Chap.53

273 9 0
                                    


Mrs ramsha ke office mein ek dafa FIR chai Ke Do Cup mez per mukhalif kinaron per Rakhe the
saadi ki taraf wala cup Aadha Khali tha aur mrs ramsha ka An chua vo sari Baat saadi Ko Bata Kar Ab bilkul Khamoshi se uska rade amal dekh rahi thi vo abhi samajhne ki koshish kar raha tha

"aap ye kah rahi hain mam ki aapne Mere document kisi private responsor ko bhijwaye hain aur unhone Mujhe sponsar karne ki hami Bhar Li Hai Aur vo Har Sal Meri fees jama Karvate rahenge ?..."

vo vakai be Yakeen tha

" fees rakam akhrajat jitni rakam ham de rahe the ap wo denge "

" aahh thank you mujhe nahi pata main kya bolu "

Wo khush tha or khushi inti ziyada thi ke wo theek se koi tasur bhi nahi de pa raha tha

" magar wo hain Kon? "

Madam me basket mein se ek crystal ball nikali or use ungliyon main ghumati saadi ke chehre se nazre hataye bagair boli

" hai koi jiska dil bhi bohot Bara hai or ap par kharch karne ke liye paisa bhi "

Phir Zara sambhal kar boli

" ek charity business man hai bohot se students koi private tor par sponsor karte hain apki akhirajat unhen achi lagi or sabse achi bat ye lagi me ap
Apni family ko khud se pehle rakhte hai "

" ji magar... Main unke bare main kuch Jan Saku?  Jaise ke agar main unse milna chahu? "

Crystal ball ghumate unke hath rule
Wo nafi main sar hilati piche hokar baithi

" bilkul nahi saadi mere kuch asool hai main apko sponsor ki koi tafseel faraham nahi kar aakti "

" agar main israr karu phir bhi nahi?
Main bas unka shukriya ada----"

" kuch chizo ka raaz na Jan na he behtar hota hai or main apka shukriya pohcha du GI un tak "

" achaa "

Wo udaas Hua tha

" ap meri zumar phopho ko janti hai?
Apne unko bataya ye sab? "

Zara purjosh hokar wo aagy Hua

Madam ne jawab dene se pehle bohot der tak uska damdamata chehra dekha

" kya ap chahte ho ki main unko abhi khabar kar du?

" nahi nahi... Main khud unko surprise duga thank you so much main chalta hun ab "

Jaldi jaldi na batane ka kehta shukriya ada karta dubara ane ka kehta wo darwaje ki taraf lap ka

" saadii apki phopho apse bohot piyar karti hai agar unke liye koi kurbani deni ho to kabhi piche mat hatna "

" ji acha or han ap mat batayie GA
Main khud batauga "

Or wo bahar nikal gaya

Madam ne sar jhatak kar gehri sans andar utari or socha ke mohabbat bohot saadi or peycheeda Shay hai

°°°

Haneen saadi ke sath ayi thi or jitni der wo phopho or ammi ko purjosh sa hokar apne scholarship ke bare main bata raha tha haneen us cake ke 3 tukre kha chuki thi jo saadi ne raste se liya tha

" yani tumhari parhai or akhrajat bilkul must wah bahi se to Kamal ho gaya "

Bari ammi bohot khush thi bar bar saadi ke sar or kandhe par hath pherti or izafa karti

" nudrat se umeed nahi thi ke wo bacho ko para payegi asal main tumara bap bohot layak tha tum or Hanna usi par gaye ho "

Or saadi or haneen ke liye ye bate beasar thi kyu ki Bari ammi ke pas Puri ki Puri list thi ke nudrat ne mujhe fala jaga par fala kaha tha
Or nudrat ke pas bhi Asi he chartsheet
Hama waqt taiyar rehti or un dono ki gair mojoodgi main saadi kaha karta tha har shaks ko apna Kam Karna chahie Allah ne mard ko 2 kan isliye diye ke wo ek se sun kar dusre se nikal de or aorat ko isliye diye
Ke dono se sun kar mu se nikale

