Chap.30

206 6 0
                                    

fareb kar / namal part 6

Zumar ne jawabi Saadi ko dekha or boli

"Hamare Yahan Ek Jadugar Hua Karta Tha Kabhi topi se kabutar Dikhao Na To Kabhi kan se Rumal Maine Ek Din poochha Truck ka rasta bataen vah bola Jis Din Bata Diya vah Mere show ka Tumhare school mein Aakhri Din Hoga "

"Sahi aur yeh driver ko Kurban karne ka mashvara bhi Hashim bhai ka hoga"

"Kya pata unko Maloom na Ho ki jurm malikan ne kiya tha? "

Haneen ko bura laga tha

"Maloom ?...Hashim kabhi bhi apni client se nahin puchega kaise jurm kiya hai agar uska kam difa karna ho to voh difa Karega prosecute karna ho to prosecute Karega "

Haneen zumar ko dekh kar reh gayi
Hashim Ne usse bhi nahin poochha tha ki usne nakal ki thi ya Nahin Magar Kyon Kyunki Vakeel ka kam puchna aur Mokal per etbar karna Nahin Hota use Khud tafteesh kar Ke Sach dhundhna aur use Chupana ya Badhana Hota Hai

"Hashim bhai ko lazmi pata Hoga Ki Malikan Ne Jurm kiya hai apne Jaise criminal ko wo acche se Jante Hain "

saadi ne izafa kiya to zumar ne abru uthaye

"Saadi muje Hashim bikul acha nahi lagta main use Bilkul Pasand Nahin Karti Magar criminals ka difa karne wale ko Ham criminal nahi keh sakte"

Saadi khamosh ho gaya
Agar jo phopho ko pata chal jaye ki wo Hashim ko itna bhi nahi janti to?

Jawaherat jab idhar ayi to akeli nahi thi sath main 2 khawateen bhi thi wo siyah or Sunehri dhariyon wale dress Mein damak rahi thi muskurate Hue shaadi ka caller jhara

"Kya yeh Dosti Hai Tumhari Nazar Mein ki Shakal Bhi Nahin dikhate "

Bade nazakat aur Man Se Kaha

Saadi narmi se muskuraya or bola

"ab aapke pass Kuchh pehle Jaisa Waqt Nahin Hota misses Jawaherat "

Jawaherat bas Muskura kar apni friend se zumar Ka Taruf karane Lagi aur unmen se ek se Janti bhi thi

"Ohh ap zomar hai mujhe yad hai
Ham pehle mil chuke hai "

Usne zumar ka Naam galat liya

"Ufff it's zumar zuu zey ke upar pesh hai " usne tor tor kar bataya wo khatoon acha acha keh kar sar hilane lagi

Duur nosherwa tutdagi se Udhar Hi dekh raha tha use Maa ke Vada pura Karne Ka Intezar tha ki wo Saadi se badla le gi ab jawaherat Saadi se un khawateen ko Taruf karane lagi

"Ye saadi Yusuf Hai Hamara rishtedar aur bahut Achcha dost apna mukamal Taruf or shajra nasar batana Saadi ko bohot pasand hai to batao na Saadi"

Saadi Zara sa chonka phir sambhal kar muskuraya to sheru ki besti ka Badla liya ja raha tha usne Dur Khare nosherwa ko dekha jiske labo par fatehana Muskurahat thi Saadi muskuraya or khans ke kaha

"Misses jawaherat ne shajra e nasar ki bat ki hai to ham Pathan hai aur Hamara kabila Bani Israel se talluk Rakhta hai Yusuf AS se isiliye saadi Yusuf Khan naam hai mera u main Mere middle class ghar wale Ham Sab Bani Israel ki taraf se Hain "

Saadi ne masumiyat se keh ke jawaherat ko dekha

Jahan Sheru Ka Chehra Surkh para
waha Jawaherat bhi bhuj gayi

Wo Tarah se iska Taruf nahi karwana chahte the agar Jo us din ki tara Saadi wo Takrir Yahan bhi jharta to kitna maza Aata magar ab wo teeno khawateen use sataish nazro se dekh rahi thi nosherwa sar jhatak kar agy ghar gaya jawaherat ab us mene ek se bat karne lagi

"Australia kab ja rahi ho amna "

"Isi hafte hamad or Kiran ke sath "

