Chap.59

196 9 1
                                    

( insaan dost) namal part 12
* Mojooda din se 5 saal pehle *

Kuch zakhm Sadiyon bad bhi
taaja rahte hain Faraz
Waqt ke pass bhi Har marj Ki
Dava Nahin Hoti

Haneen ke Kamre Mein full Pankha chal raha tha carpet per Jaaye namaj bichhaye zumar tashad per Baithi thi Nazre Hathon per markoos chehre ke Gird Dupatta lab hilte hue fir usne dayen bayen Sar hilaya Aur Dua ke liye hath uthae tabhi Nigah almari se Kuchh Nikalti Haneen per Padi zumar muskurayi Aur Woh Jo Kisi Baat per jhunjhulyi Khadi Thi fheeka Sa Muskura Di fir Dobara se chijen ulat pulat kar ke dekhne Lagi
Zumar zere lab Dua mangne Lagi
FIR Chehre per Hath Fer kar Uthi to Haneen Palang ke kinare Baithi use dekh rahi thi uska Chehra Bujha Bujha Sa Tha dimag Kahin aur latka Hua lag raha tha Koi pareshani Thi Shayad Magar Kaun Puche aur Kaun bataen Unka Rishta Itna takalufan tha ki saadi ke 2 Sal maujud na hone ne bhi unko Kareeb nahi kiya tha bus Muskurahat se Muskurahat Tak Ka Rishta

"Kya main isse yahi rehne dun Hana?"

Usne jaye namaz uthane se pehle pucha

Haneen Ne AasBat Mein gardan hilai abhi Ammi ek do sala baten aur sunaegi tab vah wazu karne Jayegi zumar ko Maloom tha

haneenChehra hatheliyon per girae Baithi Rahi

" aap to Sari namaje padhati hain na main aapse ek baat Puchu? "

Uljhan bhare Andaaz se poochhne Lagi Jaise vah riyazi science aur dusri Tarah Ke masale usse discuss karne Aati Thi

Usse zyada voh Kuchh Bhi discuss nahin karti thi

" Poochho"

Vo narmi Se kehti Wapas Jaaye namaj per baith gayi

"kya aapko Allah Tala Se Mohabbat Hai? "

" han hai "

zumar ke liye jawab Aasan tha

" Kaise Mera matlab hai aap is Mohabbat Ki Tarif Kaise karengi "

Zumar gor se wo Kam umar Chehra dekhti rahi aur FIR zara se Shane uchka diye

" Mera Nahin Khyal main is Mohabbat Ko defined kar sakti hun"

" meri ek Christian Dost Ne poochha tha isiliye poochh rahi thi main"

Wo Sar Hila kar uth gai zumar Ne gardan Mor kar use bathroom Jaate Dekha

Mathe per Kate Bal aur Baki Bal hair band mein jakde kandho se niche Girte the Koi masla tha magar wo kya kar sakti thi khair use Ghari dekhi use Ghar Jana Tha Varna Ammi Khafa Hongi

Jab haneen Namaz padh kar ayi to zumar ja chuki thi Kyunki haneen Aaj samne nahi Thi To zumar Aaj Kuchh Nahin bhooli thi or na hanna Ko Yad Raha vo bus bejari se computer Ke Samne aa Baithi aur use on Kiya

desktop ki ghari usne Alisha ke mukami time Jaisi set kar Rakhi thi vahan subah ho chuki thi aur Alisha online thi chaukte Mein Alisha saaf Najar a rahi thi vo 2 Sal bad ab Kafi Badi lag rahi thi Yahi Koi 20 Baras Ki dusre Chaukte Mein HaneenThi Udaas aur Khafa Khafa si Uske Ghar Walon Ko Alisha ki Itni Aadat ho chuki thi ki Sara waqt bhi Haneen ka camera on rehta to Kisi Ko masla Na Hota

" Tum Udaas lag rahi ho"

Alisha uska Chehra Dekhte hi Bujh gai Haneen ne gardan daen baen ki Magar Aankhon Mein Vahi udaasi Chhai rahi

