Chap.40

210 10 0
                                    


Restaurant name viran tha Unka Karobar vaise bhi Koi bahut fayde mein nahin tha Fir Bhi Guzara ho jata usne mez per bag Rakha hi tha ki phone bajne laga

"Sunday ko bhi Logon Ko chain Nahi Aata "

Kehte hue usne caller ki I'd dekhi to alert sa ho gaya

"Hello shehreen bat kar rahi hun "

Wo bezar magar zabd se boli thi

"Mere pass hai aapka number sorry main aapka Shukriya Nahin Ada kar saka "

"Uski bilkul jarurat Nahin Hai Kyunki Hashim abhi abhi yahan se nikla hai aur vo Sonia ko mere sath chhutiyon per Nahin jaane de raha"

"Magar Kyon ?"

"Ye to Tum batao ge isliye Mujhse madad Mangi Thi Ki pakre Jaane per Sara malba Mujh per Gira do "

Wo Tezi se boli
Saadi Ki Aankhon Mein Uljhan ubhri

"Tumne Hashim Ke Samne mera naam kyu Liya "

"Maine Hashim Ke Samne apka Naam liya Kisne Kaha aapko ?"

Saadi shocked tha Chand Lamhe ki Khamoshi Chha gai

" Hashim Ke guard ne Jab Tum per tashadud Kiya To Tumne mera naam nahin ugal diya ? "

" KYA........yeh hashim ufff"

Uska sar chakra raha tha

"Us hashim ko kav ve kyu nahi Kat te uske jhoot par yakeen kar ke apne aetaraf kar liya uff uff hai apke liye "

Uska mood sakht kharab ho chuka Tha

"Na Maine Kuch bataya na mujhe Kisi Ne hath lagaya isse zyada Main Apni Safai Nahin Dunga "

Shehreen ne gehri sans li

"Mujhe Tum per yakeen hai vo vakai Jhooth bol raha tha Barhal vo Jante Hain Ki ismein Tumhara Hath hai or nosherwa mujhe sangeen nataz ki dhamki dekar gaya hai

"Nosherwa kyu? "

Wo chonka

"Maine uske zariye password liya tha"

Saadi Chand Lamhe ke liye Khamosh ho gaya tha Use Kuchh bura laga tha

"aapko use istemal nahin karna chahie tha "

"okay sari galti Meri Mujhe Tumhari madad hi nahin karna chahie Thi Ek to maine Itna Khatra bol Lekar Tumhari madad ki sirf isliye Ki Tum Mujhe tevar De Chuke Ho aur tum ulta mujhe ikhlakiyat sikha rahe ho"

vo talkhi se Buland awaaz mein Bole ja rahi thi

"Mujhe nosherwa bilkul Pasand Nahin Hai aur main uski bilkul bhi Izat nahi karta bas vo is mamle Mein involve nahi tha to is vajah Se Mujhe Uske istemal hone per bura laga aur aisi koi baat nahin hai"

"Aur yah Sara kissa hai kya"

Shehreen ne poochha
Saadi Khamosh ho gaya

"Jo bhi hai Saadi mujhe meri beti Wapis chahie tumhari waja se ab wo mere sath nahi ja rahi "

"Ap uski maa hai usko Khamoshi se le kar nikal jayein "

"Han taki agle 24 ghante Mein wo Mere Sar per pahunch kar Meri beti chhin Ley aur Kabhi Mujhe uski Shakal Bhi Na Dekhne de mere bas main ho to Main Usko Lekar Duniya Ki Kisi bhi Hisse Mein Chali jaati Agar Mujhe yakeen Hota ki hashim vahan Nahin pahunch sakta Aur FIR main kyon Bhagu Meri zindagi Yahan settle hai dost maa Baap Sab yahan hai main security mein hun Magar "

uska Gala thak Gaya vo Sans lene ruki

"I am sorry "

"sorry Kafi Nahin Hai Tum Hashim se baat karo Tumne uska jo Churaya hai use Wapis kar do "

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now