Zumar chonki Saadi bhi hairan hua haneen tak ne usko dekha

Jawaherat ke pas or bhi bohot tareeke the Badla lene ke

or ye to sab jante the ke zumar ka rishta jawaherat ke rishtedar yani hamad se hua tha or bad main zumar ko goliya lagne ki waja se tut gaya tha

"Kiran kaisi hai "

"Theek hai jurwa bete hue hai bohot khush hai dono

Amna Kiran ki khala thi

Wo khawateen waha se Hati to jawaherat muri or Saadi ko dekha Jo sanjeedgi se use dekh raha tha or phir zumar ko dekha Jo sapat khari thi
Jawaherat ne ek dam malamat wala cherha bana kar boli

" ohh I m sorry muje hamad ka zikr nahi karna chahie tha tum disturb hui hogi? "

Jawaherat zumar ka hath pakre narmi se keh rahi thi jaise unhe bohot he sharmingi ho

Haneen lab kat ti apni phopho ko dekh rahi thi usko apne pichle rawaye pay bura lag raha tha

"Mujhe farak nahi parta "

use farak para tha magar wo Rukh mor gayi thi or waha he entress se wo chalta a raha tha un Sunehri or siyah logo se bikul alag nili jeans pehne upar safeb shirt pehne baal Bilkul chote Kate wo andar a raha tha waiter ne use roka or kuch kaha magar wo oh sa muh banate waiter ko piche kar me barande ki taraf barne laga tha

Zumar ki aankhon main karb ubhra zard gussa gham sab uske lab bhinch gaye jawaherat ne zumar ki nazro ki taraf dekha

"Wo reha ho chuka hai ye uske mamu ka ghar hai use yaha rehne se koi nahi rok sakta faris ko kuch bhi karne se koi nahi rok sakta "

Jawaherat ne zumar ka hath dabaye Goya mazrat ki magar aram se

"Mujhe koi farak nahi parta "

" Zumar I'm really sorry "
( main bohot mazrat khuwa hun )

"You should be"
( Hona bhi chahie )

Saadi ne sard lehje main kaha

Jawaherat ne foren use dekha
Saadi ki kohni ko bacho ki tarha thapka or aagy bhar gayi

Haneen Saadi usama teeno khamosh they or zumar ke rade Amal ke Muntazir they magar zumar unke taraf nahi dekh rahi thi

" Kya apne kitab pari Jo
maine also gift ki thi ? "

Saadi ne khans kar kaha

" Konsi kitab "

Zumar ne aankhon ki nami ko andar utar liya magar lehje main larzish thi

" han wo tervi sadi ka Muslim schooler wo non-fiction "

"Nahi main nahi par saki main aati hun abhi hm... "

Wo mazrat kar me andar ki taraf bhar gayi

"Phopho hurt hui hai "

Usama ne kaha
Saadi or haneen dono he chup rahe

Faris andar Aya or seeda guest room ki taraf bar gaya uske chehre ke tasurat sapat they kamre main a ke darwaza band kiya or bag bed pay rakha or khud bhi sath he baith gaya
Sar hathon main giraye uski aankhon main malal dar aya tha us hajoom main wo siyah libas wali larki ki aankhon ki tapish goya andar tak utar gayi thi jaise usne uske andar ko jala dala ho wo Bilkul khamosh baitha raha kamre main zard roshni thi or ajeeb sa sanata tha bahar ke shor or ronak se Bilkul ye kamra Bilkul alag tha phir wo Utha or dhere dhere chalta khirki tak aya parda Zara sa sarkaya bahar loan main wo khari thi

Wo bedili se Saadi ko kuch keh rahi thi bato ki talkhi or sapat pan ke bawajood uski aankhon ki udasi yaha se bhi Dekhi ja sakti thi jaise wo udasi ko chupane ke leye apne upar koi malma charaye hui ho

Wo wahi khara use dekhta raha parda abhi tak uske hathon main tha or aankhen usi pay Jami thi zehen main bohot sey manzar ghoom rahe they

*Yaad *
______________________________________

"Ji han main pury wasookh sey keh sakti hun ke muje muljim faris ghazi ne mujhe restaurant par bulaya tha
Or mujhe par goliyan chalai thi "

Barson pehle wo katehre main khari sapat andaz main bol rahi thi

"Nahi mene use goli chalate nahi dekha magar mene uski awaz suni thi main is cheez ki gawa hun ke mujh par or zartasha par goli chalane wala mulzim faris ghazi hi tha "

______________________________________

Don't forget to vote ❣️!

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now