Chap.45

167 5 0
                                    

Kardars ke Ajim O Shan kasar Ke Samne lawn Naseeb Mein Jata to aage
Nxe (faris ka ghar) tha Paras darvaje per Khada chabiyon ke guchchhe se ek laga raha tha jeans per button wali shirt pahne kaf Kalai per mode uska Chehra betasur tha

darvaza Khula usne andar Kadam Rakha Bina Dekhe Deewar per Hath Mara or dusra battan badaya Batti Jal Uthi wo chote chote Kadam uthata andar Aaya gardan ghumakar Chhat khidkiyon diwaron ko dekhta wo rahdari se guzar raha tha Ghar Bahar se pen Chhoda Tha ke Kadar Apna Ghar paint Karvate the to Uska Bhi beruni hissa Karva dete ki unke loan se vah Dikhai deta tha albatta Andar Se Ghar mamuli tha normal furniture chips ka farsh aur Chhat ke milane ki jaga par ukhra paint Aage badhta Gaya Ki jawaherat ne Safai Karva di thi Magar Fir Bhi purana aur mamuli lagta tha long Chhota Sa Tha Uske Ek Taraf khane ki Ghol Mein Rakhi Thi drawing room alag tha Ek Taraf darvaja tha Jahan se sidhiyan basement Mein jaati basement bilkil taykhane ki tarah thi pure kamre main faili magar diware nadarat us taykhane Mein Kat kabar tha per Sudhar Nahin Gaya vah upri Manjil per Aaya Aage Teras Pita aur andar Deewar per Ek tasvir thi tasveer main wo Halka sa Muskura raha tha bilkul Halka sa Ash grey dinner suit main malboos tha Baal bilkul ab jaise the
Sari mein malboos ladki Khadi Thi step Mein Kate Bal Bary jhumke wo bhi Muskura rahi thi Faris mur gaya uska chehra be tasur tha
Wo bathroom tak gaya asteene kohniyon tak ki or wazu Karne laga

bahar Roshani Mein nahaya kasar Dikhai de raha tha andar mulajmo ki Chahal pahal Jari thi Jawaherat sarbarahi Kursi per virajman nazakat se chhuri Kante se stake ka tukra Tod rahi thi dayen hath table par Jhuka hashim khane main magan tha

Jawaherat ke dusri taraf baitha nosherwa kata be dilli se idhar udhar rakh raha tha uski shave bhari thi
Chehra bilkul be tasur tha

"Tum ajj office phir nahi aye "

Jawaherat ne bas use nigahe Utha kar dekha usne be zari se chehra uthaya

"Ap log kuch lamhe ke liye mujhe akela nahi chor sakte? "

"Mummyy"
Hashim ne nigaho se jawaherat ko tamheeb ki usne Sara se Shane uchke

"Mera khayal tha tum ab tak apne bhai ko samjha chuke hoge magar ye hanoz us autar ke gham main hai Jo ise ghada samajh ke isemal kar ke chali gayi hai "

"Ap chahti hai main table se uth jau?"

Uska chehra surkh parne laga

"Sheru tameez se bat Karo wo hamari Maa hai ! "

Or jis tarah Hashim ne nazre Utha kar use kaha tha sheru ka sar jhuk gaya

Jawaherat ne gehra sans le kar glass laboo se lagaya

"Or main us din ka intazar kar rahi hun jab tumhen ye samajh ayega ke main or tumhara bhai tume protect Karne ke liye kya kya kar rahe hai
Or har ye pure hafte tumhara khamakha ka gussa jhel rahe hai or Agar saadi ne.. "

Or is Naam par saadi ki kanpatiya phatne ko thi

" jab kuch kiya bhi hai to tumhare bhai ke sath kiya hai or wo keh raha hai wo sambhal le ga to tum kyu apna khoon jala rahe ho "

Nosherwa ne kata rakh diya bas kha chuka tha wo

"Faris chala gaya? "

Hashim ne danista Maa ko dekhte hue mozu badla wo abhi thandi hokar saadi ki or class le sakti thi magar Hashim ki bar bar nazro ki tamdeekh par wo gehri sans lekar boli

"Mehman se 2 din ke bad badboo ane lagti hai to mene uska ghar saaf karwa diya tha "

Nosherwa bar bar uthne ko pankh Mar raha tha par usme itni jurrat na thi ke wo apni Maa or bare bhai ke samne se Yun uth kar chala jaye

Hashim ka fhone phir se baja
Usne ek hath se kata mu tak lejate dusre hath se fhone kan ko lagaya