Or zumar muskurati hui take laga kar baithi use sune ja rahi thi jo bole ja raha tha

" mam ne mujhe unka Naam tak nahi bataya Mera bara dil tha ki main ek dafa mil kar unka shukriya he ada kar dun "

Wo yaad kar ke phir se udaas Hua

Haneen ne idhar udhar dekha koi uski taraf mutawajja na tha wo agy hui 4 tukra uthaya or piche hokar Puri dil jamayi se khane lagi

" zumar "

Saadi ek dam choka sa bola

" ap to madam ko Jan ti hain na ap unse pata kar ke mujhe bata de mujhe kisne sponsor kiya hai"

Zumar maukura rahi thi mutmain or pusakoon saadi ke sawal par wakfe se boli

" theek hai main pata karwa dun gi or agar unhone na bhi bataya to main wo Naam dhund lu gi lekin..... "

Lamhe bhar ko ruki

" saadi kya ehsan ka badla ehsan ke bagair bhi kuch ho sakta hai? Or tume nahi lagta ke wo tumhari itni madad kar raha hai or badle main bas ye chahta hai ke wo beshanakht rahe to tume nahi lagta tume uski khwahish ka ehtaram Karna chahie? "

Saadi ke lab ohh main sukre
Haneen ne ab panchwa turka uthaya

"han ye to Maine socha he nahi zumar theek keh rahi hai us aadmi ke pas hoga paltu ka paisa or ye na ho ki wo is waja se fees dene se inkar kar de"

Bari ammi bohot samajh dari se kehne lagi or zumar ki muskurahat hanoos barkarar thi Saadi ne samajh kar sar hilaya fir yad ane par pucha

" sach jab ham dakhil hue to koch sahab bahar nikal rahe the ye wo property dealer hai na jiske pas apne mujhe bheja tha jab ham ghar badalne ka soch rahe the"

Zumar ki muskurahat lamhe bhar ko ruki par wo fir muskura di Bari ammi ne bhi chonk kar use dekha

" han unki property ka case main deal kar rahi thi asal main unki bahu ki apni sas se bilkul nahi banti tabhi beta hissa mang raha hai mera to khayal hai wo larki bohot samajhdar hai or Sara kasoor sas ma he hoga magar...... "

Kanakhiyon se maa ko dekhti wo sans lene ko ruki ke Bari ammi josh main  a kar kehne lagi

" kyu tumhe kya pata wo sas ke sath Kaisa salook karti hai jab--"

" chore naaa hame kya Bari ammi ayen cake khate hai "

Saadi jaldi jaldi kehta mez ki taraf Rukh mor kar batha to cake nafasat se katta adha bacha tha or dusri taraf haneen Yusuf bilkul saaf hath or mu main sath alama iqbal ki Tara
Hatheli thodi tale jamaye khala main
Ghur rahi thi Saadi ne use ghura
Or zumar ne use muskura kar dekha

Wo Saadi ko nazar andaz kar ke zumar ko dekh kar sharmila sa muskurai

" Mera andaza tha ke ap log AJ aoge to maine behari kabab bhi mangwa liye they pehle wo khate hai fir cake "

Zumar kehte hue uth khari hui
Haneen ki aankhen chamak uthi
Saadi bas sar jhatak kar reh gaya
Wo us namalum shaks ki waja se itna khush tha ki ghar ja kar haneen ka ammi ko batane ka irada tar kar diya

Or chokhat par khare bare Abba ne pareahani or fikarmandi se zumar ko dekha jo bohot tamaniyat se muskuraati hui kichen ki taraf ja raha thi wahan koi pachtawa koi malal nahi tha or malal to unke dil main bhi nahi tha magar zehan main pareahani zarur thi

Saadi ab Bari ammi se puch raha tha ki wo unke mamu ke cousin yani hashim ki Saadi par ayengi ya nahi
Or bare Abba gehri sans lete andar chale aye abhi unhen Saadi ka surprise sun kar uspay pehla tasur bhi Dena tha

______________________________________

Another part has ended .
Don't forget to vote!

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now