Chap .41

196 9 2
                                    


fareb kar / pehla ta'sur pehla taruf namal part 8
Subah dusre office Ki Tarah vahan Bhi kamon ki afra tafri faili thi jawaherat Bareek heel se chalti aa rahi thi sabki salamo ka sar ke kham se de rahi thi Hamesha Ki Tarah damak rahi thi Rah Dari ke sire per usne darvaja khatkhataya FIR Khol kar andar I To Raste Bhar Ki masnoi Muskurahat Gayab Hui aur uski Jagah tashveesh Ne Le Li

Laptop per Kuchh type Karte Hashim Ne Itna ek Nazar unhe Dekha fir wapis type Karne Laga uska Court stand per latka tha aur vo masroof lag raha tha

"Khairiyat? "

"Meri Samajh Mein Nahin a Raha ki vo Ladka 2 Din Se Tumhara Sara data Lekar baitha hai aur tum itne sukun se kam kar rahe ho "

Mez par Hath rakhkar jhukte Hue vo tashveeah se boli

"Pahli Baat Mere document security Ki Teh Mai hai vo Nahin Tod sakta main abhi Char bandon Ke Sath Uske Ghar per Dawa bol sakta hun Uske computer aur file nikal sakta hun Magar Main Usko yah tasur Nahi Dena Chahta ki Uske pass meri koi kamjori hai "

Kursi Ghuma kar Maa Ko Dekhte Hue Hashim Tahamal se Keh Raha Tha

"Aur mujhe yakeen nahin hai ki vo itni jaldi Mera Itna Sara deta copy bhi kar sakta hai jo bhi ho vo mere pass sabse pahle aaega aur use chup Karvane ke 101 tarike aty hai mujhe
Ab apni pareshani ki dusri vaja bataen Mujhe "

Jawaherat ne gehri sans li Ungali se Baal Piche kiye aur Kursi par baithi

"Tumhara bhai kahan Hai "

"vo Aaj Fir Nahin Aaya Khair Ghar per so raha hoga "

" vo Ghar per Nahin Hai Doston ke sath Bhi Nahin Hai Mujhe uski fikr ho rahi hai "

Hashim Ne mobile uthaya aur ek number Milaya han

"Shuru kidhar hai use dhundh kar mujhe khabar do fauran "

aur phone mez per dalkar Maa ko dekha

"mil Jaega Akhir kahan jana hai usne"

"vo disturb hai shehri ki vajah se use samjhao Hashim "

"Main Sambhal Lunga ap Kyon fikr Karti hain "

"saadi ko bhi Tumhen sambhalna Hoga Kyunki jab tak saadi ko Saza Nahin Milegi sheru ka gussa Halka Nahin hoga Mujhe Dar Hai wo Kuchh galat Na Kar Baithe "

"Mummy kya ye acha nahi ke han sheru ko gussa nikalne ke bajaye gussa Kam karna sikhaye "

"Main is bahas Mein Nahin padhna chahti tum saadi ka Kuchh karo vo vaise bhi use Pasand Nahin Karta Jitna saadi uska Rasta Katega utna Hi Sheru hyper hoga "

Hashim Kuchh Kehne Laga tha magar mobile baja aur usne call Uthali

"Hmm Theek "

Fhone band kar ke Maa ki taraf mutawajja Hua

"Wo hshooting club gaya hai aur vo theek hai main mil Lunga usse be fikr Rahe "

Narmi Se muskurakar vo Aage Jhuka aur Jawaherat Ka hath dabaya
Jawaherat muskurai hashim dubara apne Kam ki taraf mutawajja ho gaya

*shayari "
______________________________________

Dost Hain dil mein zehan mein hai Dushman koi bhi mujhse Dur Nahi
_____________________________________

Don't forget to vote lovelies!

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now