" ji... Ji ji apka Kam ho gaya hai main subha tak file pohcha duga "

Usne plate pare ki or ek number milane laga Hashim me har waqt fhone bajne ke aadi the wo log

" ji zumar kaisi hain ap "

Un dono ne chonk kar use fhone par kehte suna

" Maine ek file apko di thi wo copy ho gayi?..... Acha.. Achaa main driver ko apke ghar bhej deta hun wo pick kar lega ok "

Usne ruk kar suna

"Ap kidhar hain.... Khairiyat?
Saadi ki taraf ohhh achaa... "

Hashim bat dohrata na tha par ye uske liye bhi gair mutawakka tha so wo dohrata gaya phir niga Utha kar nosherwa ko dekha wo bhavy bhiche use he dekh raha tha

"Chalen jab ap wapis aye to........ Ohh
To ap wahi se Court jayein gi sahi
Koi masla nahi aa Saadi kareeb hai to meri bat karwade "

Wo kehte hue apne chote bhai ko dekh raha tha jawaherat bhi napkin se muh thap thapati udhar he mutawajja thi

"Kya hal hai Saadi... "

Wo bola to aankhon main sard mehri
Dar ayi nosherwa ne huh keh kar aehtahzayia sar jhatka

" main to bilkul theek hun aisa hai ki meri secretary tumhen fhone kar ke Kal ki opponent de degi zarur ana main intazar karuga "

Keh kar usne fhone rakh diya

"Ye diraya apne use D.A ki nazro main ke wo ek bar phir family ban gaye "

" wo Kal ayega main sab sambhal Lunga ab waqt a gaya hai ki tum is
Saadi obsession se nikal ao "

Har fikra tor tor kar tahamul se ata kiya

"Nosherwa relax... "

Jawaherat ne abke sheru ka hath narmi se dabaya usne bazahir khudko normal karte hue asbat mai sar hilaya
Barhal tasurat chupane main bhai or Maa jaisa mahir na tha

" ye koi itni Bari bat nahi hai bat Bari tab hoti jab Saadi ke hath hamare zarure kagez lagte "

"Main samajh gaya Mai theek hun"

Wo fhone nikalte uth gaya jawaherat ne kadre tashveesh nazro se use deka

"Kaha ja rahe ho? "

"Wo sarakat wagaira ne bahar jane ka plan banaya tha pehle Mana kar diya ab chala he jata hun warna jab tak ye
Saadi zinda hai meri zindagi masael ka he shikar rahe gi "

Sar jhatak kar wo jane laga to jaise uski khud ki bat ne use ek bat di

" Mar kyu nahi jata ye Saadi Roz to itne bombs blast hote hai "

Keh kar wo chala gaya magar Hashim sans roke use jata dekhne laga

" soch samajh kar bola Karo "

Usne piche se kadre barhami se bola
Sheru ne mure bagair bye ka hath hilaya or chala gaya

"Mujhe yakeen nahin hai ki vao doston ke pass ja raha hai "

"agar aap ISI Tarah Har Waqt usko manFIR Dikhati Rahi to vo vakai kisi ke pass jaane ka Kabil Nahin rahega

" Tumhare Khyal Mein Main uski bhalai Nahin chahti "

"kya Ham sukoon se khana kha sakte hain "

Hashim Wapas plate ki taraf Mutawajja hua

"Sure"

Jawaherat nazakat se Shane uchkae Samne Gire Bal Piche ki or ghoot ghoot juice Peene lagi

* shayari type *
______________________________________

Pehla taruf pehla tasur Mohabbat Sabir Hoti Hai Mohabbat Meherban Hoti Hai ye Hasad nahin karti Shesh hi Nahin Karti magrur Nahin Hoti ye Tosh Nahin Hoti Kuchh Nash hoti hai jald gussa nahin karti galtiyon ka hisab Nahin rakhti Badi mein khush Nahin Hoti sirf sach mein taskin paati hai Hamesha hifazat Karti Hai Hamesha Bharosa karti hai Hamesha umeed rakhti Hai Hamesha sabit Kadam rahti hai Mohabbat Kabhi nakam Nahin Hoti magar jo peshya hai vo khatm Ho jaayengi Jo zabane Hain vo Khamosh kara Di jaayengi aur jo ilm hai vo Dam Tor jaega

( ahed namaye kabeem torat jeel mukadas )

______________________________________

If you like it then don't forget to vote ❣️!

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now