Chap.29

190 9 0
                                    


Kasre kargar ke bahar chand kilometer ke paar Sarak per vo car ruki Khari Thi Chand aur streat Pol ki Mili Juli matHam Roshani Mein Dekho To car ke Door se thek Lagaye faris ghazi Khara tha sine per Baju lapet Rakhe the aur Sar jhukaye Joger zameen per Ragar raha tha

dafatan usne Sar Utha Kar Dekha apni sunehri Aankhen mutalashi Andaaz Mein daen baen ghumai wo Jaise Kisi Ka Muntazir lagta tha

Itni madham Jagah per bhi uska Chehra shaffaf Sa lagta tha jail wali pony ab cut chuki thi aur Bal bahut Chhote Ho Chuke the Koi ustara FeR Diya Ho Puri aasteen ki Surmai shirt pehan Rakhi Thi Vaji Tere per bezari si thi sunehri aankhen magar magroor naak usko Mazeed
purKashish banati thi wo wakai asa mard tha jise log ek do dafa mur kar zaruur dekhte the Magar voh Aam Khubsurat mardon Ki Tarah is Baat se luftandoz nahin Hota tha ya shayad ab nahi hota tha Ab Uske Chehre per Ek benayazi si or gussa aur chirchira pan rehta tha

Or bilakhir Samne Se car Aati Dikhai Di tej headlights ke bais faris Ne Aankhen ChundLiya kar Munh Fer liya headlights Madan Hui engine band hua Sarak pay phir andhera chha gaya

Darwaza khula or ek nojawan bahar nikla yaha se uski pusht dikhai deti thi uske Baal siyah they or ruff se jeans pay Nazar ata tha hath main ek bag pakar rakha tha

"Mubarak ghazi" kehte hue usne hath milane ko hath agy barhaya or Faris ne bag pakarne ko

"Mubarak to Dene de yaar"

"Mera saman stepni... "

Faris ke alfaz khushk the
magar awaz nahi

Nojawan ne afsos se sar hilaya

"Main Tera wahid dost hun yaar jail main bhi Tera sathi raha hun agar Tujhe bahar nikalne main Saadi ka hath hai to 4 ungliyan meri bhi hai banda dosti ka he lehaz kar leta hai "

" sab kuch pura hai? "
Bari he mashkook nazro se Faris use dekh kar bola or Tafteeshi andaz main bag main sab kuch ulat pulat kar dekha andhera hone ke bawajood Faris itna dekh sakta tha ke sab kuch pura hai

* ye vo chize thi Jo faris ne reha hote he kabristan main Saadi ke mobile se call kar ke mangwai thi *

"Apni jaan par Khel kar Laya hun main ye sab waise tum is sab ma Kya Karo ge ? "

"Apni hifazat ke leye hai or Kya "

Wo ab bag car ki pichli seat par rakh raha tha

" asla apne liye bhi ho to chalana dusre par he hota hai Allah ko Mano
Faris ghazi tum abhi kuch hafte pehle reha hokar aye ho "

'Tumhara shukriya ab main chalta hu'

Keh kar Faris driving seat ki taraf bhar gaya or stepni Hakka bakka
reh gaya

"Or mere paise tum bhul gaye ke main yaha ka sab se mehnge consultants mese ek hun? "

"Acha abhi to tumne kaha ke tum mere dost ho? "

Faris ne tajub se kaha or andar baith gaya

"MAGAR MERE PAISE LAGE HAI YAAR WO KON DE GA? "

wo cheekha tha

Faris ne mathe tak hath leja kar use Salam kiya or darwaza band kar diya or aagy bhar gaya

Stepni mu main kuch bar Bara kar wahi Khara reh gaya

Kasre kardar main waise he party ki ronak jari thi saadi ghunt ghunt juice pee raha tha or gehri nazron se baen taraf dekh raha tha Jahan shehreen kisi se mil rahi thi jisne wali gown pehna tha hath main bag or tab pakar rakha tha unko dekh kar wo unhi ki taraf ane lagi

"Hello DA "

Zumar ko shehreen asy he bulati thi
DA Mtlb district attorney
Phir saadi par Nazar Dali "hello saadi"
Saadi par sarsari si Nazar Dali phir normal sa hal hawal pucha or bina mure piche hoti gayi
Saadi ne gehri sans li adha Kam ho gaya tha magar password?

