aur Lamba bhi Magar Uske Chehre per Ek 9 sal ke bacche wali masoomiyar ab bhi thi wo Khara hua to maa ko khare paya wo suti Hui Aankhon muskuraya

"Kya baat hai Hui Bare Abbu se "

Bol kar laptop bag Mein sametne Laga

"Vahi Unki purani fikr zumar ki shaadi "

unhone thaki Hui SAS khinchi shaadi Khamoshi se chizen sameta raha

"Wo usko samjha samjha kar thak gaye hai magar wo nahi Manti saadi Tum samjhao Na Ab To Tumhari baat bhi hoti hai usse aur Tumhari Baat To vo Kabhi Nahin talti "

Saadi ne bag ka strap kandhe par dala or chehre par gham or bezari ko chhupane ki nakam koshish karte hue Kuchh Kehne Laga tha ki phone Baj Utha jaise jaan Bach gayi

Nudrat Baat Bhul kar wapis chale gaye aur usne Anjana number Utha liya

"Milana hai mujhe
ISI Waqt Kidhar aaun? "

faris ke Alfaaz bhi Usi Ki Tarah Hote the thak thak thak

"Main To Nikal Raha Tha mamu ap restaurant Jaaye "

usne Darmiyan ka rasta nikala

"Aadhe ghante tak "
aur phone band

"yeh mamu Bhi Na Aage Piche Ki Baat Nahin Karenge Kabhi "

Saadi ne Muskura kar sar jhatka

Fir nudrat ki bate Yad ayi kya phopho ab bhi uski sunti thi sar jhatak kar vo Bahar Aaya to haneen Hath ilate Bare purjosh Andaaz mein usama se Kuchh kah rahi thi

"Aur itne bary bary Khule loans sem Tumhara Dil Nahin Chahta ki Hamara bhi Itna Bara Ghar Ho Aur Khoob Daulat Ho Hamare pass bhi nahin ye nahin hai ki Hamara Chhota Ghar Mujhe Bura lagta hai ye sab bhi acha Hai Magar Socho sem "

Sem ne Saadi ko ate dekh liya tha is liye jawad nahi diya ya shayad usko sahi jawab malum he nahi tha

"Tumhen kya pata tum to ho he kuve ke mendak tumhen kya pata lek ka "

Haneen afsurda ho gayi

"Agar Main ye Baat apni Kisi dost se Karti to vo kehti ki lalach Buri Bala Hai Kya zyada Paise Ki khwahish Hona Buri chiz hai"

"Bilkul bhi nahi "

Akab se Aate saadi ne kehte Hue uska Cup uthaya aur ghont bhara
Haneen Chonki Magar Bhai Ko Dekh kar aur purjosh Andaaz Mein poochhne Lagi

"Magar kaise bhai? "

" har Kisi ki khwahish hoti hai ki uske pas bohot dolat ho Magar log ikrar karne se darte Hain ke Kahin unko galat Ya lalchi Na Samjha Jaaye Varna mal Ki Mohabbat Buri baat nahi hai zindagi Mein unche Goal hone chahie ye Insan ko mutaharik rakhte Hain par unko Hasil karne ke liye galat Tarika nahin istemal karna chahie suleman AS ne bhi to Allah ki yaad ke liye Mal Ki Mohabbat ikhtiyar ki thi na "

Haneen Khule Dil Se Muskura Di vo Aisa bhai tha jisse ba asani Sab kaha ja sakta tha Aur wo aapko bilkul jaj (judge) Nahin Karta Tha

*shayari "
______________________________________

Na takaluf na dehani na zom
dosti ki zuban Sada thi
______________________________________

Don't forget to vote lovelies ❣️!

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now