Chap.58

254 9 4
                                    


banquet hall Mein Andheri Sham us pal Khoob Roshan thi  stage per dulha dulhan ke sath Rash Laga tha tasviren utarvai ja rahi thi group photos
happy endings fairy tales

dusri Janib khana khul chuka tha vo stand ki taraf Jaane Walon Mein haneen aur sem bhi the

Haneen Halki Gulabi lambi frock aur chudidar pajamen Mein majbus thi aur sem ka kurta salwar tha
vo kad Mein Hana ke Kan Tak aata tha uske sath chalte chalte vo Jara Aage nikalne Laga to behan Ne Koni se pakadkar Kareeb Kiya aur Tindhi Andaaz mein ghura

" mote allu ek minute shadi main khane ke 3 usul yad hain na? "

"Bilkul... "

vo Mura aur usko Dekhte Hue ungaliyon per ginvane Laga

"pahla usul vo chizen Nahin Khani Jo sirf Maida Bharti hai Jaise chawal roti aur salad dusra Jo Ham aamtaur per khate hain jaise murgi aur beaf hame duste Gosht ko tarji deni hai Jaise mutton aur prawns tisra or akhri usul Ye Sab apna akhri khana samajh kar khana hai "

"Durust "

top se Sar Ko Ham Diya aur FIR donon sath sath agy aye plete uthaen Dur Tak buffet dishes ka jayza liya
BBQ par Nazar pari to haneen ke Aankhen chamki donon puretmat chaal chalte us Taraf aye

Zumar bhi wahi khari thi or Aaj Bhi Siyah Rang pehna Tha ghunghariyale Baal bhi vaise hi aadhe Bandhe the haneen use Nazar Andaaz Karke apni plate bharne Lagi

zumar ne sar Utha kar use dekha wo log ekhatte hi Aaye The aur Tab Se donon Ke Darmiyan koi baat nahin hui thi Zumar Muskura kar jhuki or mayonnaise ka pyala Utha kar haneen ki taraf darhaya

Haneen ne Yun zahir kiya jaise dekha he na ho or Khana Dal kar us mez ki dusri Taraf ayi Ek Aur Pyala uthaya aur dusri Taraf mur gai

Zumar ki Muskurahat phiki Pari
Pyala hath main he reh gaya

" phopho ye main lelu? "

Sem ne usko jaldi se sharmindagi se bachaya or haneen ne sun liya tha
Magar sanjeedgi se plate main gravy dalti rahi chammach Rakha to Ek Mehandi wale hath ne chamcha Utha liya haneen ki bikhtaiyar Nazar uthi

Wo Kiran thi Kamdar libas zewar make-up Zara bhari bhari si hasti
Muskurati uske hath uski koi cousin bhi thi wo usse bat karte hue khana dal rahi thi haneen ki nigha mazeed thikhi hui piche mez par uski sas naukrani Thi or 2 judva bacche the jinko Har Koi ruk ruk kar juk juk kar Pyar kar raha tha

Hanee Ne beikhtayar mur kar zumar Ko Dekha vo dekh chuki thi aur ab Sanjeedgi se ruk Mor Gai thi

Kitna takleef de Hota Hai
Kisi ke pass vo dekhna
Jo aapse Chhina gaya ho

Haneen Piche Mur Ke chaha Ke phopho ke Hath se mayonnaise Ka Pyala Tham Le
Magar ab vo sem ke pass tha
Ab der ho chuki thi

" hammad "

Uske Naam ki pukar Sunni to idhar udhar dekhne lagi wo apni maa Ki mez par jhuk kar Kisi se mil raha tha glasses lagaye hue achi Shakal ka tha magar is Waqt wo use zeher lag raha tha Zara dabe dabe gusse se wo zumar ke barabar a khari hui
ammi or saadi bhai Kisi or table par the magar wo teeno yahi khare rahe

"Ye curly balon wali prosecutor thi na hammad bhai ki x fiance"

Kiran ki cousin ne unchi si sargoshi ki

UN donon ki taraf Unki pusht thi Magar Awaaz ka rasta Kaun rok Saka Hai Bhala

Kiran Ne Tirchi hokar dekha
Or Shane uchka kar khana nikalte hue boli

" thi Nahin vo ab bhi prosecutor Hai carier women you know "

" to uski shadi nahi hue?
Such uske Gurde zaya ho gaye the *

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now