Zumar ne apna wada pura kiya tha Saadi party main a chuka tha
Hashim ne Saadi ka kandha thapka
To Saadi gar Bara kar seeda hua Hashim abhi Aya tha haneen apne juto ko dekhne lagi zumar ne Zara se khande uchkae or Hashim ko Saadi se
Baat karta dekhti rahi

"Kya kar rahe ho AJ Kal "
Hashim bilkul bare bhayon ki tarah puchne laga

Saadi sadgi se Muskuraya

"Apko pata na ho ke main Kya kar raha hun ye main nahi Manta "

Hashim has diya
magar uski sard aankhen Saadi ke aandar tak utar rahi thi

" yahi to Jan ne ki koshish kar raha hun ke tum Kya kar rahe hoo. "

" Gary murde ukhar raha hun "

Hashim ki sard aankhon main tapish ubhri magar Muskurahat phiki nahi pari

"Koi zinda mile to batana "

"Bilkul pehle apke pas he ao ga wada"

Saadi ka lehja zarb tha Hashim ne Muskura kar sar ko kham diya
Or Saadi ke Coller se nadida zard jhari

"Main intazar karu ga "

Phir dusro ki taraf palta

"Kaisi ho haneen"

haneen ne sar uthaya palke zarzish hui wo uske samne Khara tha
Narm Muskurahat se usko dekhta
Camel color ka suit andar siyah shirt sab se mukhtalif
haneen ka aaitmat Bara kisi ko kuch nahi pata chale ga wo kisi ko nahi bataye ga soch kar haneen boli

"Ji theek "

Usama ko bina dekhe wo zumar ki taraf mutwajja hua

"Kya mene apko bataya ke mujhe Sarkar banam Abdul ghafoor main settlement mil gayi hai? "

Zumar ki baalo ki lat lapet ti ungli ruki aankhon main koi hairat koi Shok na dikha bas sawali abru uthai

" ohh really or prosecutor Abdul ghafoor kaise mane? "

"Jaise ke main kehta hu paisa bolta hai " wo jaise mazbooj hua tha

" Waise apko LA ilm dekh kar hairat hui mujhe laga tha apko meri jeet ka ab tak pata chal chuka hoga"

"Bilkul main vakai LA lim thi ke ap jeet gaye Hain "
zumar ne beniyazi se abru uchkae

"Anyway Mubarak ho apne ek katil ko trail se bacha liya "

"Wo ek accident tha "

Hashim ne yaad karwaya
Phir " main ata hun " keh kar antreas ki taraf bar gaya

Zumar muri to Saadi use he dekh raha tha or bola

"Ye kis jeet ki bat kar rahe thy
Or ye carpret litigation se criminals cases par kyu a jate hai bar bar "

"Zaraaaa... Summarise kar ke bataye"

Uski bat par zumar ne
kehna shuru kiya

"Well hashim ki ma ki dost misses shehla irshad ke driver ne accident main ek teenage larki ki jaan leli or hashim apna office chor kar sirf azizo akarib ko favors Dene ke liye DA ke office ata rehta hai "

"so wo case settle karna chahta tha magar prosecutor baseerat ke pas ye case hone ki waja se ye mushkil tha
Barhal usne diyat se upar ki rakam upar wursiya ko khufiya tor par de diya or mamla settle "

"Sirf 20 minuts "

Zumar ne na samjhi se use dekha

Abba jab pehli dafa muje apke pas le kar gaye the to meri umar 20 minutes thi so un baki ke 25 saal or 7 din main apke kareeb raha hun or us 20 minutes ki kami meri also samajhne ki meri also samajhne ki salahiyat par havi nahi ho sakti kyu ke apne hashim ko kaha ap uski jeet de bekhabar thi or agar main decode karu to ap ko khabar thi magar jeet ki nahi kyu ke wo shayat jeeta he nahi hai isleye apne Jo summarise kar ke bataya wo ab zumarise kar ke bataye"

"Zumarise......achha "
Wo halka sa hasi

Ye ye Kafi arse bad ho raha tha wo dono bat kar rahe the or haneen
Be dilli se sun rahi thi uska dehan bar bar bhatak raha tha

" kanoon andha hota hai magar prosecutor ki do aankhen hoti hai mujhe case dekhte he pata chal gaya tha ke accident makilkan ne kiya hai or wafadar driver kurbani ki bher hai magar na saboot tha na gawa to mene hashim ko prosecutor baseerat ka rasta dikhaya kyu ke hashim apni Anna ke liye misses shelah se dohri rakam nikalwa sakta hai jab larki ke bap ne bataya ke dohri rakam mil gayi hai to mere prosecutor baseerat sahab ko deal ke leye kail kar liya "

_______________

Don't forget to vote lovelies ❣️!

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now