Chap.60

521 16 6
                                    

Important

After this chapter I will be offline on Wattpad almost for a month . I hope you guys will stay with me and wait for my until next update. I am not leaving it forever I am just going for a month and inshallah I will come back on Wattpad before a month . I will post new announcement today where I will tell all detail . I hope you guys will read that and will stay with in this time . Enjoy your long update.

Allah Hafiz!

............................

leads Mein Surmai Subah Apne andar Nami Samay Utar rahi thi Sara ki kitchen Ki khidki Se badalon se Dhaka Aasman saaf Najar Aata tha chulhe se saucepan utaar kar Garam dudh Cup Mein udel rahi thi Piche Baithi zakiya begam fal katti Saadi Ke Aage rakhti ja rahi thi vo Jab Se Aaya Tha Khamosh Baitha tha

" kitne Dinon bad Aaye Ho Itna Nahin Hota ki Chakkar Laga Lun ab aye ho vo bhi waris Ki nudrat Aapa ko Shikayat Lagai ke saadi se kaho a Jaya Kare or Tum aj Jaaye Ho "

" Kam Mein kar rahi hun Ya Tum"

sadgi Se kehti vo tray mez per rakhti Har mug Mein Bari Bari chammach hilate mug Sabke Samne rakh zakiya Begum Ne Chai ka Mag uthate saadi Ko Dekha

" Aaj Saadi Ne aate hi bacchiyon ka Nahin poochha"

shaadi Chauk kar Sidha hua aur muskuraya

" Nahi to main bus--"

" Vahi to Ammi ye Aaj bahut Bujha Bujha lag raha hai koi masala Hai To Mujhe Batao"

Apna mug Lekar Samne baithati vo Sanjeedgi Se poochhne Lagi wo sharminda ho gaya

" Asal Mein Mera masla Nahin Hai mera ek dost hai uska masla zara pechida Hota ja raha hai "

" Okay ...... "

Sara Ne tavajjo Se sunte Hue kap Labo Se Laga Liya

" us ladke ki mummy Kafi possessive hai or caring bhi vah idhar Aaya bhi isliye tha ki uski mummy chahti thi main uske sath rahun aur uska Khyal rakhun aur Dhyan bhi wo drugs pe chala gaya tha "

" oohh to Kya usne drugs chordi? "

Zakiya Begum Ne Jara FikarMandi se poochha Saadi Ke Chehre per Bebasi dar ayi

" Yahi to Masala hai mere aur uske subject alag Hai department alag Hai kabhi kabhi Mulakat hoti hai
uski Mummy ki Har Mail ke Jawab Mein main sab Achcha hai ki report deta tha Magar ab Kuchh desi ladkon Se Mujhe Pata Chala Hai Ki vo fir se drugs per chala gaya hai
Shayad Koi Ladki Chor gai hai use bhi Har mahine Sacchi Mohabbat Ho Jaati Hai "

Akhir main wo Jal kar bola zakiya Begum aur Sara Hans Paari

" Us Din usne gadi bhi Mari Kahin Chalan bhi hua tha yani jurmana shukar haI ke wo us Din drugs per nahin tha Varna Mamla Bigad Jata uski Mummy Ko Nahin Maloom ye Baat Ab Main Kya Karun dost ki Shikayat lagaun ya Uske aeb chhupaun"

" Dekho saadi... "

Sara Kap rakh kar Sanjeedgi Se
uski Taraf mutavajja Hui

" Ek maa hone ki haisiyat se mera Hak hai ki mujhe apne bacche ke har kam ki report mile agar tum uske sacche dost ho to uski Maa Ko zarur batao Taki vo uski Isla kar sake Agar uski jagah sem ye Karta to Tum Yahi Chahte ki Tumhari Ammi Ko Khabar di jaaye hai na? "

" oohhh "

Saadi Ke Lab O main sukre fir usne asbat Mein Sar hilaya vo samajh gaya tha

" Sara bilkul theek keh rahi hai uski Maa Ko batao do jute Lagaye wo usko"

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now