"Main form per Tumhara Sawal post karne Lagi Thi "

Sath hi vo keys dabaen ja rahi thi Alisha Ne check kiya FIR uski Aankhen achambe se Shukri

" mujhe lagta hai tumne jawab galat likh diya hai mera Sawal tha kya aapko Khuda Se Mohabbat Hai Tumne Jawab Mein pata nahin kya likh diya hai "

" ye sach hai mujhe nahi pata "

" Magar......."
Alisha chup ho gai

Haneen ab thodi mutthi par girae use dekh rahi thi

" Ham zyadatar Deen Ki baten Karte Hain Ek dusre ko Apne Apne deen ke bare mein batate hain aur tum bhi Meri Tarah apni Kitab bahut padhati ho to FIR ?"

" bahut Nahin main Hafte Mein Ek Do dafa hi padh paati hun Jab bhai Tha To Ham Roj padhte the Magar Ab Mujhe Waqt Nahin Milta "

Hanna ne Shane uchkae

"Dekho Alisha Ne Jhooth Nahin bolungi mujhe bahut pasand hai vah novels aur drama jismein hero heroine bahut gunahgar Hote Hain FIR kisi hadse ke bad vo Sare Guna Chhod Kar bahut mazabi hokar Allah Ki Mohabbat Mein mubtala Ho Jaate Hain main aisi kahaniyon ki bahut Kadar Karti hun Magar Main Khud ko unse relate nahin kar Saki Kabhi main uska shukr Ada Karti hun use Mabood taslim Karti hun main Ammi Apne bhaiyon Abbu aur....."

Mud Ke darwaze ko Dekha zumar ja chuki thi kab ki

" aur kuchh dusre rishtedaron se bahut Mohabbat Karti hun isiliye main keh sakti hun "

Chehra hatheli se hatakar Piche take Lagati Hui saafgoi se Kahne Lagi

"Tumhari sari takrir Ek Taraf abhi tum kis baat per Pareshan Ho main sirf Itna kahungi ki jo bhi masala hai usko HAL karne ki koshish karo"

"han Ek school ka masla hai Khud Hi HAL ho jaega"

vo Talkh Hui Alisha Ne lab bhinch kar Nafi Mein gardan hilai uski Surmai Aankhon Mein fikramandi Thi

" masle khud hal nahi hote Karne padte hain aur Iske do tarike hai ya To Khud Mein Himmat Talash Karo
Ya zyada Himmat Wale Ko Talash karo "

aur FIR vo aadatan Hansi ye uska Andaaz tha

" zyada Himmat wala? "

Haneen Ne mur kar darvaje Ko Dekha FIR sar jhatak kar Sidhi Hui

" Kya Tumne present breed ka ye season khatm Kiya ?"

Sath hi phone ki ghanti bajane Lagi Haneen Ne bejari Se Dur Pade Phone ko bajte Dekha Ammi aur sem
zumar ke Jaate hi sone chale gaye the use hi Uthna Padega

" Nahin abhi 6 kist par hun yaar is bar maja Nahin a Raha vaise Mujhe Michael Se zyada Linken pasand hai Achcha main Chalti hun is Waqt meri ek rishtedar aunty ka phone Hota Hai aur vo lambi Baat Karti Hai"

alvidai kalmaat kahkar jaldi se musalsal bachta phone uthaya CLI per Anjana number tha Magar Fir Bhi Kahin dekh Rakha tha

" hello ji Haneen baat kar rahi hun
Ohh ji ji Sure Abhi....? Abhi Nahin Magar Sham Mein mamu aaenge Hamari Taraf To main unke Sath a jaaungi sure Aurangzeb uncle"

Muskura kar usne phone Rakha Jo udaasi chehre par thi wo ab Jayal ho gai aur vo Ammi ko batane Bhagi Aurangzeb Sahab ko kam tha aur unhone use Bulaya tha wahh

* shayari *
______________________________________

Ab ehtyat Ki Koi Surat nahi rahi
Katil Se rasmo rahSiva kar chuke hain ham
______________________________________

Don't forget to vote!

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now