Chap.42

140 3 2
                                    


Saadi ne glass door khola andar office mein Sara Kursi per virajman gardan Tirchi kiye ek file per Kuchh likh rahi thi nigahe uthakar Dekha FIR likhne Lagi Bal Jure Mein Bandhe the Rukhsar surkh Gulabi ho rahe the

"Dr Sarah Maine ye kam mukmmal kar liya hai fer report taiyar hai "

usne Salam ke bad Kehte Hue kagazon ka Mandal mez pay rakha

"Aapki Tareef ?"

Sara ne likhate Hue poochha saadi Ne Achcha wale Andaaz Mein abru uthai

"Aap aksar karti rehti hai "

Keh kar wo Kursi khench kar baitha

Sara Ne sar uthakar use Dekha fir ungali se uthne ka Ishara Kiya vo pehle Sidha Hua FIR khara ho gaya
Sara Ne Kalam ki pusht Labon se Lagaye use Dekhkar Yad karne ki koshish ki

"Aapki Shakal Dekhi Bhali Hai Jahan Tak Mujhe Yad parta hai aap is project ke senior engineer Hai "

"Ji mam aur Jahan Tak Mujhe Yad parta hai maine Ek chhutti ki darkhast ki thi Jo approved hui thi"

"to aapne chhutti khatm hone se pehle Aane Ki zehmat kyu ki?"

"pehle main baith jaaun?"

usne poochha Sara usi Tara khafgi se use dekhti rahi saadi fir se Baitha aur Mandal uski Taraf dhakela

"aapka kam Waqt se pehle kar diya hai field per jaane ki sari taiyari bhi mukmmal hai ab aap vo Shikayat bataen jo aapko Mujhse hai "

Sara Ne file band ki take Lagai aur Sanjeedgi se use dekha

"Tumhen Pata Hai Saadi is project ki field per hazaron log kam kar rahe hain aur UN Sabke Upare audhe per pahunchne wali main wahid aurat hun aur iski vajah Maloom Hai Kya Hai ?"

"Mere Jaise zaheen aur Kabil senior engineer Ka Sath hona "

saadi ki Zuban fisli

"Apne kam se committed Ho Kar ke Rehna aur Bela vajah ke kaamon se parhez karna "

"aapko pata hai main Bina vajah chhutiyan nahin karta abhi bhi Kai kam the to..."

Vo Khamosh Ho Gaya aur Sanjeeda bhi

"Itne ahem kam ki tumne mujhe Faris ke Reha hone ka Nahin bataya "

"aapne poochha hi Nahin "

usne sadgi se Shane uchkae

"Poochha tha maine Tumne to tumne baat tal di thi "

"Acha Na Ab To pata chal gaya aapko"

Vo khush gawar andaz main guftagu ki nuiyat badalne laga Sara fikramandi se usko dekh rahi thi

"to bahut purusrar Hote ja rahe ho
Ab To Kuchh batate hi nahin Ho "

"Har chiz ka ek Waqt hota hai maine kaha tha na ek bar us Bande ke laptop Tak pahunch jaaun FIR "

"kaun hai vo kya Usi Ne waris ko.. "

Sare shikave Khatm karte hue Sara Ne aage hokar poochha

Saadi ne asbat Mein Sar hilaya

"bas thoda sa Intezar kar le aur ye sab Mujhe sambhalne De "

Muskura kar basharat se Kehta wo uth Khara hua Sara Ki Aankhon Mein Shikayat fir se uthkar ayi

"Ladke agle maah tum mujhe field par sath chahie ho taiyari kar lo "

"Rojar boss "

Muskura kar mathe tak hath leja kar Salam kiya or jane ke liye mur gaya Sara ne Bamushkil Muskurahat dabae use jaate hue dekha

"Ye Saadi bhi na "

*shayari*
______________________________________

Ye ahale Duniya Ke dilchasp Dhoke Kisi Ko Kisi Se Mohabbat Nahin Hai
______________________________________

Don't forget to vote lovelies ❣️!

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now