Chap.32

148 5 0
                                    


" ham ghar ja rahe hai "

Saadi haneen or usama ko sath leye loan ki taraf chalta bol raha tha
Tabhi ek mulajma piche se ayi or Saadi se takra gayi

"I'm sorry I'm really sorry "

Fiyona gar Bara kar mazrat karne lagi sare bartan bikhar gaye the

Saadi ne "it's ok" keh kar kot jhara or entress ki taraf Jane laga

"Abhi chale jaye par bhai abhi to khana bhi nahi laga "

Haneen ne laon Main a kar daba daba sa ehtajaj kiya sem khamosh raha wo dono jaga se LA ilm the magar lounge ka jhagra dekh chuke they

" kisi ache restaurant main khana khaye ge ab chalo"

Saadi se zumar ko dekha wo akeli khari thi wo jald bhula Dene walo se nahi thi to isileye jaldi Jane par razi ho gayi wo is mahol se bhag Jana chahti thi

"Han han bary Abba ne bhi jaldi and ko kaha tha "

Zumar ne be jawaherat se ijazat li uske jawab or hairan hone ke bawajood zumar ne wapis a kar chalne ka ishara kiya.

Siriyon pay khara hashim unko he dekh raha tha dekhte hue usne kan main ungli dabayi or bola

"Isko Talashi ke bagair mat Jane Dena"

"Right sar "
Entress par Khare suited buited retire karnal khawar ne unki taraf mu kiya Jo zumar ke piche chalte aa rahe the

Zumar sanjeedgi se agy bhar jati magar khawar ki awaz par ruki
Khawar khansa tha

"Mam sar apko Zara zehmat hogi please "

Zumar ne chonk kar use dekha
Saadi ka gala khushk hua gar bar

"Kya hua "

"Darasal DA mam misses jawaherat ka necklace chori hua hai or--"

Khawar ko samaj nahi ayi ke wo DA se Kya kahe magar DA ko adhure lafz samajhne main der nahi lagti thi

" acha to misses jawaherat ka necklace chori hua hai or ab ap hamari Talashi Lena chahte hai? "

"Nahi darasal mam Jo log ghar ke andar gaye the--"

"Magar ham to hath dhone gaye the"

Haneen ne izafa kiya

Khawar ne bat sambhalne ki koshish ki magar zumar ke to sar pay lag chuki thi

"Tum ye keh rahe ho ke mere bache chor hai? "

"Nahi mam Saadi sar andar gaye the"

"Acha pehle haneen or sem the chor or ab Saadi or agle he lamhe main hun gi or ab ap mere bacho ki choro ki Tarah line main khara kar ke Talashi lenge? "

"Nahi mam apki nahi--"

"Meri family ke bache hai ye or inki Talashi lene se pehle apko meri Talashi Leni hogi magar yaha nahi waha un 150 logo ke darmiyan taki unko bhi to pata chale ke ap log izat se bula kar izat se kaise bhejte hai "

Surte hal bigar gayi thi

Hashim achambhe se unko dekhta unki taraf Aya

"Zumar Saadi khana lagne wala hai ap log itni jaldi kaise ja rahe ho ?"

Zumar Ne Chehra Ghuma kar teekhi nazron se Hashim Ko Dekha

"Main bahut jyada Sarah hongi is Baat Ko Hashim agar aap apni adakari par se pusht Dal den kyun Mai ye nahi Manti ke apka guard apke kahe bagair hame Yun rok sakta hai "

" kya hua khawar "

Hashim ne hairat se khawar ko dekha Jo nafi Mein Sar hilata Kuchh Kehna Chahta tha

"Aapki mummy ka necklace Chori Hua Hai Hamari talashi leni hai "

Haneen Bebasi Se Kaha

"Talashi what "

Hashim ne hairangi se Khawar Ko Dekha

saadi ab Pant ki Jebo Mein Hath Dale Sar jhukaye itmnaan se Khara tha

Khabar Hashim ke Mukarne ke liye taiyar nahi tha to vo garbara Gaya

"Mera ye matlab nahin tha sar "

Khawar ne khud ko sambhalte hue kaha tha

"Yeh Mere Mehman Hai khawar" Hashim khawar per garja tha

zumar ne Sar Jhatka

"Ap apni wazahate apne pas rather Hashim Aap mere bhatije ko faris ka bhanja hone ki Saza Nahin de sakte "

Saadi neChonk kar use Dekha aur Hashim ne bhi zumar uChakti Nazar us per Dali

"Na main aaj Paida Hui hun na aap saadi faris ke liye koshish kar raha tha to Jab voh Reha Hua to itne arse bad apko saadi Ko invite Karne Ka Khyal a Gaya aapko Janna tha ki Faris kaise raha hua tha aap mere bhatije ko Yun bezat nahin kar sakte"

"Meri Samajh Mein Kuchh Nahin a Raha yeh aap kya kah rahi hai aap bilkul galat samajh rahi hai"

"Main kuch nahi samajh rahi tum sab chalo yaha se "

Zumar keh kar agy bhar gayi haneen or usama jaldi uske piche chalne lage
Saadi akhir main nikla ruk kar Hashim ko dekha Jo use shola war nigaho se dekh raha tha Saadi phir jaldi mur kar chala gaya

" sar? " khawar ne bebasi se Saadi ko jate hue dekha

"Jane do bas aj Jane do "

Voh karvahat se Palat Gaya
Piche Khara nosherwa se sab tilmila kar dekh raha tha

"Apne uski phopho ki dar se use Jane diya kyun Hashim bhai "

"Main kisi se nahi darta agy moka ayega ek or moka ayega "

"Aur usko bataya Kyon Nahin ki uski behan Ne Subah aapse Kaise madad Mangi Thi "

Nosherwa ke Dil main Saadi ke liye angare khatam nahi ho rahe they

" Bataunga Jab Uske Munh per thapar maarna hoga tab bataunga "

"Magar bhai--"

"Mehmano se bhara para hai ghar main abhi koi tamasha nahi karna chahta "

Hashim ne sari bat he khatam kardi

______________________________________

Apne Hi Hote Hain Jo Dil per war Karte Hain Mohsin gairon ko kya khabar ki Dil kis baat per dukhta hai

______________________________________

Don't forget to vote lovelies ❣️!

Hey lovelies I have a good news for you guys from today I will upload as much possible part of namal because I wanna to complete namal as soon as possible.but I have request from you guys please don't skip any chapter.

Happy reading!

Allah Hafiz.

______

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now