Chap.55

178 9 0
                                    


"Main colombieyo Nahin Ja Saka main office mein dilchaspi nahin Rakhta drugs Lene Lag Gaya hun aur use Din drugs ki vajah se main Hospital pahunch gaya unko Itna mayus Kiya Khud Se is Sab ke bad vo Mujhe Kya samajhte Honge"

" sirf Apna beta"

Nosherwa Jo gusse Se Bole ja raha tha jhatka kha kar ruka tane tasurat  Dhile Pare yak Tak saadi Ko Dekhe Gaya

"aur Mafi Shukriya aur izhare Mohabbat in teen chizon ki Khoon Ke Rishte Mein Kabhi zarurat Nahin Hoti sirf ravaiya durust karna hota hai aur sab theek ho jata hai "

"aur.....aur Agar unhone Mujhe dant Diya to? "

vo Andar Se Dara hua tha

"main Tumhen ek Kahani Sunata hun nosherwa "

saadi Ne Sar jhukaye jute se Lakri ke farsh masalte hue Kehna Shuru Kiya

"Main Ek ladke ko Jaanta hun Jiska Baap school teacher tha uski tankhuwa kam Thi Aur Gujara Mushkil Se Hota Hai Magar vo Ladka Kabhi Bhi Apne Baap Ke Samne khwahisho ki koi list Nahi Rakhta tha School Le Jaane ko paise Bhi Na Mangta Magar Jab vo 13 Sal Ka Tha to school function ke liye use naye juton ki zarurat Pari balki zarurat Nahin sirf Khwahish thi Kyunki Uske doston Ne Naye juton ki numaesh ki thi
vo jin men Rang birangi light Lagi hoti hain us Roz usne Apne Baap Ko kaha ki mujhe bhi Vahi jute chahie Baap Kuch der ko chup Hua to vo Samjha ke Baap Nahin Lekar dega vo baap se naraz ho gaya usne baap se baat karna bhi tark kar di Raat Uske sarahne uska Baap aaya aur kaha ki vo use kal jute La Dega bilkul Vahi jute Agar vo Ladka naraz Raha aur Aankhen Band Karke sota ban gaya Subah uska Baap school se jaldi chhutti Lekar us mehngi dukaan per Gaya Jaane Kahan Se paise jorkar usne vo jute kharide aur jab vo sarak Paar kar raha tha to Kisi bus ne use Takkar Mardi...."

Lamhe Bhar ko niche dekhta saadi Khamosh hua phir bola

"Sab log uske baap ki Lash ko ghar lae to Sath khoon mein nahaya juton ka dabba bhi tha or agar koi use kahe ki uski zindagi 5 minut bad Le Li Jayegi uska Baap Uske Samne a Jaaye aur UN 5 minut mein sirf usko Dante vo sari dant sunkar sirf mafi Mang sake to use ladke ko 5 minut ki Jindagi bhi kabool hogi Kyunki apni Jindagi ke agale 5 Saal Mein usne ye Baat acchi Tarah Jaan Li thi ki baap ka koi replacement Nahin Hota "

Nosherwa ka rang zard tha wo ek dam Utha Aur bahar nikal gaya
Jawaherat piche hui magar wo unhe dekhne bagair Sidhiyan utarne Laga

Niche Aurangzeb khare Kisi Mulazim ko koi kaam keh rahe the Sheru unke Kareeb pahuncha aur FIR unko Kuchh Kehte Hue unke Gale Laga Shayad vo Hashim ki shaadi ki mubarakbad de raha tha Aurangzeb Ne sunkar usko Khud Se Alag Kiya Kisi Se Kuchh Kehte Court ka Baju jhada Jaise shicken par Gai Ho Magar ab unke Chehre per vo Sakti Na Thi
Aur Sheru Ka Chehra damak raha tha jawaherat ne Aankhen band ki sari Nami andar utaari aur Palat kar Kamre Mein ayi
saadi yuhi Sar jhukaye Khara tha Aahat pe sute Hue chehre ke sath Halka Sa muskuraya

"thanks "

vo Kuch Bol Nahin Pa rahi thi Uske Samne jakar Khadi Hui

" kya Aurangzeb us din such Main pareshan hue the?"

"Aur kaise Pareshan Hua jata hai? "

use ulta tajjub hua
Jawaherat ne Muskura kar sar hilaya

"Shayad main bhi Sheru ki tarah kabhi kabhi usko samajh Nahin paati wo ek sakht tareen baap hai Magar use sirf Hashim Sambhal sakta hai kabhi kabhi a Jaya Karo tumse baat karke Achcha lagta hai "

"main leads Chala jaounga mujhe scholarship Mil Gaya Hai
Chemical engineering"

"Sheru bhi engineer parega "

"Magar vo to Manchester Jaega na Hashim bhai ne bataya tha "

Jawaherat ne ek Nazar Saadi ko dekha or ek Nazar sheru ke kamre ko

"Nahin abhi usse Faisla nahin kiya"

"Achcha !"

saadi ko hairat hui Hashim bhai to bilkul sure the...

" kya tum mujhe apni family Se Nahin Milwaoge "

Vo Muskura kar Khud Ko compose Karti saadi ke sath Bahar ki taraf chalne lagi saadi ne bhi Muskura kar Sar hilaya vo donon Ham Rah Chalte Jab sidhiyon Ke taraf jane Lage to jawaherat ne siriyon ki vast main Ruk kar saadi ko Dekha

"Agar use ladke ke Walid Aaj Zinda Hote to use per bahut fakar karte"

saadi ne jawab nahi diya bus udaasi se Muskura kar zeene utarne Laga

______________________________________

Don't forget to vote!

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now